ek kahaani.. thodi purani.. charan..

by lovely_charan on October 16, 2012, 07:00:34 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1679 times)
lovely_charan
Guest
Reply with quote
main do logon ki baat yahan fir se jo karne wali hun..
ek ladki hai ek ladka hai.. man unki jaannewali hun..
hain kuch alag kuch juda dono ke haav bhaav main kya bolun..
ab khud dekhein aur khud jaane main jo yeh kehne wali hun...


yeh baat huyi.. shuruwaat huyi.. jab dil dono k tanha the..
humsathi the unke bichhde vo dono dil se humraah the..
kuch khoobi hain .. kuch kamiyan hain .. dono ne milkar yeh jaana..
par saath nibha lenge dono .. yeh saath mile tab pehchaana..

vo neel gagan mein udhti hai.. vo gehra ek samandar hai..
vo chanchal tez hawa jaisi.. vo shant saral aur sheetal hai..
yeh dono milte hain aise.. purab aur pashchhim hon jaise..
vo matwali si pawan behti.. vo gehre raaz samata hai..

kuch khatthe meethe pal dono ke jeevan mein bhi aate hain..
akhir jeevan k ras sirf khushiyon mein nahin samate hain..
vo lafzon se baatein karti hai.. vo dil se unhe nibhata hai..
aise hi shayad jeevan k rango main rang... rang jate hain..

kal baat huyi der raat huyi.. vo ladki kuch udaas thi..
phir ladke ko maine dekha.. gum uski bhi mithas thi ..
kehne ko ekdam hain juda.. par dil inke ek taar hain..
jazbaaton ki uljhan mein bhi ehsaason ki dor toh paas thi..

yeh hai dua na hon juda yeh pagal premi hain dono..
kabhi ladhein.. kabhi pyar karein.. kaise albele hain dono..
maine toh pal pal jeevan mein aise ehsaas kiye hain jee..
kabhi hanse .. kabhi ro dein.. kaise matwaale hain dono...
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #1 on: October 16, 2012, 07:03:19 PM »
Reply with quote
main do logon ki baat yahan fir se jo karne wali hun..
ek ladki hai ek ladka hai.. man unki jaannewali hun..
hain kuch alag kuch juda dono ke haav bhaav main kya bolun..
ab khud dekhein aur khud jaane main jo yeh kehne wali hun...


yeh baat huyi.. shuruwaat huyi.. jab dil dono k tanha the..
humsathi the unke bichhde vo dono dil se humraah the..
kuch khoobi hain .. kuch kamiyan hain .. dono ne milkar yeh jaana..
par saath nibha lenge dono .. yeh saath mile tab pehchaana..

vo neel gagan mein udhti hai.. vo gehra ek samandar hai..
vo chanchal tez hawa jaisi.. vo shant saral aur sheetal hai..
yeh dono milte hain aise.. purab aur pashchhim hon jaise..
vo matwali si pawan behti.. vo gehre raaz samata hai..

kuch khatthe meethe pal dono ke jeevan mein bhi aate hain..
akhir jeevan k ras sirf khushiyon mein nahin samate hain..
vo lafzon se baatein karti hai.. vo dil se unhe nibhata hai..
aise hi shayad jeevan k rango main rang... rang jate hain..

kal baat huyi der raat huyi.. vo ladki kuch udaas thi..
phir ladke ko maine dekha.. gum uski bhi mithas thi ..
kehne ko ekdam hain juda.. par dil inke ek taar hain..
jazbaaton ki uljhan mein bhi ehsaason ki dor toh paas thi..

yeh hai dua na hon juda yeh pagal premi hain dono..
kabhi ladhein.. kabhi pyar karein.. kaise albele hain dono..
maine toh pal pal jeevan mein aise ehsaas kiye hain jee..
kabhi hanse .. kabhi ro dein.. kaise matwaale hain dono...
GD
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #2 on: October 16, 2012, 07:04:53 PM »
Reply with quote
thanks.. Usual Smile
Logged
1tarun
Guest
«Reply #3 on: October 16, 2012, 07:11:33 PM »
Reply with quote
GOOD.........AACHA ..HAI MOHATARMA...........
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #4 on: October 16, 2012, 07:13:39 PM »
Reply with quote
shukriya janaab.. Usual Smile
Logged
ashusaxe007
Guest
«Reply #5 on: October 16, 2012, 07:27:48 PM »
Reply with quote
kitni asaani se kitni saari baatein keh di hain, just luving this!!!!  hello2
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #6 on: October 16, 2012, 07:38:45 PM »
Reply with quote
kitni asaani se kitni saari baatein keh di hain, just luving this!!!!  hello2
oh really?? m thankful to you ashu jee.. Usual Smile Usual Smile
Logged
ashusaxe007
Guest
«Reply #7 on: October 16, 2012, 07:44:59 PM »
Reply with quote
Be grateful to your talent not thankful to every appraiser  Winking
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #8 on: October 16, 2012, 07:47:34 PM »
Reply with quote
Be grateful to your talent not thankful to every appraiser  Winking
k.. ll try to maintain the rhythm then.. Winking
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #9 on: October 17, 2012, 12:27:26 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #10 on: October 17, 2012, 01:27:55 AM »
Reply with quote
bahut bhaut hee sunder
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #11 on: October 17, 2012, 10:06:04 AM »
Reply with quote
thank you soo much Usual Smile Usual Smile
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #12 on: October 17, 2012, 10:15:31 AM »
Reply with quote
Sweet!!! Applause Applause Applause
Logged
lovely_charan
Guest
«Reply #13 on: October 17, 2012, 10:21:27 AM »
Reply with quote
thank you shireen jee Usual Smile
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 4 hours and 0 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #14 on: October 17, 2012, 11:00:59 AM »
Reply with quote
kahani purani hai magar naye dhang se pesh ki hai aapne ..
        Awesome  Swinging
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:18:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer