Dua Chahta hoo.n - Nooruddin Noor

by Nooruddin Noor on June 22, 2011, 04:50:32 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1079 times)
Nooruddin Noor
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 20 hours and 21 minutes.

I Luv Urdu So000 Much!!!!!!!!

Posts: 108
Member Since: Mar 2011

View Profile
Reply with quote
Muhabbat mein teri Wafa chahta hoo.n,
Mere dard-o-gam ki dawa chahta hoo.n,

Tu hi meri azmath, tu hi meri shuhrath,
Muhabbat ka tujhse sila chahta hoo.n,

Tu hi meri arzoo,  tamanna bhi tu hai,
Laboo.n par khushi tere sada chahta hoo.n,

Tabassum hai ada teri, tarannum sada teri,
Tu mujh ko bhi chahe dua chahta hoo.n,

Muhabbat mein teri wafa......

By Nooruddin Noor
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #1 on: June 22, 2011, 07:24:57 AM »
Reply with quote
Janab Nooruddin Noor Saheb, aapki ghazal ko paRhne ke baad maiN is nateeje pe pahuNcha hooN k aapke ander aik honhaar shayar maujood hai jise agar kuchh ezaafi ilm haasil ho jaaye maslan bahr waghaira ka ilm to wo aik saharangez shakhsiyat ka maalik ho jaaye. Aapko ghazal kahne ka Dhang aa raha hai, bas is meiN rawaani ki zarurat hai. Aap bahr seekhne ka kaam kareN phir dekheN sheroN meiN jaadoobayaani kaise aati hai. Aapke hi ashaar ko bahr meiN laane ki koshish karuNga jis se aapko ghazal ke ramooz o nukaat ka kuchh ilm ho jaaye:

Muhabbat meiN teri wafa chaahta hooN
Sabhi dard o ghum ki dawa chaahta hooN

Tu hi meri azmat, tu hi meri shohrat
Muhabbat ka tujhh se sila chaahta hooN

Tu hi meri khushiyaN, tamanna bhi tu hai
Khushi tere lab pe sada chaahta hooN

Hamaari muhabbat ka mil jaaye tohfa
Ki tu mujh ko chaahe sada chaahta hooN

Ye aik maiN ne jasarat ki hai aur agar meri ye jasarat aapko buri lag jaaye to darguzar kijiyega. Apni is achchhi koshish par daad qubul kijiye.

(waquif ansari)

Muhabbat mein teri Wafa chahta hoo.n,
Mere dard-o-gam ki dawa chahta hoo.n,

Tu hi meri azmath, tu hi meri shuhrath,
Muhabbat ka tujhse sila chahta hoo.n,

Tu hi meri arzoo,  tamanna bhi tu hai,
Laboo.n par khushi tere sada chahta hoo.n,

Tabassum hai ada teri, tarannum sada teri,
Tu mujh ko bhi chahe dua chahta hoo.n,

Muhabbat mein teri wafa......

By Nooruddin Noor
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #2 on: June 22, 2011, 09:52:50 AM »
Reply with quote
Muhabbat mein teri Wafa chahta hoo.n,
Mere dard-o-gam ki dawa chahta hoo.n,

Tu hi meri azmath, tu hi meri shuhrath,
Muhabbat ka tujhse sila chahta hoo.n,

Tu hi meri arzoo,  tamanna bhi tu hai,
Laboo.n par khushi tere sada chahta hoo.n,

Tabassum hai ada teri, tarannum sada teri,
Tu mujh ko bhi chahe dua chahta hoo.n,

Muhabbat mein teri wafa......

By Nooruddin Noor

bahut khoob noor sahab
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #3 on: June 22, 2011, 09:57:39 AM »
Reply with quote
Janab Nooruddin Noor Saheb, aapki ghazal ko paRhne ke baad maiN is nateeje pe pahuNcha hooN k aapke ander aik honhaar shayar maujood hai jise agar kuchh ezaafi ilm haasil ho jaaye maslan bahr waghaira ka ilm to wo aik saharangez shakhsiyat ka maalik ho jaaye. Aapko ghazal kahne ka Dhang aa raha hai, bas is meiN rawaani ki zarurat hai. Aap bahr seekhne ka kaam kareN phir dekheN sheroN meiN jaadoobayaani kaise aati hai. Aapke hi ashaar ko bahr meiN laane ki koshish karuNga jis se aapko ghazal ke ramooz o nukaat ka kuchh ilm ho jaaye:

Muhabbat meiN teri wafa chaahta hooN
Sabhi dard o ghum ki dawa chaahta hooN

Tu hi meri azmat, tu hi meri shohrat
Muhabbat ka tujhh se sila chaahta hooN

Tu hi meri khushiyaN, tamanna bhi tu hai
Khushi tere lab pe sada chaahta hooN

Hamaari muhabbat ka mil jaaye tohfa
Ki tu mujh ko chaahe sada chaahta hooN

Ye aik maiN ne jasarat ki hai aur agar meri ye jasarat aapko buri lag jaaye to darguzar kijiyega. Apni is achchhi koshish par daad qubul kijiye.

(waquif ansari)

good improvisation ansari sahab
Logged
Nooruddin Noor
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 20 hours and 21 minutes.

I Luv Urdu So000 Much!!!!!!!!

Posts: 108
Member Since: Mar 2011

View Profile
«Reply #4 on: June 22, 2011, 10:07:23 AM »

Shukriya Waqif ji,

Aap ne bilkul bhi sahi likha hai,

Maine jaldi main ashaar likhdiye the isiliye thik kar na saka

khush rahiye
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #5 on: June 22, 2011, 11:21:40 AM »
Reply with quote
Muhabbat mein teri Wafa chahta hoo.n,
Mere dard-o-gam ki dawa chahta hoo.n,

Tu hi meri azmath, tu hi meri shuhrath,
Muhabbat ka tujhse sila chahta hoo.n,

Tu hi meri arzoo,  tamanna bhi tu hai,
Laboo.n par khushi tere sada chahta hoo.n,

Tabassum hai ada teri, tarannum sada teri,
Tu mujh ko bhi chahe dua chahta hoo.n,

Muhabbat mein teri wafa......

By Nooruddin Noor

Very Romantic ... Very Touching ... Noor Sahab !

dil se daad qubuul KareN ... !!
Logged
Nooruddin Noor
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 20 hours and 21 minutes.

I Luv Urdu So000 Much!!!!!!!!

Posts: 108
Member Since: Mar 2011

View Profile
«Reply #6 on: June 23, 2011, 04:27:38 AM »
Reply with quote
Aap ka bahut bahut shukriya anshumali ji.

yo.n hi saath dete rahiye,

Khush rahiye,

 icon_flower sunny
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 18, 2024, 02:01:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer