ek khawab ek kahaani ................

by ranjana on June 18, 2006, 04:31:57 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2997 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
aaj mujhe apne pyaar ki sab nadaniyaan yaad hai
teri khomoshiyaan aur apni ankahi baate yaad hai

teri aankho mein dekha hai maine apne khawabo ko palte hue
aaj mujhe tera un sapno se aankhe churana yaad hai
ki thi humne aankho se baate bahut,
per keh na sake apni juban se un baato ko
apne dono ke beech woh tharai hui khomoshiyaan yaad hain

tum toh bhul chuke hoge woh mohabbat ki sab baate.n
per mujhe aaj bhi meri ek jhalak dekhene ke liye
tera woh apni gali mein aana yaad hai..........

woh apni pyaari si mulakaat,
labo per khomoshi,aur the dil mein machle hue jajbaat
na kaha tumne kuch ,na kaha maine kuch.....
per aaj bhi woh tere haatho ka apne haatho ko thapthapaana yaad hai

kiye they hamne kai vaade ,ankahe se apni aankho se
dekha thaa ek duje ko kai baar pyaar bhari nazaro se
tum toh bhul gaye woh apni pyaar ki sogaate...
per mujeh aaj bhi woh apni pehli mohabbat ka geet suhana yaad hai

raat bhar ki thee jo hamne mohabbat ki baate
woh tera chedna ,aur mera sharma jaana.
mujeh aaj tak sharm se apne gaalo.n ka surkh ho jaana yaad hai

aate they mere pass tere kai khali khat
mehakte woh khushboo se bahre woh khat
na jaane karte they kitne baate woh mujhse
mujhe aaj bhi un khato ki mehak mein gum ho jaana yaad hai
tere khali khato ko woh ghanto pad ke muskarna yaad hai...........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sholoon ki kahaani hai shabnam ki zubaani hai by Pooja in Shayari -e- Husn « 1 2 3 4 5 »
Khawab Sirf Khawab Hi Reh Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Ek Kahaani Dard Ki Au Sahi,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Khuli Kitaab Bhi Hai Aur Band Kahaani Bhi...(NM) by maya01 in Shayri-E-Dard
Tu Hi To Meri Kahaani Hai... by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: June 18, 2006, 04:41:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
aaj mujhe apne pyaar ki sab nadaniyaan yaad hai
teri khomoshiyaan aur apni ankahi baate yaad hai

teri aankho mein dekha hai maine apne khawabo ko palte hue
aaj mujhe tera un sapno se aankhe churana yaad hai
ki thi humne aankho se baate bahut,
per keh na sake apni juban se un baato ko
apne dono ke beech woh tharai hui khomoshiyaan yaad hain

tum toh bhul chuke hoge woh mohabbat ki sab baate.n
per mujhe aaj bhi meri ek jhalak dekhene ke liye
tera woh apni gali mein aana yaad hai..........

woh apni pyaari si mulakaat,
labo per khomoshi,aur the dil mein machle hue jajbaat
na kaha tumne kuch ,na kaha maine kuch.....
per aaj bhi woh tere haatho ka apne haatho ko thapthapaana yaad hai

kiye they hamne kai vaade ,ankahe se apni aankho se
dekha thaa ek duje ko kai baar pyaar bhari nazaro se
tum toh bhul gaye woh apni pyaar ki sogaate...
per mujeh aaj bhi woh apni pehli mohabbat ka geet suhana yaad hai

raat bhar ki thee jo hamne mohabbat ki baate
woh tera chedna ,aur mera sharma jaana.
mujeh aaj tak sharm se apne gaalo.n ka surkh ho jaana yaad hai

aate they mere pass tere kai khali khat
mehakte woh khushboo se bahre woh khat
na jaane karte they kitne baate woh mujhse
mujhe aaj bhi un khato ki mehak mein gum ho jaana yaad hai
tere khali khato ko woh ghanto pad ke muskarna yaad hai...........


Very Interesting and Touching Ranju......Superrrrrbbbb Job beta..... :wink:
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #2 on: June 18, 2006, 05:00:39 AM »
Reply with quote
marvelous and mind touching... ranjana...
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #3 on: June 18, 2006, 05:00:41 AM »
Reply with quote
bahut hi sunder likha hai ,ranjana ji...........

  yaad karte hai aaj bhi woh mohabbat ki batein
   gujare the jo pal humne saath woh mulakatein
 
...................@fahi@........................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: June 18, 2006, 06:27:45 AM »
Reply with quote
shukriya Gaurav, Mk ji ,N  Fahi ji........bahut khub.......

dil aaj bhi mera unhi wadiyon mein ghumta hai
jahan kiya thaa hamne iqarar apni mohabbat ka
tum toh na jaane kahan nikal gaye............
per meri nazaro ko aaj bhi pyaar ka suhana manzar yaad hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #5 on: June 18, 2006, 06:41:54 AM »
Reply with quote
teri saadgi ne mujhe is qadar deewana kar diya
 chand ki tasveer mai, maine tera chehra bhar diya

...................@fahi@.......................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: June 18, 2006, 06:48:52 AM »
Reply with quote
mat dekhi tum chand mein tasvur mera
yeh badte ghatate chand ki tarah dhal jaayga
kar lo mujhe pyaar tum chandani ki tarah
yeh woh ujala hai pyaar ka jo ban ke nasha
dilo mein utar jaayga...................
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #7 on: June 18, 2006, 06:49:43 AM »
Reply with quote
good job alll :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: June 18, 2006, 06:52:09 AM »
Reply with quote
shukriya JEET ........per likha kyu nahi  kuch.......... Usual Smile
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #9 on: June 18, 2006, 07:21:41 AM »
Reply with quote
tujhe chandni ki nazar se dekhna to chaha
 tere pyar ke nashe main dub jana to chaha
 per kya karu main ki sirf ek dil hai mera
 warna har baar dil ne bikhar jana to chaha.

...........@fahi@..............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: June 18, 2006, 07:32:21 AM »
Reply with quote
tere bikhre jajbaato ko ham sambhal lenge
tere tute kahwabo ko hum apne pyaar se saja denge
tum ek baar pyaar se pukaaro toh sanam
aaj tujhko hum apne dil mein basa lenge........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: June 18, 2006, 07:36:40 AM »
Reply with quote
Chand ki Chandani se bana tera Noor hai.....
Taare bhi chup jaye dekh tujhe.....
Kahe ki yeh kaise Dharti par Jannat ka Noor hai......

Timtimati raat Chandani......
Us par tere Badan ki Jawaala.....

Peena chahe yeh Shayar tera nasha......
Bann jao tum mere Jeevan ki Madhushala.......!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: June 18, 2006, 07:45:41 AM »
Reply with quote
bahut khub  Gaurav...........

aaj unki nazar mujhse kuch bol rahi hai
ek nasaha sa dil mein ghol rahi hai
unki bahaao.n mein paaya hai ek sakun
ek jaam peela de fir se mohabbat ka
raat ki tanahai bhi kuch bol rahi hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: June 18, 2006, 07:49:23 AM »
Reply with quote
Khub bahut khub reply dia hai Usual Smile


Raatein ab Tanha kahan......
Tere Khawabon ke saath ab me sota hoon.....

Khamoshi ke woh pal sajaye hai kuch iss tarah......
Ki teri Chahat me pal pal jeeta hoon pal pal marta hoon......

Mujhe Ghayal kar gayi Seene se mere tu Dil le gayi.....
Bas yoon hee haste gaate Jindagi ki harr MushKil guzar gayi.....

Teri baatein kuch iss Kadar Dil pe mere Waar kar gayi........!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: June 18, 2006, 07:59:29 AM »
Reply with quote
aaj kuch na kuch toh jarur hona hai
aaj samana rooh ka rooh se hona hai

jindagi wahi hai kubsurat hai ab meri
jis pal mein maine tere mere khawabo ko sach hona hai

ab kyu dare apne izhaare mohabbat se hum
jo bhi hona hai woh ab ho ke hi rehana hai

utha ke ab yun mehfil se mat jaana
aapke ujale se roshan mere dil ka kona kona hai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:53:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer