ek khamosh mohabbat..........

by diya786 on February 14, 2008, 12:20:58 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5652 times)
diya786
Guest
Reply with quote
Kiss Usual Smile Winkingmeri khamosh mohabbat ka sila kich bhi nahin
maine chaha bhi tujhe aur chaha bhi nahin

waqt ke saath muqaddar pe yakeen hota gaya isliye
humne khuda se tujhe manga bhi nahin

jaam-e-ulfat bara meetha hota hai
yeh sab kehte hain
zaika iska to humne kabhi chakha bhi nahin

teri lagan mein tujhse bhi aage nikal gaye
tere musafir ne peeche mur kar dekha bhi nahin

umeedon se bhari nazaron se tujhe takti rahi main
par tune ek baar meri khamosh nigahon ki taraf dekha bhi nahin

zindagi mein tujhse mili khushiyaan itni
ki dil mein koi khwaish maine rakhi bhi nahin

dil karta hai pyar tumde bahut
jante hain shayad tumhe ye maloom bhi nahin
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
::Khamosh thhi,khamosh hi reh jayegi ye mohabbat:: by nidhi_yadein in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Meri Khamosh mohabbat by amarjawed in Shayeri for Dard -e- Bewafai
KHAMOSH MOHABBAT..(K_A) by khamosh_aawaaz in Miscellaneous Shayri
Khamosh mohabbat..........by N@@R by Kohinoor in Shayri-E-Dard
Khamosh rahti ye aankhen Suna hai ki mohabbat awaz nhi krti by Asif samani jaunpuri in Shayri for Khumar -e- Ishq
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: February 14, 2008, 12:28:09 PM »
Reply with quote
Diya... That's really marvelous..
It seems, you have write something, which I wanted to write..
But, now.. I could not dare write it after reading it so beautifully by you...

Thanks !! and Keep Writing... Usual Smile
Logged
diya786
Guest
«Reply #2 on: February 14, 2008, 12:32:11 PM »
Reply with quote
thanks a lot shikha
thats my heartfely feelings....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: February 14, 2008, 02:27:49 PM »
Reply with quote
Diya Ji.. Kamaal Ka Likha Hai aapne.. Pata nahi Kyun Par Dil Ko Chhoo Gaya Aapka Yeh Kalaam...!!


E-Saza Yeh Unse Humara Paiyaam kaha Dena Ki,
Ki Har Roz Marta Hoon Main Mohabbat Me Unki...

Saya Bhi aate hue, Darta Hai ab Mere Kareeb,
Yaad Me Thaka-Haara Musafir Ban Chala Hoon Unki....

Kuch Dino Ke Vaaste, Ruka Hoon Intzaar Me Unke,
Phir Chale Jana Hai Mujh ko, Is Duniya se Unki........

E-Yaaron use Kabhi Samjha tha Khuda se Kam Nahi,
Aaj Wo Hi Door Ho Gaye, Kasam De Kar Unki......

Unki Nigaah Me Main Gunah gaar Hoon yeh Mana,
Par Mohabbat me Tadpaana, Yeh Kaise Saza Hai Unki....

E-Khuda Usko Duniya Bhar Ki Khushiyaan Dena,
Barbaad Ho Raha Hoon Main, Mohabbat Me Jiski.....

E-Saza Yeh Unse Humara Paiyaam kaha Dena Ki,
Ki Har Roz Marta Hoon Main Mohabbat Me Unki...



Jaanta Hoon Doston Ki Yeh Rachna Dard Me Honi Chahiye thi.. par Diya Ji Ka Kalaam Padh Kar Dard
Bayan Ho gaya..... Maaf Kijiyega...............!!! sad5  sad5
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: February 14, 2008, 02:58:43 PM »
Reply with quote
bahoot khoob diya .. yah lines bahoot hi achi lagi:

waqt ke saath muqaddar pe yakeen hota gaya isliye
humne khuda se tujhe manga bhi nahin


bahoot hi achi kavita likhi hai apne.. apne sahi kaha ismain dard jayada hai khumar kam...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 14, 2008, 03:00:42 PM »
Reply with quote
Kiss Usual Smile Winkingmeri khamosh mohabbat ka sila kich bhi nahin
maine chaha bhi tujhe aur chaha bhi nahin

waqt ke saath muqaddar pe yakeen hota gaya isliye
humne khuda se tujhe manga bhi nahin

jaam-e-ulfat bara meetha hota hai
yeh sab kehte hain
zaika iska to humne kabhi chakha bhi nahin

teri lagan mein tujhse bhi aage nikal gaye
tere musafir ne peeche mur kar dekha bhi nahin

umeedon se bhari nazaron se tujhe takti rahi main
par tune ek baar meri khamosh nigahon ki taraf dekha bhi nahin

zindagi mein tujhse mili khushiyaan itni
ki dil mein koi khwaish maine rakhi bhi nahin

dil karta hai pyar tumde bahut
jante hain shayad tumhe ye maloom bhi nahin
[/color]

BAHUT KHOOB DIYA..EK EK LINE JAZBAATI THI..BAHUT ACHE..
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: February 14, 2008, 03:46:51 PM »
Reply with quote
Kiss Usual Smile Winkingmeri khamosh mohabbat ka sila kich bhi nahin
maine chaha bhi tujhe aur chaha bhi nahin

waqt ke saath muqaddar pe yakeen hota gaya isliye
humne khuda se tujhe manga bhi nahin

jaam-e-ulfat bara meetha hota hai
yeh sab kehte hain
zaika iska to humne kabhi chakha bhi nahin

teri lagan mein tujhse bhi aage nikal gaye
tere musafir ne peeche mur kar dekha bhi nahin

umeedon se bhari nazaron se tujhe takti rahi main
par tune ek baar meri khamosh nigahon ki taraf dekha bhi nahin

zindagi mein tujhse mili khushiyaan itni
ki dil mein koi khwaish maine rakhi bhi nahin

dil karta hai pyar tumde bahut
jante hain shayad tumhe ye maloom bhi nahin
[/color]

Simply Marvellous !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: February 14, 2008, 03:47:22 PM »
Reply with quote
Diya Ji.. Kamaal Ka Likha Hai aapne.. Pata nahi Kyun Par Dil Ko Chhoo Gaya Aapka Yeh Kalaam...!!


E-Saza Yeh Unse Humara Paiyaam kaha Dena Ki,
Ki Har Roz Marta Hoon Main Mohabbat Me Unki...

Saya Bhi aate hue, Darta Hai ab Mere Kareeb,
Yaad Me Thaka-Haara Musafir Ban Chala Hoon Unki....

Kuch Dino Ke Vaaste, Ruka Hoon Intzaar Me Unke,
Phir Chale Jana Hai Mujh ko, Is Duniya se Unki........

E-Yaaron use Kabhi Samjha tha Khuda se Kam Nahi,
Aaj Wo Hi Door Ho Gaye, Kasam De Kar Unki......

Unki Nigaah Me Main Gunah gaar Hoon yeh Mana,
Par Mohabbat me Tadpaana, Yeh Kaise Saza Hai Unki....

E-Khuda Usko Duniya Bhar Ki Khushiyaan Dena,
Barbaad Ho Raha Hoon Main, Mohabbat Me Jiski.....

E-Saza Yeh Unse Humara Paiyaam kaha Dena Ki,
Ki Har Roz Marta Hoon Main Mohabbat Me Unki...



Jaanta Hoon Doston Ki Yeh Rachna Dard Me Honi Chahiye thi.. par Diya Ji Ka Kalaam Padh Kar Dard
Bayan Ho gaya..... Maaf Kijiyega...............!!! sad5  sad5

Bohot khoobsurat likha hai aapne Vicky..bohot khoob !
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #8 on: February 15, 2008, 05:57:25 AM »
Reply with quote
iss Khamosh mohabbat ko jara jawa honey dey
Mohabbat ke iss fasaney ko aankhon sey baya honey dey
Juban sey baya joho gaya
ulfat ka maza wohh kho gaya

inn baaton ko aankhon sey he keh leine do
Khamosh Mohhabat ko Khamoshi mein he rehney do...

Logged
diya786
Guest
«Reply #9 on: February 15, 2008, 10:55:09 AM »
Reply with quote
thanks a lot poojaji aaapko meri shayari pasand aayi
 khwaishjijazbaati hone ke liye shukriya
 talatji bahut bahut shukriya
aap logon jase shyaron se aapni tareef
is like a dream come true
and last but not the least vicky
meri shyari ke jawaab mein aapne kabil-e-tareef likha hai
aur meri tareef ke liye aapka shukriya
keep posting..
Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: February 15, 2008, 11:02:48 AM »
Reply with quote
zakhmolaji aapka khamosh mohabbat ko kuch aur khamoshi dene ke liye shukriya
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #11 on: November 13, 2008, 04:39:40 AM »
Reply with quote
Kiss Usual Smile Winkingmeri khamosh mohabbat ka sila kich bhi nahin
maine chaha bhi tujhe aur chaha bhi nahin

waqt ke saath muqaddar pe yakeen hota gaya isliye
humne khuda se tujhe manga bhi nahin

jaam-e-ulfat bara meetha hota hai
yeh sab kehte hain
zaika iska to humne kabhi chakha bhi nahin

teri lagan mein tujhse bhi aage nikal gaye
tere musafir ne peeche mur kar dekha bhi nahin

umeedon se bhari nazaron se tujhe takti rahi main
par tune ek baar meri khamosh nigahon ki taraf dekha bhi nahin

zindagi mein tujhse mili khushiyaan itni
ki dil mein koi khwaish maine rakhi bhi nahin

dil karta hai pyar tumde bahut
jante hain shayad tumhe ye maloom bhi nahin
[/color]

Diyaa Maine aaj Ye Jaana Ki aap Mein Kitni Kashish Hai..
Aisa Likhte Ho..aisa likhte ho....Jaise koi Ulza shayar Likhta Ho..jise Har pahelu shayri ka Malum hota Hai...
Aur Jo Lafz Istemal kiye hai,,
Bahot hi Badhiya..Shaandaar

waise,,Delli waale achaa likh lete hai,,dekha hai aksar
Logged
diya786
Guest
«Reply #12 on: November 14, 2008, 07:16:09 AM »
Reply with quote
YEH FAISLA AAP PAR HAI KI DELHI WAALE ACCHA LIKHTE HAIN YA NAHIN
WAISE TAARIF KE LIYE SHUKRIYA
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: November 14, 2008, 07:49:00 AM »
Reply with quote
Good one Diya Ji

Pata  hi na chala isliye  ki teri khamosh mohabbat thi
Kya kare woh bechara usne kabhi mohabbat ki na thi

Padh na saka woh teri Khamosh mohabbat ki bhasha
Kyon kiya us bechare par tum ne julm aisa
Logged
diya786
Guest
«Reply #14 on: November 14, 2008, 10:13:30 AM »
Reply with quote
shukriya Rajesh ji

kya kiya yeh khud hi na samajh sake
mohabaat itni thi ki door ho na sake
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:04:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer