"diwani si ho ya tum"

by aaina on March 26, 2009, 07:39:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 989 times)
aaina
Guest
Reply with quote
diwani si ho ya tum dikhti ho
diwani si ho ya tum dikhti ho


diwani si ho ya tum dikhti ho
ek pal ki khushiyon ki manind
dhanak ke jaise dikhti ho
diwaani si ho ya tum dikhti ho

meri rag rag mai sama kar
khaab ke jaise mujh ko dikha kar
pagal jaise mujhko bna kar
aaghosh mai meri simti ho
diwaani si ho ya tum dikhti ho

ek chanchl nadiya ke jaise
mathay pe bindiya ke jaise
jaagi si nindiya ke jaise
khaab suhane bunti ho
diwaani si ho ya tum dikhti ho

phoolo.n jaisi narm hain bahian
teer ke jaisi shoq adaai.n
meri hoti door sadai.n
chupke chupke sunti ho
diwaani si ho ya tum dikhti ho

ye gaalo pe gulaab tumhare
jaise sunhere khaab nirale
palko ke wo sab sitare
inse kaise chunti ho
diwaani si ho ya tum dikhti ho

rooth gaye to tum na mana.o
dil ko apne khoob jalao
apne tewar khoob dikhao
par naam hami ka gunti ho
diwani si ho ya tum dikhti ho


diwani si ho ya tum dikhti ho
diwani si ho ya tum dikhti ho
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
}"}"}AATE JAATE HUWE{"{"{ by Dr.Saira999 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
/////////"""HAAL-E-BAYAAN"""/////////////// by fidaa in Shayri for Khumar -e- Ishq
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
""Hamein Jab Alwida Kehne Lago"" by angel4u in Shayri-E-Dard
"diwani si ho, ya dikhti ho?" by aaina in Shayri for Khumar -e- Ishq
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: March 26, 2009, 10:36:14 AM »
Reply with quote
Wah Aslam kaha the itne din yaar bada pyaara kalam likha hain.....
Logged
karndhar
Guest
«Reply #2 on: March 26, 2009, 11:41:01 AM »
Reply with quote
Sachmuch bahut umda likha hai, Aaina Ji !
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: March 28, 2009, 07:11:02 PM »
Reply with quote
diwani si ho ya tum dikhti ho
diwani si ho ya tum dikhti ho


diwani si ho ya tum dikhti ho
ek pal ki khushiyon ki manind
dhanak ke jaise dikhti ho
diwaani si ho ya tum dikhti ho

meri rag rag mai sama kar
khaab ke jaise mujh ko dikha kar
pagal jaise mujhko bna kar
aaghosh mai meri simti ho
diwaani si ho ya tum dikhti ho

ek chanchl nadiya ke jaise
mathay pe bindiya ke jaise
jaagi si nindiya ke jaise
khaab suhane bunti ho
diwaani si ho ya tum dikhti ho

phoolo.n jaisi narm hain bahian
teer ke jaisi shoq adaai.n
meri hoti door sadai.n
chupke chupke sunti ho
diwaani si ho ya tum dikhti ho

ye gaalo pe gulaab tumhare
jaise sunhere khaab nirale
palko ke wo sab sitare
inse kaise chunti ho
diwaani si ho ya tum dikhti ho

rooth gaye to tum na mana.o
dil ko apne khoob jalao
apne tewar khoob dikhao
par naam hami ka gunti ho
diwani si ho ya tum dikhti ho


diwani si ho ya tum dikhti ho
diwani si ho ya tum dikhti ho


Bohot Hi Khoob Aslam Ji.... Bohot Bohot hi Khoobsurat hai ye !!  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: March 28, 2009, 07:14:51 PM »
Reply with quote
Aslam Ji,

Mere ek Yoindia ke bohot pyare dost ne mere liye kabhi ye thread banaya tha:

Talat Ji

Wahan maine ek baar apne liye ye kuch lines likhin thi...Aap ki ye post dekh kar mujhe uski yaad aa gayi..aur use yahan post kar rahi hoon:


Wo kehte hain main aisi hoon... main waisi hoon
Jaanti hoon ... main to ek deewani si ladki hoon

Aksar jaane kis duniya main khoyi si rehti hoon
Kabhi roti hoon aur phir rote rote hansti hoon
Jaanti hoon ... main to ek deewani si ladki hoon

Kabhi to titli jaisi chanchal main ban jati hoon
Aur kabhi khamoshi ki chaadar orh leti hoon
Jaanti hoon ... main to ek deewani si ladki hoon

Main to sundar sapno ki ek duniya main rehti hoon
Tod deti hoon kabhi phir khud naye sapne bunti hoon
Jaanti hoon ... main to ek deewani si ladki hoon!!!!
Logged
aaina
Guest
«Reply #5 on: March 29, 2009, 03:46:27 PM »
Reply with quote
Wah Aslam kaha the itne din yaar bada pyaara kalam likha hain.....

thnxx so much sajid sahab............
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: March 29, 2009, 03:48:25 PM »
Reply with quote
Sachmuch bahut umda likha hai, Aaina Ji !

dhukriya karndhar ji..........................
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: March 29, 2009, 03:50:17 PM »
Reply with quote
Bohot Hi Khoob Aslam Ji.... Bohot Bohot hi Khoobsurat hai ye !!  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

thnxxxxx so much celmira ji................
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:52:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer