Ek sacchi daastan...

by cool neha on April 03, 2014, 04:25:46 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1488 times)
cool neha
Guest
Reply with quote
Jab zindagi ko samjhe to zindagi se door the ham..
Marna jab chaha to jeene ko mazboor the ham..
Saza jab mili hame…sir ko jhuka liya hamne..
Qusoor yh tha ki bequsoor the ham

Meri zindagi ki ek daastan suna rahi  hun…
Ya yun samajh lo..
meri zindagi ki asliyat bta rahi hun…
Sab kuchh tha zindagi me….
phir bhi kuchh kami si thi…
Maa baap saath the par pyar ki bhookhi si thi…
Ek din aaya voh shaksh meri duniya me…
Ham bhi mar mite the uski chahat me…
Par kahne se aksar usse ham darte the…
Uske pyar ko khuda ka tohfa maana karte the…
Use lga ham usse pyar nhi karte…
Hamari zindagi me use apna nhi maana karte…

Par uss nadan ko kya pata ki….
Apna sab kuchh maan baithi thi use…
Apni khushiya bhi naam kar chuki thi uske…
Mere iqraar na karne se voh door chala gaya…
Kisi aur se voh mohabbat karne lag gaya….
Toot gaye ham uske iss faisle se…
Mann uth chukka tha yh jeevan jeene se…
Par uski khushiyo ki dua phir bhi maanga karte the..
Uski yaad me din raat guzara karte the….
Ek din uska pyar bhi usse muh mod gaya…
Use hamari hi tarah akela chhod gaya…
Phir aaya voh pachhtata hua mere passs….
Hame bhi dikhi unke pyar ki phir se aas…
Phir laga khushiya mil chuki hai hame..
Par manchala hai vo kya kare…
Phir beech raah me saath chhod gaya…
Mujhe rota hua akela chhod gaya..

Hui meri tabiyat kharab ek din..
Aur voh bechain sa ho gaya…
Maine kaha main thik hu yaar..
Aur vo phir se khush ho gaya…
Par use kya pta tha kchh chhupa rahi hun usse..
Apni maut ka sach chhupa rahi hun usse..
Tanhayi ka voh aalam ab bhi chal raha hai..
Voh din bhi aayega …
Jab voh akela hoga…
Aur main tanha maut ke intezaar me rhungi..
Voh mere saath ki minnatein karega…
Par main khamosh rahungi…
Meri maut ka sach kisi ko nhi pta…
Tere dhokhe se hi mar gayi thi…
Ab toh bass khuda ka bulawa aaya hai..
Uppar wale ne mujhe apne ghar bulaya hai..


Ab sabse doori kar rahi hun main..
Mujhe galat mat samjhna…
Pyar tujhse ab bhi karti hun par..
Ab saath nibha nahi sakti…
Mujhe intezaar hai ab maut ka..
Tera aur intezaar kar nhi sakti,,,

Meri maut ki khabar sune to
Aansu mat bahana…
Varna dukh tere aansu ka jyada hoga..
Meri kabra me aaye agar tu kabhi….
To aankhein band karke mere pyar ko yaad karna…
Tujhe meri aashiqui ka har lamha sachha lgega…
Abhi to tu khush hai teri zindagi me..
Magar voh waqt aane waala haii..
Jab tu miiti ke uppar rota rahega aur ..
Mera dil mitti me sota rhega…
Mera dil mitti me sota rhega…




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sabse sacchi maut by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
sacchi mahobbat by param_sunny in Shayri-E-Dard
~!~Sacchi Mahobbat~!~(Pure Love) by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sacchi Mohabbat by Shayaries_King in Ghazals
Sacchi Mohbbat...................Rishi by Rishi Agarwal in Shayri for Dard -e- Judai
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: April 03, 2014, 04:35:35 PM »
Reply with quote
GOD BLESS U
Logged
premdeep
Guest
«Reply #2 on: April 03, 2014, 04:46:48 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley very emotional and touching post bahut khoob
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #3 on: April 03, 2014, 05:15:06 PM »
Reply with quote
Meri zindagi ki ek daastan suna rahi  hun…
Ya yun samajh lo..
meri zindagi ki asliyat bta rahi hun…
Sab kuchh tha zindagi me….
phir bhi kuchh kami si thi…
Maa baap saath the par pyar ki bhookhi si thi…
 Applause Applause Applause Applause Applause
Ek din aaya voh shaksh meri duniya me…
Ham bhi mar mite the uski chahat me…
Par kahne se aksar usse ham darte the…
Uske pyar ko khuda ka tohfa maana karte the…
Use lga ham usse pyar nhi karte…
Hamari zindagi me use apna nhi maana karte…
 Applause Applause Applause Applause Applause
Par uss nadan ko kya pata ki….
Apna sab kuchh maan baithi thi use…
Apni khushiya bhi naam kar chuki thi uske…
Mere iqraar na karne se voh door chala gaya…
Kisi aur se voh mohabbat karne lag gaya….
Toot gaye ham uske iss faisle se…
Mann uth chukka tha yh jeevan jeene se…
Par uski khushiyo ki dua phir bhi maanga karte the..
Uski yaad me din raat guzara karte the….
 Applause Applause Applause Applause Applause
Ek din uska pyar bhi usse muh mod gaya…
Use hamari hi tarah akela chhod gaya…
Phir aaya voh pachhtata hua mere passs….
Hame bhi dikhi unke pyar ki phir se aas…
Phir laga khushiya mil chuki hai hame..
Par manchala hai vo kya kare…
Phir beech raah me saath chhod gaya…
Mujhe rota hua akela chhod gaya..
 Applause Applause Applause Applause Applause
Hui meri tabiyat kharab ek din..
Aur voh bechain sa ho gaya…
Maine kaha main thik hu yaar..
Aur vo phir se khush ho gaya…
Par use kya pta tha kchh chhupa rahi hun usse..
Apni maut ka sach chhupa rahi hun usse..
Tanhayi ka voh aalam ab bhi chal raha hai..
 Applause Applause Applause Applause
Voh din bhi aayega …
Jab voh akela hoga…
Aur main tanha maut ke intezaar me rhungi..
Voh mere saath ki minnatein karega…
Par main khamosh rahungi…
Meri maut ka sach kisi ko nhi pta…
Tere dhokhe se hi mar gayi thi…
Ab toh bass khuda ka bulawa aaya hai..
Uppar wale ne mujhe apne ghar bulaya hai..
 Applause Applause Applause Applause Applause
Ab sabse doori kar rahi hun main..
Mujhe galat mat samjhna…
Pyar tujhse ab bhi karti hun par..
Ab saath nibha nahi sakti…
Mujhe intezaar hai ab maut ka..
Tera aur intezaar kar nhi sakti,,,
 Applause Applause Applause Applause
Meri maut ki khabar sune to
Aansu mat bahana…
Varna dukh tere aansu ka jyada hoga..
Meri kabra me aaye agar tu kabhi….
To aankhein band karke mere pyar ko yaad karna…
Tujhe meri aashiqui ka har lamha sachha lgega…
Abhi to tu khush hai teri zindagi me..
Magar voh waqt aane waala haii..
Jab tu miiti ke uppar rota rahega aur ..
Mera dil mitti me sota rhega…
Mera dil mitti me sota rhega…
 Applause Applause Applause Applause Applause
itna dard itni masumiya itni saafgoi,
eysa humsafer aajke woqt milta nahi koi,,,,,


bohut dard bhare alfaazo ko use kiya hai bohut khub neha,,,,,,hpy raho
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #4 on: April 03, 2014, 06:13:26 PM »
Reply with quote
Apki taqleeq me jahan bewafa maheboob ki shikayaten aur mahubbat ka dard-o-gham ba darja atam maujod hai wahin kufr ki chaaya bhi halkoriya’n le rahi hai Mahutrama na umidi kufr hai aur zindagi khuda ka nayab tohfa hai jisko har haal me jeena chahiye ….Apki taqleeq dad o Mubarak baad ki mustaheq hai qubool Karen

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
Zaif
Guest
«Reply #5 on: April 03, 2014, 08:31:54 PM »
Reply with quote
Vry nice. Beautiful !
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #6 on: April 04, 2014, 08:54:23 AM »
Reply with quote
bahut khoob, full of emotions
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:04:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer