"ek ladki ko soch rha hu.n"

by aaina on April 20, 2009, 09:45:48 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2986 times)
salil2002
Guest
«Reply #15 on: April 21, 2009, 10:56:53 AM »
Reply with quote
ek ladki ko soch rha hu.n hai bilkul diwani si
lagti jaane kiy.n hai mujhko wo jaani pehchani si

khat o khaal hai.n aise uske ke jaise ab bole
showcase mai rhkhi hui ek gudia japani si

khabo khabo dhoond rha hu.n mai jane kabse
aisa mujhko lagta hai yahi hai wo anjaani si

dil chahe padta jau.n bas mai padta jaau.n
uski aankho mai hai jo likhi baat ek rumani si

pehle to socha nahi tha lakin ab aisa lagta hai
karni hi padegi mujhko ek choti nadaani si

wo chahe kuch kehna aur kuch mai bhi chahu.n
dono kaha.n se shru karai.n jo hai dil ki zubani si

mein jo likhta hu.n aur jo kuch kehta hu.n
sab uske baar mai hai baat hai ye samjhani si

hukm mila hai aslam apne baare mai kuch kaho
ke do dil ki saari baatai.n warna hogi naadani si



aslam bhai mazaa aa gaya yeh rumani ehsaa pad kar

tere baare main sochoon na ,yeh toh namumkin hai
kii mere dil se teri surat hi pehchaani jaati hai
achcha bhala tha tera deedar karne se pahle
ab toh har pal lagta hai kii tere bin yeh jaan chali jaati hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"TUM" ladki ke liye itna... by chahat in SMS , mobile & JOKES
~~"EK BIKHRI HUI LADKI, TABAYAF"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard
~~"EK LADKI DEEWANI SI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard
~~"HAR LADKI KI ZINDGANI"~~by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3  All »
"sirf ek ladki" by aaina in Shayri-E-Dard
sajid_ghayel
Guest
«Reply #16 on: April 22, 2009, 07:02:13 AM »
Reply with quote
@Aslam..
Dil chahe padhta jaoo......Bohat khoob Aslam  Clapping Smiley

@Talat
Palke jhukthi uthti si....Bohat khoob Talat  Clapping Smiley

Nice lines by you Salil.... Applause

 
Logged
aaina
Guest
«Reply #17 on: April 22, 2009, 09:53:46 AM »
Reply with quote
Bohat Bohat Achche Aslam Bhai, Kamaal ka Likha Hai yaar Aapne,.
Yunhi Likjhte rahiye,.


Aur talat behna, As Usual A Great Work From U,.

thnxxxxxxx so much azeem.......
Logged
aaina
Guest
«Reply #18 on: April 22, 2009, 09:56:10 AM »
Reply with quote
Waah.... Bahoot hi khoob likha hai Aslam ji Applause Applause Applause

Talat sis ne bhi acha likha hai!!

bhut bhut shukriy salma ji..........
zahir hai celmira ne to jawab hi nhi rakha.
Logged
aaina
Guest
«Reply #19 on: April 22, 2009, 09:57:27 AM »
Reply with quote
Fantastic... Bahut khoob Aslam ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley  Thumbs UP

(Wo Ek Larki Kaun hai?  Winking )


thnxxxx roja...........bataya hai tumhay ki koi nahi
Logged
aaina
Guest
«Reply #20 on: April 22, 2009, 09:58:44 AM »
Reply with quote
WAAH KYA BAAT HAI JEEE.....

thnxxxx so much pandit sahab.....im so happy ke apko ghazal achi lagi
Logged
aaina
Guest
«Reply #21 on: April 22, 2009, 10:00:09 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Aaina ji
Bahut hi pyaari rachna hai Clapping Smiley Clapping Smiley

thnx so much jannat................
Logged
aaina
Guest
«Reply #22 on: April 22, 2009, 10:09:53 AM »
Reply with quote
aslam bhai mazaa aa gaya yeh rumani ehsaa pad kar

tere baare main sochoon na ,yeh toh namumkin hai
kii mere dil se teri surat hi pehchaani jaati hai
achcha bhala tha tera deedar karne se pahle
ab toh har pal lagta hai kii tere bin yeh jaan chali jaati hai

salil sahab bhut bhut shukriya ke aapko gahzal achi lagi...........aru janab bhut khoob reply hai waah kya baat hai
Logged
aaina
Guest
«Reply #23 on: April 22, 2009, 10:11:27 AM »
Reply with quote
@Aslam..
Dil chahe padhta jaoo......Bohat khoob Aslam  Clapping Smiley

@Talat
Palke jhukthi uthti si....Bohat khoob Talat  Clapping Smiley

Nice lines by you Salil.... Applause

 


bhut bhut shukriya sajid ji.................
Logged
aaina
Guest
«Reply #24 on: April 22, 2009, 10:15:09 AM »
Reply with quote
Lafzon Se Jaana Maine, Kaisi Lagti Hogi Wo
Rang Rupehla, Roop Sunehra, Aisi Lagti Hogi Wo ?

Aankhon Main Hoga Kaajal, Palken Jhukti Uthti Si,
Khwaabon Se Utar Ke Aayi Pari Si Lagti Hogi Wo ?

Uske Dam Se Raushan Hoga, Kamre Ka Ek Ek Kona,
Honton Pe Muskaan Bikhere Kaisi Lagti Hogi Wo ?

Hum To Bas Itna Chaahen Ye Khwaab Tumhare Sach Ho Jaayen,
Haseen Khwaab Ki Ek Taabeer Jaisi Lagti Hogi Wo !!

waah waah celmira ji kya baat hai bhut hi khoob reply....aapne meri ghazal ka rang hi pheeka kar diya........really bhut acha kaha hai.........god bless u

ye to bas khaab hain mere, jaane kaisi hogi wo
tumhara khyaal bhi mana humne shayad aisi hogi wo
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: April 22, 2009, 11:25:24 AM »
Reply with quote

@Talat
Palke jhukthi uthti si....Bohat khoob Talat  Clapping Smiley


 


Bohot Shukriya Sajid Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: April 22, 2009, 11:30:47 AM »
Reply with quote
waah waah celmira ji kya baat hai bhut hi khoob reply....aapne meri ghazal ka rang hi pheeka kar diya........really bhut acha kaha hai.........god bless u

ye to bas khaab hain mere, jaane kaisi hogi wo
tumhara khyaal bhi mana humne shayad aisi hogi wo


Aap to sharminda kar rahe hain Aslam Ji..Hum to aapse seekh rahe hain !! Shukriya bohot bohot is hausla afzaai ka !

Ek Din Chham Se Aa Jaayegi,
Payal Choodi Khankaayegi,
Rangon Se Phir Din Honge,
Aur Chandni Si Har Raat Hogi
Khwaab Tere Sach Ho Jaayenge,
Armaanon Ki Baarish Main
Khwabon Main Basti Hai Jo,
Saath Tere Har Pal Hogi !!!
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #27 on: March 12, 2010, 02:15:56 PM »
Reply with quote
nice  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
limra
Guest
«Reply #28 on: March 17, 2010, 01:50:21 PM »
Reply with quote
Bahut accha likha aiina ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #29 on: March 17, 2010, 02:44:20 PM »
Reply with quote
Kamaal ki shayari hai Talat ji. Bahut shayari padhi magar aisi bahut kam padhi. Aapki is creation ko dekhkar jee chahta hai ke ya to isi meyar ki poetry likhun ya likhna chhod dun.
Lafzon Se Jaana Maine, Kaisi Lagti Hogi Wo
Rang Rupehla, Roop Sunehra, Aisi Lagti Hogi Wo ?

Aankhon Main Hoga Kaajal, Palken Jhukti Uthti Si,
Khwaabon Se Utar Ke Aayi Pari Si Lagti Hogi Wo ?

Uske Dam Se Raushan Hoga, Kamre Ka Ek Ek Kona,
Honton Pe Muskaan Bikhere Kaisi Lagti Hogi Wo ?

Hum To Bas Itna Chaahen Ye Khwaab Tumhare Sach Ho Jaayen,
Haseen Khwaab Ki Ek Taabeer Jaisi Lagti Hogi Wo !!
Ek Din Chham Se Aa Jaayegi,
Payal Choodi Khankaayegi,
Rangon Se Phir Din Honge,
Aur Chandni Si Har Raat Hogi
Khwaab Tere Sach Ho Jaayenge,
Armaanon Ki Baarish Main
Khwabon Main Basti Hai Jo,
Saath Tere Har Pal Hogi !!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:22:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer