ek baar to kuch yuN seene se LAGAALE mujhko...!!

by ghayal_shayar on November 17, 2012, 05:10:35 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1743 times)
ghayal_shayar
Guest
Reply with quote
Maut ka khauf hi na kahiN maar daale mujhko,
Ab kaun is aalam-e-khauf se nikaale mujhko..

Ishq itna to kar ki neeNd se jaaguN maiN zara,
Ek baar to kuch yun seene se lagaale mujhko..

Kab kaha maine mujhe aag ka fun haasil hai?
Kab kaha maine chiraagon sa jalaale mujhko..

Waqt hi hai ke jo bas kabhi laut kar nahiN aata,
MaiN to insaan huN, sadaa de ke bulaale mujhko..

Apne noor pe tu is qadar bhi na itraa jaanaaN,
Aaftaab kehte haiN mere chaahne waale mujhko..

Ishq ke siwaa bhi to kayi jazbaat hoNge mujhme,
Kabhi aake ab tu hi dhang se khangaale mujhko..

Vo 'Taish' rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakhe,
Humsafar na sahi dushman hi banaale mujhko..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kehna tha kuch mujhko by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
So Jaun kuch Pal Tumare Seene Se Lag kar... !! by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
Ik Khamosh ishare pe baar baar paltata hun mein......*Usha Rajesh by usha rajesh in Ghazals « 1 2  All »
Seene mein siyaahi ke shiva kuch nahi hai by betukh_ bakbaki in Shayri for Dard -e- Judai
Baar-baar unkey liye sajee, sajaayee seij! by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
prashad
Guest
«Reply #1 on: November 17, 2012, 05:19:44 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: November 17, 2012, 05:24:43 PM »
Reply with quote
Maut ka khauf hi na kahiN maar daale mujhko,
Ab kaun is aalam-e-khauf se nikaale mujhko..

Ishq itna to kar ki neeNd se jaaguN maiN zara,
Ek baar to kuch yun seene se lagaale mujhko..

Kab kaha maine mujhe aag ka fun haasil hai?
Kab kaha maine chiraagon sa jalaale mujhko..one rau iss sher pe

Waqt hi hai ke jo bas kabhi laut kar nahiN aata,
MaiN to insaan huN, sadaa de ke bulaale mujhko..

Apne noor pe tu is qadar bhi na itraa jaanaaN,
Aaftaab kehte haiN mere chaahne waale mujhko..

Ishq ke siwaa bhi to kayi jazbaat hoNge mujhme,
Kabhi aake ab tu hi dhang se khangaale mujhko..

Vo 'Taish' rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakhe,
Humsafar na sahi dushman hi banaale mujhko..


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: November 17, 2012, 05:29:28 PM »
Reply with quote
bahut khoob Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
vimmi singh
Guest
«Reply #4 on: November 17, 2012, 05:35:33 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob,,,,  Applause Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #5 on: November 17, 2012, 06:31:06 PM »
Reply with quote
bahut khoob

shukriya prasad ji, bas yunhi saath nibhaate rahiye...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: November 17, 2012, 08:49:41 PM »
Reply with quote
Lucky Jee Aadaab!



WaH jee waaH chaa gaye tusi toH... behad gazab ke ashaar kahe hai
janab aik se badhkar aik, waaH waaH behad khoob behad umdaa.. Usual Smile

Sabhi ashaar laa jawaab rahe janab, badi hi achchi kalaam kahi hai
aapne... Humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile                 




Maut ka khauf hi na kahiN maar daale mujhko,
Ab kaun is aalam-e-khauf se nikaale mujhko..

Behad achcha matla kaha hai janab bahut khoob daad...                   

Ishq itna to kar ki neeNd se jaaguN maiN zara,
Ek baar to kuch yun seene se lagaale mujhko..

Kia kahne Bhai waaH bahut umdaa daad...                   

Kab kaha maine mujhe aag ka fun haasil hai?
Kab kaha maine chiraagon sa jalaale mujhko..

Behad khoob bad achcah sher hai janab daad...                   

Waqt hi hai ke jo bas kabhi laut kar nahiN aata,
MaiN to insaan huN, sadaa de ke bulaale mujhko..

WaaH janab kia kahne bade achche sher padh rahe hai behad khoob...                   

Apne noor pe tu is qadar bhi na itraa jaanaaN,
Aaftaab kehte haiN mere chaahne waale mujhko..

Oye hoye kia kahne janab waaH waaH waaH behad umdaa behad
khoobsurat sher kaha hai daad daad daad... waqai hasil e gazal hai yeH sher...                   


Ishq ke siwaa bhi to kayi jazbaat hoNge mujhme,
Kabhi aake ab tu hi dhang se khangaale mujhko..

Kia baat hai janab... bahut khoob..                   

Vo 'Taish' rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakhe,
Humsafar na sahi dushman hi banaale mujhko..

Kia kahne waaH jee waaH achchi fankaari ke johar dekhne mile
aaj aapke kalaam meiN behad umdaa bahut khoob... Usual Smile                   



Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #7 on: November 18, 2012, 03:25:47 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP



qalb sahab, shukriya us rau ke liye bhi aur itni taaliyoN ke liye bhi... Usual Smile
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: November 18, 2012, 04:07:58 AM »
Reply with quote
bahut khoob Taishji ,esp.5th sher.
Logged
Aarish
Guest
«Reply #9 on: November 18, 2012, 04:27:49 AM »
Reply with quote
Maut ka khauf hi na kahiN maar daale mujhko,
Ab kaun is aalam-e-khauf se nikaale mujhko..

Ishq itna to kar ki neeNd se jaaguN maiN zara,
Ek baar to kuch yun seene se lagaale mujhko..

Kab kaha maine mujhe aag ka fun haasil hai?
Kab kaha maine chiraagon sa jalaale mujhko..

Waqt hi hai ke jo bas kabhi laut kar nahiN aata,
MaiN to insaan huN, sadaa de ke bulaale mujhko..

Apne noor pe tu is qadar bhi na itraa jaanaaN,
Aaftaab kehte haiN mere chaahne waale mujhko..

Ishq ke siwaa bhi to kayi jazbaat hoNge mujhme,
Kabhi aake ab tu hi dhang se khangaale mujhko..

Vo 'Taish' rabt rakhe bas chaahe jaisaa rakhe,
Humsafar na sahi dushman hi banaale mujhko..

,
wah wah wah wah , taish jee, kya baat hai, nihayat umda ghzal kahi hai, waqai har shair itna lajwab hai, ke barha padhne ko jee chahta hai, maine ab tak aapki jitni bhi ghazaleN padheeN haiN unme abtak ki sabse shandar aur kamyaab ghazal mujhe ye lagi, ye meri niji rai hai, waise to masha'allah aapki sabhi ghazleN umda hoti haiN, mubarakbaad qubool kareN, aur khas taur se ye ashaar kamaal ke rahe,


Kab kaha maine mujhe aag ka fun haasil hai? 

Kab kaha maine chiraagon sa jalaale mujhko..


Waqt hi hai ke jo bas kabhi laut kar nahiN aata,


MaiN to insaan huN, sadaa de ke bulaale mujhko..


Ishq ke siwaa bhi to kayi jazbaat hoNge mujhme,


Kabhi aake ab tu hi dhang se khangaale mujhko..


In teenoN ashaar ke liye ek rau






Logged
suman59
Guest
«Reply #10 on: November 18, 2012, 10:54:10 AM »
Reply with quote
Quote
Apne noor pe tu is qadar bhi na itraa jaanaaN,
Aaftaab kehte haiN mere chaahne waale mujhko..

Ishq ke siwaa bhi to kayi jazbaat hoNge mujhme,
Kabhi aake ab tu hi dhang se khangaale mujhko..


Wonderful  Applause Applause Applause Applause
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: November 18, 2012, 03:35:20 PM »
Reply with quote
bahut khoob Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahukhandi ji, shukriya... Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: November 18, 2012, 06:36:57 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob,,,,  Applause Applause Applause

bahut bahut shukriya vimmi ji, Usual SmileUsual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #13 on: November 19, 2012, 02:36:29 AM »
Reply with quote
Lucky Jee Aadaab!



WaH jee waaH chaa gaye tusi toH... behad gazab ke ashaar kahe hai
janab aik se badhkar aik, waaH waaH behad khoob behad umdaa.. Usual Smile

Sabhi ashaar laa jawaab rahe janab, badi hi achchi kalaam kahi hai
aapne... Humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile                 






Aadaab miyaaN, waise yahaan aap humare sabse puraane jaankaar hue, waise ye to humari khushnaseebi hai ki aapki humare khayalaat aur unki bayaani dono pasand aaye, umeed yahi kahi karta huN ki aapka yahi saaath aage bhi humesha is kadar hi bana rahe...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #14 on: November 19, 2012, 05:09:24 AM »
Reply with quote
bahut khoob Taishji ,esp.5th sher.

hasan sahab aapko pasand aaya, ye humari khushnaseebi, bas yahi duaa rahegi ki aage v kuch aisa likhte raheN jo aapko lubhata rahe... Usual Smile Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:05:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer