Do kadam saath mere...

by daljeet_faqeer on April 16, 2009, 10:09:30 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3980 times)
daljeet_faqeer
Guest
Reply with quote
Do kadam saath mere tum bhi chalo to zara,
Kabhie tanhai mein baithkar dil ki baat suno to zara.

Is rukh e aftaab ko parde mein na chhupao tum,
Kya jayega tumhara chaand ko dekh lene do to zara.

Mana ke haseen ho tum hum bhi jawaan kam nahin,
Husn adhoora hai ishq bina hamari kadar karo to zara.

Nazron ke bol samajhte hain itne bhi nadaan nahin hum,
Pyaar bhari nazar se humein bhi kabhie dekho to zara.

Mehboob mankar humne tumhein is dil mein basaya hai,
Mohabbat se bhare dil ke jazbaat ko tum samjho to zara.

                                Daljeet'faqeer'
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: April 16, 2009, 10:16:50 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Daljeet ji.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: April 16, 2009, 10:28:27 AM »
Reply with quote
Do kadam saath mere tum bhi chalo to zara,
Kabhie tanhai mein baithkar dil ki baat suno to zara.

Is rukh e aftaab ko parde mein na chhupao tum,
Kya jayega tumhara chaand ko dekh lene do to zara.

Mana ke haseen ho tum hum bhi jawaan kam nahin,
Husn adhoora hai ishq bina hamari kadar karo to zara.

Nazron ke bol samajhte hain itne bhi nadaan nahin hum,
Pyaar bhari nazar se humein bhi kabhie dekho to zara.

Mehboob mankar humne tumhein is dil mein basaya hai,
Mohabbat se bhare dil ke jazbaat ko tum samjho to zara.

                                Daljeet'faqeer'

bahut achche daljeete..............u r welcome here .hope to see more frm u

kuch nazm taaza huyi aaj mere jehan main
shayad woh os shama kii thi, jisk aparvaana jal gaya
magar yeh baat abhi tak hai Qaabil-e-daaad
woh mar k bhi Shama-e-Ishq roshan kar gaya
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: April 16, 2009, 10:45:18 AM »
Reply with quote



kuch nazm taaza huyi aaj mere jehan main
shayad woh os shama kii thi, jisk aparvaana jal gaya
magar yeh baat abhi tak hai Qaabil-e-daaad
woh mar k bhi Shama-e-Ishq roshan kar gaya
Wah wah Kya baat Salil. Very Nice lines
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 16, 2009, 10:51:35 AM »
Reply with quote
Bohat Achche Daljet Ji,./
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: April 16, 2009, 10:55:09 AM »
Reply with quote
Wah wah Kya baat Salil. Very Nice lines
thanks sophi for appreciating my wrk

mere dil ne mehsoos kar k dekha teri mohabbat ko
aur tanhayee k siwa kuch na nazaar aaya
maine dekha phir teri aanhon k kore main dabe moti ko
aur mujhe tera dard ek sailaab sa nazar aaya
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #6 on: April 16, 2009, 02:44:49 PM »
Reply with quote
bohat bohat pyara daljeet ji, khoob kaha apne.
 Applause Applause
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #7 on: April 16, 2009, 02:46:14 PM »
Reply with quote
bohat khoob salil ji.. Applause Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: April 16, 2009, 04:58:26 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Daljeet and very well addition by you Salil....chalo kisi se hum bhi kuch kehte hain...

Na kar umr zaya, Na kho in palo ko pagli

Na main begunah hu, na tu farishto jaisi

Yeh baar baar tera bevajah rooth jana

Jo yeh mohabbat hain, yeh mohabbat kaisi..

-SG-
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #9 on: April 17, 2009, 06:02:37 AM »
Reply with quote
Do kadam saath mere tum bhi chalo to zara,
Kabhie tanhai mein baithkar dil ki baat suno to zara.

Is rukh e aftaab ko parde mein na chhupao tum,
Kya jayega tumhara chaand ko dekh lene do to zara.

Mana ke haseen ho tum hum bhi jawaan kam nahin,
Husn adhoora hai ishq bina hamari kadar karo to zara.

Nazron ke bol samajhte hain itne bhi nadaan nahin hum,
Pyaar bhari nazar se humein bhi kabhie dekho to zara.

Mehboob mankar humne tumhein is dil mein basaya hai,
Mohabbat se bhare dil ke jazbaat ko tum samjho to zara.

                                Daljeet'faqeer'

Daljeet Faqeer Sa'b..aapki Jab Kalum Chalti Hai To Behtarin se Behtarin Andaaz Mein Ash'aar Nikal aate Hai janaab ! Shayar jo ho aap.
Logged
daljeet_faqeer
Guest
«Reply #10 on: April 17, 2009, 01:18:35 PM »
Reply with quote
Bohat Achche Daljet Ji,./
Gar is jahaan ki
    sab khoobsurati
  hijab mein simat jaati
        Toh
Hum aur aap jaise shaiyar
    kispe aur kya likh paate.
                'faqeer'
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:41:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer