DOOSRA APNE JAISA DIKHA DIJIYE (Waquif Ansari)

by waquif ansari on September 04, 2009, 10:32:36 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3471 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
Rukh se parda zara ab hata dijiye
Phir se deedaar apna kara dijiye

Dil pe hoga karam muskura dijiye
Ishq ki jalti lau ko badha dijiye

Pyar ke shole dil mein dahakne lage
Apni aanchal ki aake hawa dijiye

Aapko kyun na chaahen dil-o-jaan se
Doosra apne jaisa dikha dijiye

Husn mein kuchh izaafa hi ho jayega
Apni zulfon ko rukh par gira dijiye

Meri ulfat ki tasdeeq ho jayegi
Meri nazron se nazren mila dijiye

Hum to beemaar hain aapke ishq mein
Laa-dawa mar na jaayen dawa dijiye
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: September 04, 2009, 10:36:39 AM »
Reply with quote
Wah wah Ansari ji bahut khoob mindblowing creation.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley.
Logged
cara
Guest
«Reply #2 on: September 04, 2009, 11:34:28 AM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI  WAQUIF ANSARI JI.....

YAAN IS HUSN KO HAMARI NAZRON SE, BACHAAYA KIJIYE,
YAAN HAMKO IS HUSN PAR MARNE DIJIYE.

HUM KO TOH KUCH-KUCH HO JAATA HAI, DEKH KAR TUMKO SANAM,
AAG LAG JAATI HAI SEENE MEIN, DEKH KAR CHEHERA TERA,
SABR KI BAND TOOTE JAATI HAIN,YEH HAAL HO JAATA HAI MERA.
YAAN TOH APNI NAZRON KO HUMSEY DOOR KIJIYE,
YAAN APNI NAZRON SEY HAMARI NAZREN MILNE DIJIYE.

HAME AAP KE ISHQ KA ROG LAG CHUKA HAI,
YAAN IS BEEMARI KA ILAAJ KIJIYE,
YAAN FIR IS BEEMARI MAIN MARNE DIJIYE.

TUM NAHIN HAME CHAHTEY HO,KOI BAAT NAHIN,
HAM CHALE JAYENGEY,SIRF ITNA TOH KIJIYE,
DOOSRA APNE JAISA DIKHA DIJIYE.


Logged
javedarshad
Guest
«Reply #3 on: September 04, 2009, 05:15:28 PM »
Reply with quote
Bahut Ansari Sb

dad qubool fermain

Humto bemmare na tawan hain aapke
Teemardari na sahi zaher hi pila deejiye



Javed


Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #4 on: September 08, 2009, 08:28:50 AM »
Reply with quote
Aapki itni achchhi linon ka bahut bahut shukriya. Is se pahle aik ghazal post ki thi, uske chand ashaar peshe khidmat hain:

Ishq ki bas yahi kahaani hai
Dil ka aana hai jaan jani hai

Aao aur aake dil mein bas jaao
Dil muhabbat ki rajdhaani hai

Koi tujh sa nahin mila mujhko
Main ne duniya ki khaak chhaani hai
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #5 on: September 08, 2009, 08:33:46 AM »
Reply with quote
Javed sahab aapka shukriya.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: September 10, 2009, 02:45:04 PM »
Reply with quote
Rukh se parda zara ab hata dijiye
Phir se deedaar apna kara dijiye

Dil pe hoga karam muskura dijiye
Ishq ki jalti lau ko badha dijiye

Pyar ke shole dil mein dahakne lage
Apni aanchal ki aake hawa dijiye

Aapko kyun na chaahen dil-o-jaan se
Doosra apne jaisa dikha dijiye

Husn mein kuchh izaafa hi ho jayega
Apni zulfon ko rukh par gira dijiye

Meri ulfat ki tasdeeq ho jayegi
Meri nazron se nazren mila dijiye

Hum to beemaar hain aapke ishq mein
Laa-dawa mar na jaayen dawa dijiye

Aapki itni achchhi linon ka bahut bahut shukriya. Is se pahle aik ghazal post ki thi, uske chand ashaar peshe khidmat hain:

Ishq ki bas yahi kahaani hai
Dil ka aana hai jaan jani hai

Aao aur aake dil mein bas jaao
Dil muhabbat ki rajdhaani hai

Koi tujh sa nahin mila mujhko
Main ne duniya ki khaak chhaani hai


Waah waah bahoot Bahoot Khoob Waquif Ansari ji... Bahoot Khoob! yuhin likhte rahiye ....
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #7 on: July 15, 2010, 11:44:58 AM »
Reply with quote
Thank you very much Sophi Ji!
Aap jaise qadrdaanoN ke jila bakhshne waali tehreeroN se hi funkaaroN ko hausla milta hai. Isi tarah apni nawaazisoN se nawaazte rahiye.

(Waquif Ansari)


Waah waah bahoot Bahoot Khoob Waquif Ansari ji... Bahoot Khoob! yuhin likhte rahiye ....
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: July 15, 2010, 05:17:59 PM »
Reply with quote
Aapko kyuN na chaheiN dil o jaaN se
apne jaisa koii dikha deejiye

Mashallah bhut hi khoob, saare aashar bhut achay rahe khaas kar ye bhut hi acha laga daad qubool keejiye ek achi ghazal ke liyN



aslam
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: July 15, 2010, 05:22:50 PM »
Reply with quote
bht hi pyari gazal ansari ji....
kitne pyaar se tareef ki hai aapne apne mehboob ki....
har ilzaam unpe lagakar khud ko saaf bacha liya ji...k unse pyaar kyun na karen wo bemisaal hain lajawab hain....koi un jaisa aur kahan
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: July 16, 2010, 10:38:54 AM »
Reply with quote
Janab Aaina Saheb!Tasleemat!
Aapki hauslaafzaayee aur paziraayee ka bahut bahut shukriya. Isi tarah apni nawaazisoN se nawaazte rahiye.

(Waquif Ansari)

Aapko kyuN na chaheiN dil o jaaN se
apne jaisa koii dikha deejiye

Mashallah bhut hi khoob, saare aashar bhut achay rahe khaas kar ye bhut hi acha laga daad qubool keejiye ek achi ghazal ke liyN



aslam
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: July 16, 2010, 10:41:30 AM »
Reply with quote
bahut Bahut Khoob waquif Ansari ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: July 27, 2010, 08:01:44 AM »
Reply with quote
Aapki muhabbatoN ka bahut bahut shukriya Janab khwaish Saheb. Thanks for your valuable comments.

(Waquif Ansari)

bahut Bahut Khoob waquif Ansari ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:28:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer