Ek Khayaal...... (Shikha)

by Shikha12 on August 03, 2006, 06:59:52 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 6417 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: August 03, 2006, 05:06:06 PM »
Reply with quote
bahut khoob neer...and  naveen ... tushar .thanks talat ,rajbir ...

naajuk se lamho mein treta koi waqt ka saaya
pehle dil mein tera khayaal thaa fir tu chala aaya

aa ke reh ja ab apne inhi khayaalo ki tarah
bas ek yahi chhotti si khwaish sa tu mere dil per chhaaya

ek baar aa ke dur kar de meri tanhaiyaan
ki aanhko mein ter raha hai tere saath beete palo ka saaya

waqt dhal ke keh raha hai bikhar na jaaye ab sab kahi
aake samet le mere vajood ko bas yahi khyaal ab dil mein aaya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yeh kya khayaal hai by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
..~~Ik khayaal~~.. by HumTum is back in Miscellaneous Shayri
Be-Mausam se Khayaal !!! (Shikha) by Shikha12 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
khayaal?? by rawattanha in Shayri for Dard -e- Judai
badnaam_shayar
Guest
«Reply #16 on: August 03, 2006, 05:17:21 PM »
Reply with quote
Zindagi hai tu tujhse Judi meri Jaan hai.....
Akeli thi Raahon par ab dekh Saji Mehfilon ki Shaam hai......

Hota WaQt majboot toh hum tujhse aur Chaar baat karte......
Na rakhte aur Chup tujhe tere labon par aur Kayi Muskurahat bharte.....

Na le saka teri Yaad Dil mein.....
Jab tujhe hee Dil me basa lia.....

Aa tu bhi Rang de yeh Desh apne Mehek se.....
Phir na kehna humne hee beech raahon me haath Chura lia.....!!!!!!!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #17 on: August 03, 2006, 07:50:23 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Zindagi hai tu tujhse Judi meri Jaan hai.....
Akeli thi Raahon par ab dekh Saji Mehfilon ki Shaam hai......

Hota WaQt majboot toh hum tujhse aur Chaar baat karte......
Na rakhte aur Chup tujhe tere labon par aur Kayi Muskurahat bharte.....

Na le saka teri Yaad Dil mein.....
Jab tujhe hee Dil me basa lia.....

Aa tu bhi Rang de yeh Desh apne Mehek se.....
Phir na kehna humne hee beech raahon me haath Chura lia.....!!!!!!!!


appne saach mein apna haath chura liya hai
na chahate huwe bi humhe maar diya hai

tera saath tu dooh sohane pal bithane the humne
parh kya karein naseeb hamare haathoin mein nahi hai :D:D
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #18 on: August 04, 2006, 11:25:52 AM »
Reply with quote

Thanks all....Rajbir ji, Ranju Di, Talat, Naveen, Tushar, Neer, Gaurav, Anjani...

Naveen...Tushar, Neer, Gaurav, Ranju di, Anjani .....Kya baat hai....Meri Nazm to pheeki pad gayi aap logo ke saamney.....Really very nice all of u...
[/b]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #19 on: August 04, 2006, 11:32:11 AM »
Reply with quote
Shikha

Chalo doobara se apni nazm mein thodi mishri gholo khumar ki :D

Rajbir
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #20 on: August 04, 2006, 11:33:34 AM »
Reply with quote


POETRY DELETED BY SHIKHA....
[/b]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #21 on: August 04, 2006, 11:38:11 AM »
Reply with quote
Shikha

Excellent ! =D> =D> =D>

Bahut jaldi tumne mishri gholi !  :D

Very nice...Keep it up !

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #22 on: August 04, 2006, 12:20:13 PM »
Reply with quote
too good shikha ...wakayi  mishri se ghol di tumne....... :D ab mein sugar daalti hun thodi si ... :wink:  :D


saj rahi hai ab maathe per bindiya unke naam ki
ghul rahi hai meri saanso mein mehek unke ehasas ki

jaagi hai ab umange mere dil mein unke deedar  ki
beh rahi hai is dil mein ek nadi ab bas unke pyaar ki

jab se saji hai unki tasveer meri aankho mein
mil rahi hai us tasveer mein jhalak mujhe apne bhagwaan ki

gunj raha hai mera dil ab unke hi pyaar ke raag se
dikha rahi hain  aankhe meri mujhe sapane ek sunhare sansaar ki

ek naam jab se unka jud gaya mere naam se
mujhe manzile ab dikh rahi hain apne dard ke raasto mein pyaar ki
Logged
ranjana
Guest
«Reply #23 on: August 04, 2006, 12:27:36 PM »
Reply with quote
shukriya majid ..... Usual Smile
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #24 on: August 04, 2006, 03:05:33 PM »
Reply with quote
Iss dil se tera khayal na jaaye to main kya karun
Bhool bhool ke bhi aaye tera khayal to main kya karun
Reh Reh kar sataye mujhe tera khayal, main kya karun
Harr sawaal se faa'ez hota hai tera khayal...
Tere Khayalon se Sajj gaya hai Guncha mera
Tohfa lene ke tum nahi ho kayaal, mein mere haal-e-dil ka kya karun
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #25 on: August 04, 2006, 03:16:52 PM »
Reply with quote
Fiza ke rukh mein rakh denge hum Khayal sanam ka
Dil ke har Dukh mein rakh denge hum khayal sanam ka
Wakt ke kanto pe banaa denge naksh sanam ka
Dil ki harr dewaar pe likh denge naam sanam ka!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #26 on: August 04, 2006, 08:08:58 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
dil pe likhe naam aksar mit jaate hai
aankho main rehne wale hi beh jaate hai
mere dost kisi ko dil main na bitha na kabhi
kyun ke dil ke aksar 2 tukde ho jaate hai


dil parh likhe huwe naam mita nahi jate hain
ankho mein se ansu ke ilawa koi bi nahi jate hain
dost dil mein bithana kisi ko jo mila zindagi ke safar mein
aksar woh tujhe manzil tumhari dikha jate hain
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #27 on: August 05, 2006, 04:24:20 AM »
Reply with quote
kisi ka naam mahfil me aye to kya hoga
jab tak wo dil me na aye to kya hoga
kisi manjar se dil lag jaye to kya hoga
jab kudh hi manjar ban jaye to kya hoga
shaam ke waqt s dosti ho jaye to kya hoga
jab khud ka sooraj hi doob jaye to kya hoga
kisi ka khayal jab sataye to kya hoga
jab koi bichada yaad aye to kya hoga
bebasi ka aalam u gujar jaye to kya hoga
meri chahat kisi ko na najar aye to kya hoga
ab umr khatm hone ko hai e mere dost
ab bhi koi na bulaye to kya hoga
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: August 05, 2006, 08:18:34 AM »
Reply with quote
bahut khoob neer ,majid ...anjani ....mohsin too good...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #29 on: August 05, 2006, 08:24:08 AM »
Reply with quote
Quote from: "mohsin akhter"
kisi ka naam mahfil me aye to kya hoga
jab tak wo dil me na aye to kya hoga
kisi manjar se dil lag jaye to kya hoga
jab kudh hi manjar ban jaye to kya hoga
shaam ke waqt s dosti ho jaye to kya hoga
jab khud ka sooraj hi doob jaye to kya hoga
kisi ka khayal jab sataye to kya hoga
jab koi bichada yaad aye to kya hoga
bebasi ka aalam you gujar jaye to kya hoga
meri chahat kisi ko na najar aye to kya hoga
ab umr khatm hone ko hai e mere dost
ab bhi koi na bulaye to kya hoga


bahut khoob ji ......


hum rok lenge unko woh pass aaye toh jara
dil mein hai pyaar kitna hum yeh unhe bataaye toh jara
hongi fir baate kayamat ki raat tak unse
bas ek baar woh hame dekh ke muskaraye toh jara
rehega na fir unhe khayaal duniya ka mere jaise
ek baar hame woh hamse nighaae.n milaye toh jara
pass aa ke unke hum hosh mein rahe ab kaise
bas ek baar hame woh apne pehlu mein bithaaye toh jara!!!!!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:25:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer