Ehsaas - Mera Saaz Dil Ki Awaaz

by nikh_agg on February 07, 2008, 02:35:31 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1203 times)
nikh_agg
Guest
Reply with quote
Aaj dil un par nisaar hua jaye re,
nahi hua ab tak woh aaj hua jaye re,
pyaar bhara aankhon mein sharab ki atrah,
kaise main chupu yeh benaqaab hua jaye re.

Unki nazaron ne dekha kuch is tarah se,
mehkhane mein ho hum behake is tarah se,
na karti khata nazarein na lutata chain,
dil apna gava kar yun baithe jannat mili ho aise.

Panaahon mein unki jab hum aye,
mohabbat ka nasha is kadar mujh par chaye,
dil ki bekaraari aur nigaahon mein pyar yun badhte jaye,
junoon hai ya deewangi jis taraf dekhu woh hi nazar aye.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
saaz by muna massood in SMS , mobile & JOKES
Saaz....... by Khawaish1 in Miscellaneous Shayri
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: February 07, 2008, 02:52:37 PM »
Reply with quote
Nice One Nikh...

And a Warm Welcome to YoIndia.com/Shayariadab... Usual Smile

Keep Writing..
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: February 07, 2008, 03:03:26 PM »
Reply with quote
Very good Nikhs ji... Welcome
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: February 07, 2008, 04:29:14 PM »
Reply with quote
wah wah kaya baat hai.. bahoot khoob yah lines to kamal ka khumar bayan kar rahi hai:

Aaj dil un par nisaar hua jaye re,
nahi hua ab tak woh aaj hua jaye re,
pyaar bhara aankhon mein sharab ki atrah,
kaise main chupu yeh benaqaab hua jaye re.


bahoot khoob nikh...
apka yoindia mai sawagat hai!!!!
Logged
nikh_agg
Guest
«Reply #4 on: February 07, 2008, 05:04:21 PM »
Reply with quote
Thnx Pooja. I have created a website named <EDIT> which consists of shayri. But i cant post the address here. Its not allowed.



By Pooja (Yoindia WeCare): Agar koi apki site per akar, sabko kahe ki meri site per aao to apko kaisa lagega!! Asha hai agge se app aoro ke EHSAAS ka dhayan rakhegi aor phir kabhi apni site ka url yaha Yoindia per post nahi karegi!!
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #5 on: February 08, 2008, 05:40:57 AM »
Reply with quote
mere Aihsaas aksar mere saath nahin dete
wohh, jobhi kehte hain mujhsey
main maan leita hun.
Logged
nikh_agg
Guest
«Reply #6 on: February 08, 2008, 06:18:07 AM »
Reply with quote
Lab hai pyaase inhe pyaas bhujane de,
nabasa jo sawan baras jane de,
sirf dhakano ko teri sunne de mujhe aaj,
nahi soye kai raaton se hum baahon mein sukun to pane de.

Kaash aap humare hote to zindgi suhani hoti,
aankhon mein base hote humari to aankhen nashili hoti,
kya hota agar na hote ap humari zindagi mein,
viraan si hoti zindagi humari na koi takdir na koi khawahish hoti.

Mere dil se nikle woh khawahish hai tu,
labon par aye har pal ibadat hai tu,
tanhai bhi tu mehfil bhi tu,
dekh tujhe ud jaye nind woh qayamat hai tu.
Logged
nikh_agg
Guest
«Reply #7 on: August 24, 2008, 01:41:45 AM »
Reply with quote
1.) Baarish ki bundo mein bheega tera yeh badan,
Saawan mein bhi aag lagaye yeh husn,
Madhosh kare behkaye jalaye jiya mera,
Baahon mein aa meri bhuja de yeh agan.

2.) Kyu tere paas ane se darta hai mann mera,
Kyu tere chhune se kaampta hai tan mera,
Baatein meri deewana banaye mehkhano ka nasha teri nazron mein,
Dekhane se teri taraf darti hun kahin bas na jaye ruh mein ud najaye chain mera.

3.) Baahon mein aa ja na ja tu dur mujhse,
Ki tere bin jeena hai mushkil sanam,
Na jay un dur mujhe tanha chod kar,
Ki tere bina mar hi jayenge hum.

4.) Khoya main tere khayalon mein yaadon mein is tarah,
ata hai labon pe naam tera aankhon mein tera chehra har lamha,
itna bhi na hosh raha ki teri pukar sun sake,
teri judaai ne mujhe pagal banaya deewana banaya is tarah.

5.) Har lamha beete saanson ki raftaar badti jaye,
Dekhu ghadi baar baar dhadkane bekaraar hoti jaye,
Thak rahi hai aankhein tut rahi hai baahein tere intezaar mein,
Tere paas ane ke liye tujhe aaghosh mein lene ke liye meri jaan nikli jaye.

Teri baahon mein meri zindagi guzar jaye,
ankhon mein saanson mein dhadkano mein tu sama jaye,
ho na tu kabhi mujhse juda ek pal ke liye bhi,
rahe tu itne kareeb mere zindagi bhar ki tu mere rom rom mein bas jaye.


Teri adaon ka hua main deewana is kadar,
na waqt ka hosh na khud ki khabar,
na bhuk lage na pyaas bas intezaar rahe tere didaar ka,
har jagah har pal tujhe dhundti rahe meri nazar.


Nashili in aankhon mein mera sanam dooba jaye re,
hai sawan ka maheena aur woh mujhe bulaye re,
deewangi aur bekaraari ka aalam hai kitna kya bataye,
apni chahat se kitne hai bebas kaise unhe samjhaye re.

Chahat mein unki main doobti ja rahi hun,
jana hai dur aur paas ja rahi hun,
ehsaas se unke dhadak jata hai yeh dil,
sambhalo mujhe koi aankhon mein unki khoye ja rahi hun.

Mile hai jabse tumse yeh dil kahin kho gaya hai,
neend chain ud gaya mujhe kuch ho gaya hai,
jaaga jaaga rehta hun raaton mein din mein khoya rehta hun,
tere pyaar mein mera dil jaanam deewana ho gaya hai.


Pyaar kar mujhe itna sanam,
na kabhi kisi baat ki kami mehsus ho,
jab bhi mujhe darr lage jab teri zarurat lage,
vada kar tab tab tu meri baahon mein ho.


Teri judaai mein bekaraar hua ja raha hun,
har lamha tadapta ja raha hun,
jaldi se aa baahon mein mujhe bhar le,
tere bina pagal hua ja raha hun.




Logged
nikh_agg
Guest
«Reply #8 on: September 13, 2008, 10:31:56 AM »
Reply with quote
*Post Edited*

Advertising websites is not allowed on Yoindia. This has been said to you in-numerable times before.

Yoindia Monitor Celmira
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 23, 2024, 06:05:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer