!!!Ek farishta chu jaye!!! rosh and minu k sapne!!!

by urs4evasomdev on September 24, 2006, 04:32:42 PM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 5267 times)
roshni246
Guest
«Reply #30 on: October 03, 2006, 01:03:15 PM »
Reply with quote
nice nirbhay!!!

dil se tumhari yaad bulayi na jayegi....
Basti jo ujargayi hai basayi naa jayegii...

Kya dil pe mere guzri hai kaise bataoon main...
Yeh tuti mohobbat ki dastaan ab sunai naa jayegii....

ek zelzallah tha jis mein mera ashian ujar gaya...
Ik kabar tak bhi appni banayi naa jayegii....

Tumne to kaha tha ke hai umar ber kaa sath....
Rasme hayath tanha nibayi naa jayegii....

Zalim !!! Mere wafaoon ka kaisa sillah diya....
Khai hai jo chot dil pe dikai naa jayegii....

Jaal jayega tu apne bewafai mein ek din....
Yeh armano ki aag bujaai naa jayegi....

Kaise kahoongi k dil k raste ab humare badal gaye...
yeh baat zamane ko batayi naa jayegii....


~roshni~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Na who farishta ho na farishtey jaisa ho by NIDA007 in Shayri for Khumar -e- Ishq
GUD NEWSS..... !!!MINU IS LEAVING USSS......... by roshni246 in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 ... 6 7 »
~*~HaPpY bIrThDaY BaBy--->(MiNU----7Th OcT)~*~ by roshni246 in The Wishes and Celebrations « 1 2 ... 7 8 »
~~~ Wo Farishta ~~~ {{Angel}} by angel4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
nirbhay
Guest
«Reply #31 on: October 03, 2006, 02:59:36 PM »
Reply with quote
Thanks Roshu! nd nice reply..

Bevafaa tum kabhii na the lekin
ye bhii sach hai ki bevafaa-se rahe

faasle tumne bahut badne diya
Jabki ki hum dil se tumhein pukarte rahe

Abb tumse kya wafaa ki karein Umeed
Jabb hum khud hi bewafa na rahe

Kuch dinn tum chalne do silsila narazgi ka
Humko bhi pata chale, galti chukane ke bhaav kya rahe

Kya pata tumse kya naseeb ho humko abb
Tumko naseeb ho zindagi kaisi, humari takdir kahan rahe

Maange ko dil hai aaj badaa betaab mera
Jasn hua kuch aaisa ki tumse maafi bhi maange layak na rahe

Aye Khuda rishton ka aayaam de kuch aaisa
Ke Muhabaat itni milne lage zamane mein, ke.H koi bewafa na rahe
Logged
roshni246
Guest
«Reply #32 on: October 03, 2006, 03:52:10 PM »
Reply with quote
gud one nirbhay!!!

laot aao meri duniya main jahan bas pyaar hi pyaar hai...
is pyaar ki hadoon se tumhe apni duniya banaungi....

apni ankho ke kajal se teri tasweer roz in ankhon main sajaungi....
yeh honton ko teri baatein sada yaad dilaungi....

in zulfo ki reshmi chadar pe tujhe haseen khwaab dikhaungi....
apni bahon ke jhulon par sula kar sansoon ki guftago sunaungi...

apni wafa k jazbon se tere jehen se bewafai ka lafz mitaungi..
laot aao meri duniya main jahaan bas pyaar hi pyaar hai...

apni mohbbat ke darichon se tumhe pyaar ki duniya dikhaungi....
jahaan rahenge bas hum tum...tumhe aisi jaga le jaungi...



~roshni~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #33 on: October 03, 2006, 05:00:56 PM »
Reply with quote
=D> Marvellous..


Aaj rote rahe aaur sanam ko bohat yaad kiya
Apne ujre hue gulshan ko bohat yaad kiya

Jab kabhie gardish-e-takdeer ne ghera hai humein
Zamane Bhar kki chubhan ne humko bahut yaar kiya

Shamaa ki Jout par jalte aayein hain parwanon ye
Jalte Rahe aaur tere daman ko bohat yaad kiya

Apne maathe par bhi wafai ki khusi ka Sehra Hoga
Humne us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiyaa

Kalam Ko bhi Dekh Teri Hi yaad Aayi Ghazal
Karte Rahe Tere Tareef aaur tujpar bahut Naaz Kiya..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #34 on: October 03, 2006, 05:17:05 PM »
Reply with quote
wonderful every one..

Kabhi tum milne aao na,
tumhe mehsoos karna hai,
tumhe qareeb se takna hai,
tumhe baahon mein bharna hai,
tumhari rooh mein kho kar,
tumhara hissa banna hai,

Kabhi tum milne aao na,
tumhe mehsoos karna hai,
mujhe veeran aankhon mein,
tumhari bikhri baaton mein,
wafa ka rang bharna hai,
tumhare dilkash chehre par
udaasi ka jo manzar hai,
yahan par apni chahat se,
hansi ka naqsha karna hai,
tumhare saath mil kar,
zindagi ki jung ladna hai,
kabhi tum milne aao na,
tumhe mehsoos karna hai...
* * * * *
Logged
roshni246
Guest
«Reply #35 on: October 03, 2006, 06:47:16 PM »
Reply with quote
nice...nirbhay and sis




beshumar hokar unke aghosh mein bharjane ko jee karta hai
aaj ki shaam....saari hadon ko par karne ka jee karta hai...

unki garm sanson k tale hum phighal jayein..
yeh raat unse nazre char karne ko jee karta hai...

badi bedardi se usne hume azmaaya tha...
lout ayein hain phir..ab unhe apna banane ko jee karta hai...

mohobbat ki rahon mein hum gungunate chale...
haath jo thaam liya usne...kaaton pe manzil pane ko jee karta hai...

log bar bar guzre dard ko taza kar jaate hain....
ab kahin dur ek naya jahan basane ko jee karta hai....

mante hain hum wo bewafai tha humse kargaya....
ab duniya walon ko uski wafa dikhane ko jee  karta hai.....



~roshni~
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #36 on: October 03, 2006, 09:41:50 PM »
Reply with quote
palkein meri jhukhi ja rahi hain sharam se
sansein meri tez huwi ja rahi hain isse hulchul se
abbh milakar nighayein unhe na chora sanam
jaan meri jaane laghi hai teri isse berukhi se

khwab tere sajne laghe hain inh nighaon mein
awaz teri ghoonjne laghi hai inh chooriyan mein
tor na dena yeh chooriyan abbh o sanam
farishte mere badnaam huwe hain tere ishq mein :D:D:D:D
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #37 on: October 04, 2006, 06:57:17 PM »
Reply with quote
wonderfullllll    Neer,,,,,,,,  Rosh........Angel  .....Anjaani........
Logged
nikki
Guest
«Reply #38 on: October 04, 2006, 07:08:00 PM »
Reply with quote
mind blowing Minu, Roshni n Anjani dear.....kya kamaal ka likha hai sabne......superbbbb
Logged
roshni246
Guest
«Reply #39 on: October 05, 2006, 09:12:02 AM »
Reply with quote
thxx big bro and niki di...kahan ho aap yaar?!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #40 on: October 05, 2006, 09:53:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"
Khoob! Bahut Khoob ...

Arz Hai..

Kahiin aisaa naa ho ke Khudi mein apna daaman jalaa lo
Abhie to chahe Hamaare Aansuon par Tum Khaak Daalo

Rasm Manaanaa Kii Itni hii zaruurii hai, to phir tum
Hamein Sabse Cheen kar apni Doulat bana Loo

Bohut arse se Roii Hain Jee Bhar ke meri aankhein
Chalo, Abb to tum apni aankhon mein kajal saza Loo

Akelepan se Khauf aane lagta tha mujh ko Jabb
Kahaan Kho Gaye they Khvaabon aye mere Khayaalon

Bahut Josh Bhar ke Louta hoon mein Gum ki Dasht Se
Tum.Mein Himaat ho to Muhabaat ke Baadal Barsa Loo!!


Waaah.....gud one Roshni too...!!1

Arz Arz me tum baat ko Tarz kar gaye......
Choo gaye Misaal AshiQon ki......
Aur khudi ko apni amal kar gaye........!!!!!!!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #41 on: October 18, 2006, 10:11:41 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "nirbhay"
Khoob! Bahut Khoob ...

Arz Hai..

Kahiin aisaa naa ho ke Khudi mein apna daaman jalaa lo
Abhie to chahe Hamaare Aansuon par Tum Khaak Daalo

Rasm Manaanaa Kii Itni hii zaruurii hai, to phir tum
Hamein Sabse Cheen kar apni Doulat bana Loo

Bohut arse se Roii Hain Jee Bhar ke meri aankhein
Chalo, Abb to tum apni aankhon mein kajal saza Loo

Akelepan se Khauf aane lagta tha mujh ko Jabb
Kahaan Kho Gaye they Khvaabon aye mere Khayaalon

Bahut Josh Bhar ke Louta hoon mein Gum ki Dasht Se
Tum.Mein Himaat ho to Muhabaat ke Baadal Barsa Loo!!


Waaah.....gud one Roshni too...!!1

Arz Arz me tum baat ko Tarz kar gaye......
Choo gaye Misaal AshiQon ki......
Aur khudi ko apni amal kar gaye........!!!!!!!!


kehte kehte yunh tumse humse mohabbat kar gaye
dekhte dekhte yunh he tum humse bewafai kar gaye

karoon na tujhse koyi gila shikayath o sanam....
badnaam hote hote humhe farishte bhi na chogaye :D:D:D:D:D
Logged
roshni246
Guest
«Reply #42 on: October 19, 2006, 12:07:41 PM »
Reply with quote
nice lage raho.....merko time mila to zarur reply karungi
Logged
~princess~
Guest
«Reply #43 on: January 08, 2008, 06:38:05 PM »
Reply with quote
cheeerrss Minu jaan



Ek Farishta mujhe aaj raat chu kar tapda gaya
Beete lamhe apni chuhan se yaad dila gaya

Sajaye the kuch sapne mil kar maine saheli sang
Kuchal kar unhe mehez Farsh par bhikra gaya

Har ek tukhde mein aj bhi wo sapna cheekta hai
Umeed jo tut gayi wo aaj phir us deep ko jala gaya

Hume yakeen hua Farishte hote hai sapno mein kaid sahi
Par kab najane Zehen se wo Haqeeqat mein agaya

Khumar ki shayari jo likhne lage dard chalak gar utar aya
raat adhuri thi khwaab bhi pura na hosaka wo mujhe utha gaya

Tujhse Fariyad thi k mujhse daga na karna mere ham-dam
Aj khushiyan meri chura kar dil k haathon mujhko hara gaya


Waqt aur halaat k beech sapno ko aag koi laga gaya


~Roshni~
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #44 on: January 08, 2008, 06:52:56 PM »
Reply with quote
Roll Eyes Roll Eyes Roll Eyes

Roshu

Very emotional thoughts you have poured out !

Ending bahut umda hai

Tujhse Fariyad thi k mujhse daga na karna mere ham-dam
Aj khushiyan meri chura kar dil k haathon mujhko hara gaya
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:21:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer