..~~Ehsaas e Muhoobat~~...

by HumTum on August 21, 2005, 11:10:33 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 5333 times)
HumTum
Guest
Reply with quote
Dedicated To My Love Meena





Dil mein ik Meetha sa  pyaar ka ehsaas  jagaya hai tune
Aaj mujh ko mere hi wajood se milwaya hai tune

Ik umr se tadpta tha jis pyaar ke liye yeh dil
Aa ke meri zindgi mein, who lamha dhikaya hai tune

Zindgi iss kadar bhi sawaar jayegi yeh socha na tha
Jeete jee dedaar e zaanat e jahaan ka karwaya hai tune

Bikre se sab sapne they, ik toota sa dil tha mera
Barsa ke pyaar apna, mujhey jeene ke kabil bnaya hai tune

Dhikhayi hai ik nyi duniya, karwai hai khushiyon se mulakaat
Apne sunehri khawaboon se mera ashiyaan sajaya hai tune

Basne lagi hai tu in sasoon mein, sara jahaan apna sa lagta hai
Ik zarra tha zameen ka mein, muhey aftaab banaya hai tune

Kitna tanha tha mein zindgi mein, na koi khushi na koi malaal
Thaam ke mera hath , kitna haseen har manzar banaya hai tune

kuvvat-e-mohabbat se ab tak mahroom hi rha tha mein
kar ke  pyaar ki barish, mujhey khusnaseeb banaya hai tune

Baras rahe the aansoon abr se simat gayi thi saanse seene me jab
Meri na-umeed e zindgi mein umeed e diya bhi jalaya hai tune

Saaqi-e-jawanise se hum ab tak  jaam e ghum bahut peechuke
Apni ankhoon ke mehkhane se, jaam e zindgi pilaya hai tune

Sururoinbisath ka har lamha jawan hota hai, jab dekhta hoon tujhey
Jane iss dil ko hua hai kya, jane kaun sa jaddu chalaya hai tune

Is junoon ki aagey ab aur kya hai manzil, yhi sochta hoon aksar
Mere zahen o dil mein aaj ik ajab sa tufaan uthaya hai tune

Uff yeh teri ik nazar mein kya tilisam hai kya jaduugari hai “Meena”
Iss shukhnwar “HumTum” ko jis kadar apna dewana banaya hai tune !!!


:hug:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ehsaas by Sonu in Shayri-E-Dard
**EHSAAS** by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
Ehsaas by archana_gudia2k2 in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
EHSAAS !!!!!!!!!!!! by yog in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
....~~Mujhey tum se Muhoobat hai~~.... by HumTum in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 6 7 »
Meena
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2005, 11:17:44 AM »
Reply with quote
wowwwwww humtum ji!!! thats really sweet and thank u :oops:  :oops:  :oops:  :oops:  :oops:
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2005, 01:51:36 PM »
Reply with quote
beautifull Humtum ..............................................
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2005, 04:11:41 PM »
Reply with quote
bohot khoob hum tum

mohobat wo aahsaas hai  
jissy pathar bhi phool banty hai
iss aahssas ko bohot kam loog hi mahsoos karty hai

mohobat to wo aahssas hai
jisey murjhay phool bhi mahkty hai

mohobat wo ahsaas hai
jissy sily hooth bhi chahkty hai

iss mohobat key aahsaas ko hum bhi samjhty hai
jis aahssas mein jawaa dil bahakty hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #4 on: August 21, 2005, 05:11:11 PM »
Reply with quote
Wah humtum,bohat hi khoob.Nice 2 c ya back :D nice work ghazal too.
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #5 on: August 22, 2005, 04:31:03 AM »
Reply with quote
thx nidhi

nice work hum tum nikki &meena

app sabny hi bohot accha likha hai

ahsaas mohobat wo hi samjhta hai
jiskey daman mein mahboob hota hai
Logged
Tosha
Guest
«Reply #6 on: August 22, 2005, 07:27:44 AM »
Reply with quote
Shocked
:oops:
:;
:D
Shocked
kya karu ... kya kahun... bAHUT ACCHA LIKHA HAI janab...good good
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #7 on: August 22, 2005, 08:09:01 AM »
Reply with quote
zindgi bhar jiska intzaar kiya
uss jalim ney hamara etbaar toor diya

zindgi usko mana
wo kbhi tha hamara dewana
Logged
Meena
Guest
«Reply #8 on: August 29, 2005, 04:35:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
[you]Dedicated To My Love Meena[/you]


Dil mein ik Meetha sa  pyaar ka ehsaas  jagaya hai tune
Aaj mujh ko mere hi wajood se milwaya hai tune

Ik umr se tadpta tha jis pyaar ke liye yeh dil
Aa ke meri zindgi mein, who lamha dhikaya hai tune

Zindgi iss kadar bhi sawaar jayegi yeh socha na tha
Jeete jee dedaar e zaanat e jahaan ka karwaya hai tune

Bikre se sab sapne they, ik toota sa dil tha mera
Barsa ke pyaar apna, mujhey jeene ke kabil bnaya hai tune

Dhikhayi hai ik nyi duniya, karwai hai khushiyon se mulakaat
Apne sunehri khawaboon se mera ashiyaan sajaya hai tune

Basne lagi hai tu in sasoon mein, sara jahaan apna sa lagta hai
Ik zarra tha zameen ka mein, muhey aftaab banaya hai tune

Kitna tanha tha mein zindgi mein, na koi khushi na koi malaal
Thaam ke mera hath , kitna haseen har manzar banaya hai tune

kuvvat-e-mohabbat se ab tak mahroom hi rha tha mein
kar ke  pyaar ki barish, mujhey khusnaseeb banaya hai tune

Baras rahe the aansoon abr se simat gayi thi saanse seene me jab
Meri na-umeed e zindgi mein umeed e diya bhi jalaya hai tune

Saaqi-e-jawanise se hum ab tak  jaam e ghum bahut peechuke
Apni ankhoon ke mehkhane se, jaam e zindgi pilaya hai tune

Sururoinbisath ka har lamha jawan hota hai, jab dekhta hoon tujhey
Jane iss dil ko hua hai kya, jane kaun sa jaddu chalaya hai tune

Is junoon ki aagey ab aur kya hai manzil, yhi sochta hoon aksar
Mere zahen o dil mein aaj ik ajab sa tufaan uthaya hai tune

Uff yeh teri ik nazar mein kya tilisam hai kya jaduugari hai “Meena”
Iss shukhnwar “HumTum” ko jis kadar apna dewana banaya hai tune !!!

[/b]
:hug:


ek jawab:

tere dil me ek mitha sa ehesas jaga kar,
khud ke dil ko bhi pyar me dhadkane lagi...

pyar ki tadap kya hoti hai na jante te hum,
dil ko ishq me bechain kar ke, khud ko tadpane lagi...

tujhe pane ke baad na kuch aur manga kabhi Khuda se,
teri mohabbat me bhi, sanam, sari kushiyan mai pane lagi...

jee karta hai khwabon ki duniya me khoyi rahon mai,
jabse har raat palko pe tere sapne mai sajane lagi....

tujhe deewana bana kar mai bhi kaha bach payi oh sanam,
teri yeh deewangi hi meri neende, chain sab churane lagi!!!


umeed hai pasand aya hoga  :wink:
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #9 on: August 29, 2005, 06:45:11 PM »
Reply with quote
mujhe to bohat pasand aaya:D ...........!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #10 on: August 31, 2005, 09:17:22 AM »
Reply with quote
mujhy bhi bohot pasand aaya

par zindgi to zindgi hai
koi sapna nahi
jo sab dekh saky
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #11 on: August 31, 2005, 09:37:53 AM »
Reply with quote
Abslute fine work by all , and gazal je'z 1 one really heart touching cuplets , best of luck from me 2 all lovers .

   Maine mahobaat ki aaur aasiq ban-aaya sanam ki yaad me
   Mahobaat ho paas to haryali hai nahi to tanha hai fool baag me
   dekho dil diya , pyar kia fir khud ko tanha kia aaur chor diya aag me.
Logged
bhambra
Guest
«Reply #12 on: September 01, 2005, 10:13:40 AM »
Reply with quote
Bahot Khub....

Hal-e dil yar ko likhu kniu kar,
Hat dil se juda nahin hota. [NM]
Logged
vitasta
Guest
«Reply #13 on: September 01, 2005, 08:16:19 PM »
Reply with quote
hai!! kya ghazal likhi hai humtum!! u r terriffic!! i love it!! congrats meena sab aapki tareef mein hai!

hum to tadapte hain ki ik jhalak mil jaye yaar ki,
manzil mil jaye hume apne pyaar ki,
par kahan hai meri kismat aisi,
ki jhalak bhi mil jaye mujhe mere yaar ki.....

best of luck to u lovers.........
Logged
Ghazal
Guest
«Reply #14 on: September 03, 2005, 11:59:39 AM »
Reply with quote
thx a lot  app sab ney bhi bohot accha likha hai

tanhaeyo ka jo aandhera hai
wahi to mohobat mein kal ka sawera hai
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 08:31:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer