:|:|:|:| DilKi Alhad Si Basti :|:|:|:| .............. {Angel}

by angel4u on April 11, 2009, 06:45:37 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2052 times)
angel4u
Guest
Reply with quote
Mere Dilki Alhad Si Basti Mein,
Teri Yaadon Ki Aawara Galiyan Hai,
Hasti Hui Tasveeron Ke Kachhe Makaan,
Dhadkano Ki Chehel Pehel Se,
Kuch Sur Ubharte Hai Iss Tarahse
Saanson Ki Dhun Ban Gaye Ho Jaise,
Inki Sargam Par Gunjti Hui Teri Awaz,
Sadkon Pe Khelte Hue Natkhat Bachhon Jaisi,

Khoobsurat Lamhon Ki Bheed Mein Machalte
Mere Armaano Ki Be-Lagaam Si Ghabrahat,
Khamoshiyon Bhi Gungunaati Hui Ho Jaise Koi,
Tere Nagmon Ki Ajab Si Khilkhilaahat,
Aaj Na Jaane Kyon Rooh Meri Chaahe Ke,
Tumhare Wajood Mein Shaamil Ho Jaaye,

Is Dilki Basti Mein Chalo Ek Kona Dhund Lein,
Jahan Dekhe Hamein Ek Lehrata Hua Ped,
Kahe Humse Uski Har Ek Shaakh, Harek Phool,
Aao Tumhari Mohabbat Ki Daastan Likhte Hai...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2009, 07:35:14 AM »
Reply with quote
Wow Angel.. Kya baat Hai... Bahut bahut Pyaare Alfaaz likhe hain Dear..!! Ek baar Nahi 3 Baar maine yeh Kalaam Padha..!! aur waqai.. dil Ko Chhoo gai aapki yeh Rachna..!! Bahut Unchi Soch ke sath likha hai aapne..  Great Words.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
aaina
Guest
«Reply #2 on: April 11, 2009, 07:49:57 AM »
Reply with quote
Mere Dilki Alhad Si Basti Mein,
Teri Yaadon Ki Aawara Galiyan Hai,
Hasti Hui Tasveeron Ke Kachhe Makaan,
Dhadkano Ki Chehel Pehel Se,
Kuch Sur Ubharte Hai Iss Tarahse
Saanson Ki Dhun Ban Gaye Ho Jaise,
Inki Sargam Par Gunjti Hui Teri Awaz,
Sadkon Pe Khelte Hue Natkhat Bachhon Jaisi,

Khoobsurat Lamhon Ki Bheed Mein Machalte
Mere Armaano Ki Be-Lagaam Si Ghabrahat,
Khamoshiyon Bhi Gungunaati Hui Ho Jaise Koi,
Tere Nagmon Ki Ajab Si Khilkhilaahat,
Aaj Na Jaane Kyon Rooh Meri Chaahe Ke,
Tumhare Wajood Mein Shaamil Ho Jaaye,

Is Dilki Basti Mein Chalo Ek Kona Dhund Lein,
Jahan Dekhe Hamein Ek Lehrata Hua Ped,
Kahe Humse Uski Har Ek Shaakh, Harek Phool,
Aao Tumhari Mohabbat Ki Daastan Likhte Hai...


waah angel ji kya baat hai mashaallah bhut khoob likha hai aapne bhut khoobsurat khyaal ka izhaar jawab nhi hai............
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: April 11, 2009, 07:50:17 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley
Bahut Khoob Angel Didi, Bahut Hi pyara likha hai,
Aur har word dil ko choo raha hai...

Shally.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: April 11, 2009, 08:59:17 AM »
Reply with quote
Wow Angel.. Kya baat Hai... Bahut bahut Pyaare Alfaaz likhe hain Dear..!! Ek baar Nahi 3 Baar maine yeh Kalaam Padha..!! aur waqai.. dil Ko Chhoo gai aapki yeh Rachna..!! Bahut Unchi Soch ke sath likha hai aapne..  Great Words.. Applause Applause


**~** Mann **~**

Thanks Mann...
Bahut dino baad nazar aaye ho aap mere kisi bhi thread ke upar.. Usual Smile
achha laga ye dekhke, aur usse bhi achha laga ye jaanke ke aapko mera likha hua kalaam pasand aaya Usual Smile
Thank you sooo much...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: April 11, 2009, 08:59:42 AM »
Reply with quote
waah angel ji kya baat hai mashaallah bhut khoob likha hai aapne bhut khoobsurat khyaal ka izhaar jawab nhi hai............

Shukriya Aslam Ji... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: April 11, 2009, 09:00:23 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley
Bahut Khoob Angel Didi, Bahut Hi pyara likha hai,
Aur har word dil ko choo raha hai...

Shally.

Thank you for appreciating Shally...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: April 11, 2009, 09:08:38 AM »
Reply with quote
Mere Dilki Alhad Si Basti Mein,
Teri Yaadon Ki Aawara Galiyan Hai,
Hasti Hui Tasveeron Ke Kachhe Makaan,
Dhadkano Ki Chehel Pehel Se,
Kuch Sur Ubharte Hai Iss Tarahse
Saanson Ki Dhun Ban Gaye Ho Jaise,
Inki Sargam Par Gunjti Hui Teri Awaz,
Sadkon Pe Khelte Hue Natkhat Bachhon Jaisi,

Khoobsurat Lamhon Ki Bheed Mein Machalte
Mere Armaano Ki Be-Lagaam Si Ghabrahat,
Khamoshiyon Bhi Gungunaati Hui Ho Jaise Koi,
Tere Nagmon Ki Ajab Si Khilkhilaahat,
Aaj Na Jaane Kyon Rooh Meri Chaahe Ke,
Tumhare Wajood Mein Shaamil Ho Jaaye,

Is Dilki Basti Mein Chalo Ek Kona Dhund Lein,
Jahan Dekhe Hamein Ek Lehrata Hua Ped,
Kahe Humse Uski Har Ek Shaakh, Harek Phool,
Aao Tumhari Mohabbat Ki Daastan Likhte Hai...

bahut tadpaaya teri mohabbat ne
tu bata de kab mujhe haasil hogi
ya toh mar jaunga main tere bin
ya tu bhi meri tarah gaafil hogi
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: April 11, 2009, 09:19:25 AM »
Reply with quote

good one salil...


Sambhale humne Teri mohabbat ke moti apne sitaronwale aanchal mein,
har ek sitara jaise apne mohabbat ke nagme gunguna raha hai,
samet lo aake ye saare sitaaare apne daaman mein mere masoom sanam,
ke tere bina ab in alhad sitaaron ko chhupaun kaise...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: April 11, 2009, 09:38:08 AM »
Reply with quote

good one salil...


Sambhale humne Teri mohabbat ke moti apne sitaronwale aanchal mein,
har ek sitara jaise apne mohabbat ke nagme gunguna raha hai,
samet lo aake ye saare sitaaare apne daaman mein mere masoom sanam,
ke tere bina ab in alhad sitaaron ko chhupaun kaise...

bahut achche huzana ji

tujhe dekhoon toh chen aa jaaye is musafir ko
manzil kii talaash main jo dar dar bhatakta aaya hai
hata lo parda apne chehre se deedar karne do
magar mera mehboob kadakti dhoop se ghabraaya hai
Logged
aaina
Guest
«Reply #10 on: April 11, 2009, 09:40:05 AM »
Reply with quote
bahut tadpaaya teri mohabbat ne
tu bata de kab mujhe haasil hogi
ya toh mar jaunga main tere bin
ya tu bhi meri tarah gaafil hogi

kya baat hai salil bhut khoob................
Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: April 11, 2009, 09:50:00 AM »
Reply with quote
bahut achche huzana ji

tujhe dekhoon toh chen aa jaaye is musafir ko
manzil kii talaash main jo dar dar bhatakta aaya hai
hata lo parda apne chehre se deedar karne do
magar mera mehboob kadakti dhoop se ghabraaya hai
mere har qadam mein tere qadmon ki aahatein shaamil hia,
Tere hi raaston par to meri manzilon ka thikaana hai,
dhoop se jhulas jaaye chehra chahe gam nahi mujhe ab,
hamein to bas isi basti mein apna aashiyaana sajaana hai...
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: April 11, 2009, 09:59:30 AM »
Reply with quote
bahut achche huzana ji

tujhe dekhoon toh chen aa jaaye is musafir ko
manzil kii talaash main jo dar dar bhatakta aaya hai
hata lo parda apne chehre se deedar karne do
magar mera mehboob kadakti dhoop se ghabraaya hai
bhut khoob salil...................

humsafar ho ke mehboob ho wo sifto.n wala
uska chehra bhi lage mujhko kitabo.n wala
ya to rag rag se paimane chalak utthay aslam
ho agr chaand to phir ho wo hijaab.n wala

Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: April 11, 2009, 10:03:37 AM »
Reply with quote

mere har qadam mein tere qadmon ki aahatein shaamil hia,
Tere hi raaston par to meri manzilon ka thikaana hai,
dhoop se jhulas jaaye chehra chahe gam nahi mujhe ab,
hamein to bas isi basti mein apna aashiyaana sajaana hai...

bhut khoob salil...................

humsafar ho ke mehboob ho wo sifto.n wala
uska chehra bhi lage mujhko kitabo.n wala
ya to rag rag se paimane chalak utthay aslam
ho agr chaand to phir ho wo hijaab.n wala


kya baat hai salil bhut khoob................
shukriya aaina jo aapko pasand aaya


jo karte hain mohabbat aur chupchap rehte hai
oonhe nasihat hai meri kii apne dil ka haal keh de
main toh roz ishara karta hoon aur woh muskuraate hai
kabhi aakar meri baahon mein mere dil ko qaraar de de
ummra gujri ja rahi hai Gaafil-e- masti main
ab aur na rahe tanha, kuch pal toh mera saath de de



Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: April 11, 2009, 10:03:46 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Aslam Ji... Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:06:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer