~~*Ek SaYa*~~

by badnaam_shayar on June 12, 2006, 08:06:35 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3208 times)
angel4u
Guest
«Reply #30 on: June 17, 2006, 04:52:48 AM »
Reply with quote
Bahut khub gaurav.
Nice ranjana Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
In aankhon mein ek saya hai by adesh_goyal in Shayri for Khumar -e- Ishq
SAYA.......... by ranjana in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Phone 'O' Friend - Ak saya by deepika_divya in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Aapki Mohabbat Mein..(Anjaan Saya) by anjaansaya in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ak Saya Hun Mein by deepika_divya in Miscellaneous Shayri
angel4u
Guest
«Reply #31 on: June 17, 2006, 04:53:31 AM »
Reply with quote
Teri Chahat Bahut Kar Li HuMne,
Tere Bas Me Nai Jo Tu HaMein Pyar Dega,
Ab Karenge HuM Dard Ki Chahatein,
Yehi To Hai Jo Kabhi Mujhe Dhoka Na Dega...
* * * * *
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #32 on: June 17, 2006, 05:01:07 AM »
Reply with quote
dard k samander me kabhi doobe nahi tum ....
kaise kahoge yaha charo taraf wafai hai ......
isme doobe hai hum humare dil me dekho ...
dard ka samander hai usme charo taraf tanhai hai....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #33 on: June 17, 2006, 07:58:51 AM »
Reply with quote
very nice angle and Tushar.......... Usual Smile
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #34 on: June 17, 2006, 08:06:07 AM »
Reply with quote
thx ranjana  ji very very thxq
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #35 on: June 17, 2006, 09:54:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
yeh kaun hai jo saya ban ke mujh per chhaa raha hai
yeh kaun kaun hai jo mere dil ke kareeb aa raha hai

yeh kiski kahaaniya.n gungunane laga hai aaj mann
yeh kiske chhoone se jal utha hai mera  tan bandan

yeh kaun hai jo mujhe mujhse hi dur liye ja  raha hai
meri aankho mein base saye ko haqikat bana raha hai


Superb Ranju

 :D  :D  :D
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #36 on: June 20, 2006, 08:23:25 AM »
Reply with quote
Quote
yeh kaun hai jo saya ban ke mujh per chhaa raha hai
yeh kaun kaun hai jo mere dil ke kareeb aa raha hai

yeh kiski kahaaniya.n gungunane laga hai aaj mann
yeh kiske chhoone se jal utha hai mera tan bandan

yeh kaun hai jo mujhe mujhse hi dur liye ja raha hai
meri aankho mein base saye ko haqikat bana raha hai


Ek SaYa bankar tujhe pana Chahata tha.....
Kya tum mere Izhaar se Ikraar karti ho......

Ek Khushi bankar tumhara Gum pee jaana chahata tha......
Kya tum bhi mujhe tahe Dil se Sanam ki tarah Pyar karti ho.....

Guzar jata tha tumhari Gali se jab tum Zulfein sard hawa me lehraati thi.......
Kya tum ab bhi mera Intezaar karti ho.......

ISe mera Jawab-e-Talab na samajhna main bas Dil ki baat janna Chahata tha......
Bolo na kuch....kar do yeh bekrari kam.....kehna sirf sach chahe kuch pal ko yeh aankhein namm......

Sab Sawaal hai saamne tumhare......
Kya tum mujhse Pyar karti ho.......!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #37 on: June 20, 2006, 10:04:07 AM »
Reply with quote
tere izhaar se inkaar kab mujhko hai
mere dil bhi ab bechein ,bekal sa hai

har pal tujhse milne ka intazaar rehta hai
tere liye dil mera bhi beqarar sa rehta  hai

subeh ki pehle kirano mein tujhko paati hun
shaam hote  hi tere khayalon mein kho jaati hun

jab bhi dekhti hun bahaaro ko muskarate hue
tera  chehara mujhe dikhta hai ,apne mein samate hue

karti hun jab khud  ko tayaar ko aaine mein akas tera hi nazar aata hai
mera saja sawara rup dekh ke tera chehara bhi khil sa jaata hai

meri jindagi ki har shaye mein ab tu shaamil hai
nahi jaanti main ki yeh sapna hai ya haqaikat  hai

mera masoom dil abhi bhi in baato ko samjh nahi paata hai
kya yahi hota hai pyaar koi mujhe kyu nahi batatta hai

tere sawalo main khud ko hi gum paati hun
karti hun tujhe pyaar mein kya ,yeh khud bhi nahi samjh paati hun.........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #38 on: June 20, 2006, 10:09:56 AM »
Reply with quote
Superb Job Ranju :D
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #39 on: June 21, 2006, 07:31:10 PM »
Reply with quote
Aao tumhe Apni Mahobbat ka KaLaam padata hoon.....
Hai jo Pyari see haseena meri aaj tumhe usse milata hoon.....

Chandi sa Rang hai jiska or meethi see Muskaan.....
Lage jab Hasne toh RaM bhi kahe haye Ram... :wink:

Guzare jab jab woh Raahon se meri.....
Toh Kismat ab yahan mera kya kaam......

Jab Chal padi hai takdeer teri.....
Toh konsa bacha tera baaki Armaan......

Jism uska mootion se Saja.....
Lagti hai bahut Pyari jab poochti mujhse hamare Pyar ki hai kya Wajah.....

Kya bataon use yeh toh Dil se Dil ka mail hai......
Jisme hai Dushman Gum toh Khushion ka khel hai......!!!!!!!

Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #40 on: June 23, 2006, 02:59:46 PM »
Reply with quote
bahut hi khub gaurav bhai.........sry thoda let ho gaya na?.....per mujhe aaj hi pata chala na.............

     maine maut ke karib bhi zindagi ko paaya
     nazar aaya mujhe andhere mai jo tera saaya

      dil mai phir jeene ki tamanna jaag uthi, aankhon ne phir palko per sapna sajaya
      bebas hoker reh gayi jaise meri maut bhi ,jab haatho ko maine dua mai uthaya......................

     aur khuda bhi jaise chok kar dekh raha tha mujhey
      jaise hawao ke zariye dil hi dil kuch keh raha tha mujhey.
ki kal tak to tu marne ki duaye mang raha tha ,phir aaj jindagi ki aas kyun
 tere jehan mai to pehle se hi thi uski yadein ,phir aankhon mai use dekhne ki pyaas kyun.

  aur main khuda ki baton per dhayan na dekar mil raha tha zindagi se
   dekh raha tha us EK SAAYE ko jise paana tha chaha sada tishnagi mai

 achanak se zamee hilne lagi,aur ek toofan sa aaya
  lauta di khuda ne mujhe zindagi,jise maine maanga tab ............

 ..................jab nazar aaya tera SAAYA .....sirf EK SAAYA

                 ...............@fahi@....................



     
Quote from: "badnaam_shayar"



Choo ke tera Saya mera Dard mujhse rooth jayega......
Karunga phir main baatein karunga kisse.....Dil ka aur Jism ka nata bhi toot jayega.......

Tere Saye me Aks humne apna Sada Chupaya hai.....
Tu aake dekh jara meri Humnafas yeh Dil khud chalke tere paas aya hai......

Kyu Adhoora sa hoon main binn tere........
Shayad iss Janam toh na le sakunga sang tere Saath phere.......

Agle Janam bhi hum tujhi ko chahenge......
Karenge Dua khuda se nahi toh Jannat se tujhe cheen layenge........

Baat le tu mera Ranj apni Shayahien or Kalam ki taakat se......
Tadpa dia Dunia ne ek Dinn hum yoon hee Khatam ho jayenge.......

Kar aya hoon main Ruswa harr Khushi ko Chahat me teri.......
Socha hai jab talak jiyenge tab tak tujhe toot kar chahenge.......

Bas aakhiri Khawahish hai meri marte Dum tak tumhe apna Banana Chahenge........Bas aur kuch nahi......!!!!!!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #41 on: June 23, 2006, 04:09:11 PM »
Reply with quote
Lovely fahi.....maza aa gaya padke.....Wonderfull bhai

Fursat ke kuch Pal mile Khuda ko.....
Toh mere liye ek Dilnasheen usne banaya......

Socha Insaan ise banaya toh Hoor jannat ki Naraaz ho jayengi......
Deni thi Shakl par use banaya Sirf ek SaYa.....

Palkon par meri ek Naya Khawab uss Saye ne sajaya.....
Dinn Raat sochta usi ke baare me use paa ke hee sab kuch hai maine paya......

Hai kuch baatein khaas usme......
Ki usko paane ke liye main harr Gum se apne Khushion me laut aya......

Bhikre baal uske toh Chehre par ek Tez hai.....
Dekho toh lagti hai koi Pari par Choone par woh Hooron me se Ek hai......

Woh meethi muskaan uski mera Dil liye jaati hai.....
Paa toh liya use bas ab use Choomne ki kashmaksh baaki hai.....

Hai woh SaYa par HaQiQat main use banaonga......
Bhula ke uska harr Gum apni Khushion me Shamil karta jaonga.....

Kayi dafa Behekti Shaamon ne bhi pata uska poocha hai......
Kehte hai sab yeh Raaz nahi iska phir koi ise Pagalpan soojha hai.....!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #42 on: June 23, 2006, 04:10:29 PM »
Reply with quote
bahut khub................

woh ek ajnabi sa thaa ,laga kyu mujhe kyu apna sa
karta hai baate mujhse mujh jaisi ,kya hai woh koi mera sa

na jaane kaise jaan leta hai ki mere dil mein kya hai
khamosh hai woh lab se ,per uske lafazo mein meri hi jubaan hai

meri jindagi ki kitaab ka bhatka hua musafir hai woh
aksar mujhe apne saath hi chalata sa lagata hai woh

uski panaaho mein mujhe sakun milta  hai
uski nazamo mein mujhko apna akas dikhata hai


mera dil usko kab apne  se juda kar paaya hai
woh aur koi nahi bas mera  hai aur mera hi saaya hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #43 on: June 23, 2006, 06:04:19 PM »
Reply with quote
Superb Job Ranju

Ab nahi Araam mujhe bin tere....
Ab Dil mera baiyimaan hue chala hai......

Kehti hai tu kar InteZaar.....
Par Aks mera ab mujhse roothne laga hai......

Samjhao mujhe nahi mere Khawabon ko.....
Dekhte tab Sapne par ab sab Armaan me badalne laga hai.....!!!!!!!!
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:16:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer