Dil unke naam kar ke......

by punam on May 03, 2008, 07:14:28 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2190 times)
syednaami
Guest
«Reply #15 on: May 04, 2008, 07:38:46 PM »
Reply with quote
Jald hi kuchh likhenge. Umda ashaar likhe hain aap ne.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Unke Hoo Na Sake... by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard
-Bagair Unke Bhi- by HumTum is back in Shayri-E-Dard
Zindgi Hum Apni unke Naam by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Ye Nazm Unke naam hai by mrigank in Shayri for Khumar -e- Ishq
pandit
Guest
«Reply #16 on: May 05, 2008, 07:08:29 PM »
Reply with quote
we
Thanx pandit ji...
welcome ji.............
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #17 on: May 06, 2008, 10:54:10 AM »
Reply with quote
Dil unke naam kar ke aaj khud ko bhul chuki hun main
yeh unki mohabbat ka asar hai unhe bataun kaise main...

din bhar unki yaad me khud ko jalati reheti hun main
saanson me hai mehek unhi ki unhe kaise dikhaun main....

hathon me rachi mehendi me likha hai unhi ka naam
dekh unhe saamne saram se muh chupa leti hun main...

mila nahi pati hun unse nazaren lakh kosish kar ke main
lab kap kapa jate hai  apni dil ki baaten kaise batlaun main...



poonam jee bahoot achaa likha hai aapne, or sbne bee achaa likha hai lage raho aise hee.

netra....
Logged
nikss
Guest
«Reply #18 on: May 07, 2008, 03:06:35 PM »
Reply with quote
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
Ya phir sargoshiyan dil ki suna do phir chale jana

Jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone main
Usay Poori tarah se tum bhulado phir chale jana

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana

Bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo shikhado phir chale jana

Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
Bus in alfaz-o-maa'ine ko mitado phir chale jana

Jo kehte kehte ruk gaye, un sari batoon ki
Sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana

Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana

Mery in Roz-O-Shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
Mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #19 on: May 07, 2008, 09:11:53 PM »
Reply with quote

Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
Bus in alfaz-o-maa'ine ko mitado phir chale jana


Nikss janaab, yun samjhiye ke yeh aao ke alfaaz hum par murattib hote hain.
Umda tarz ki shayari ka namoona kaafi arse baad dekha hai. Buhat hi zee-maani aur kamaal ka andaaz jiss ne bhi yeh kalaam likha hai.
Shukriya


(PS :: Not Mine likhden to achha hota)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: May 07, 2008, 09:23:20 PM »
Reply with quote
Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
Ya phir sargoshiyan dil ki suna do phir chale jana

Jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone main
Usay Poori tarah se tum bhulado phir chale jana

Kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana

Bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo shikhado phir chale jana

Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
Bus in alfaz-o-maa'ine ko mitado phir chale jana

Jo kehte kehte ruk gaye, un sari batoon ki
Sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana

Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana

Mery in Roz-O-Shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
Mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana!!!


We respect POETRY / Shayari. Hence we request if you are not posting your own Shayari/Poetry then please make sure to mention the name of original author whose work you are posting. If name of the author is not known then please mention "Not Mine" or "NM". This is just our small effort to give respect to the work of those who created the beautiful work.



http://www.google.com/search?hl=en&q=Sakoot-e-jaan+ka+matlab+batado+phir+chale+jana+&btnG=Google+Search
Logged
syednaami
Guest
«Reply #21 on: May 07, 2008, 10:47:21 PM »
Reply with quote
Thanks Pooja ji for information.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:54:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer