For my best freind Waheed_rose2004

by Neelam on October 12, 2004, 02:42:45 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 17
ReplyPrint
Author  (Read 11332 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #150 on: November 29, 2004, 09:52:05 AM »
Reply with quote
wah!!!!!!!!!!  lovebites,.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
A FREIND MOST TRUE by jimmi in Quotable Phrase and Quotes
good freind by crazy_khan999 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
lovebites
Guest
«Reply #151 on: December 02, 2004, 06:25:26 AM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
wah!!!!!!!!!!  lovebites,.........

thanks......i was wondering where this topic went didn't thought dat it can be on next page it looks more beutiful on the first page..............!  glasses2


Kaash aisa koi manzar hota
Merey kaandhey pey tera sar hota

Jama karta jo mein aaye huye sang
Sar chupaaney kay liye ghar hota

Iss bulandi pey buhat tanha hoon
Kaash mein sab kay barabar hota

Uss ney uljha dia dunya mein mujhey
Warna aik aur qalandar hota

Kaash aisa koi manzar hota
Merey kaandhey pey tera sar hota
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #152 on: December 02, 2004, 03:48:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "lovebites"
Quote from: "waheed_rose2004"
wah!!!!!!!!!!  lovebites,.........

thanks......i was wondering where this topic went didn't thought dat it can be on next page it looks more beutiful on the first page..............!  glasses2


Kaash aisa koi manzar hota
Merey kaandhey pey tera sar hota

Jama karta jo mein aaye huye sang
Sar chupaaney kay liye ghar hota

Iss bulandi pey buhat tanha hoon
Kaash mein sab kay barabar hota

Uss ney uljha dia dunya mein mujhey
Warna aik aur qalandar hota

Kaash aisa koi manzar hota
Merey kaandhey pey tera sar hota


wah!!!!!!!!!!!!!!!!!!!   excellent............................lovebites... ........

Khud ko isse dil main basanay ki ijazat day do
Mujh ko tum apna bananay ki ijazat day do...

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki ijazat day do

Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki ijazat day do

Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki ijazat day do

Mujhay aseer karo apnay ishq main
Yeh jaan tum pe lootanay ki ijazat day do

Nahi hai shauk musawir ko bhoolnay ka magar
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki ijazat day do...................
Logged
Pooja
Guest
«Reply #153 on: December 02, 2004, 04:30:49 PM »
Reply with quote
Nice Love and Waheed_rose!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #154 on: December 02, 2004, 04:38:23 PM »
Reply with quote
Thanx Pooja................
Logged
lovebites
Guest
«Reply #155 on: December 02, 2004, 05:32:30 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Nice Love and Waheed_rose!!!!
Thanks and Shukriya Waheed............!

Yoon hi hansi hansi main

Hum dilon se khail jatay hain

Koi choti si teekhi baat

Koi chubhta hua jumla

Zeher aalood lehja

Koi bezarar si zoomani baat

Sunne walay kay dil par ghao laga jaati hai

Phir kitnay hi talaafi kay marham lagaao

Qatra qatra khoon tapakta hi rehta hai

Wo aansu jo aankh say girta hi nahin

Andar hi andar jum jaata hai

Baraf pay giray mom kay qatray ki tarha

Aur wo baraf to shayad waqt ki garmi say pighal hi jaati hai

Magar woh qatra...

Jab bhi pighalnay lagta hai

Phail jaata

Barh jaata hai

Bas khatam naheen hota

Aur yoon hi hansi hansi main Hum

dilon say khail jaatay hain.....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #156 on: December 03, 2004, 07:33:30 AM »
Reply with quote
too  good lovebites,.................... :lol:
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #157 on: December 03, 2004, 07:41:36 AM »
Reply with quote
nice luvbite ji n waheed Usual Smile

================



Daaman khwahishoN ka meri, bhara sa lagta hai!
Bahut sa waqt tumhaare saath, jara sa lagta hai!
Dil ko samjhati hoon baar baar, tujhe tadapna nahiN hai!!
Dil jo tum le gaye ho saath, tumhaara apna nahiN hai!!

Zindgi se mila to laga, saaNs baaki hai!
Kareeb aaye to ho phir bhi, talaash baaki hai!
Dil jo jhoomta hai ab, koi maamooli dharakna nahiN hai!!
Dil jo tum le gaye ho saath, tumhaara apna nahiN hai!!

(n/m)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #158 on: December 03, 2004, 10:10:27 AM »
Reply with quote
Quote from: "salma4u"
nice luvbite ji n waheed Usual Smile

================



Daaman khwahishoN ka meri, bhara sa lagta hai!
Bahut sa waqt tumhaare saath, jara sa lagta hai!
Dil ko samjhati hoon baar baar, tujhe tadapna nahiN hai!!
Dil jo tum le gaye ho saath, tumhaara apna nahiN hai!!

Zindgi se mila to laga, saaNs baaki hai!
Kareeb aaye to ho phir bhi, talaash baaki hai!
Dil jo jhoomta hai ab, koi maamooli dharakna nahiN hai!!
Dil jo tum le gaye ho saath, tumhaara apna nahiN hai!!

(n/m)


wowwowowowowoowowowwo  salma..........very nice........

Os Pade Bahaar Par Aag Lage Kanaar Mein
Tum Jo Nahiin Kanaar Mein Lutf Hii Kya Bahaar Mein


Us Pe Kare Khudaa Raham Gardish-E-Rozagaar Mein
Apanii Talaash Chodakar Jo Hai Talaash-E-Yaar Mein


Ham Kahiin Jaanevaale Hain Daaman-E-Ishq Chodakar
Zeest Tere Huzoor Mein, Maut Tere Dayaar Mein..............
Logged
lovebites
Guest
«Reply #159 on: December 03, 2004, 12:48:10 PM »
Reply with quote
Shukriya Waheed and Salma..............!

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi
Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #160 on: December 04, 2004, 06:54:12 AM »
Reply with quote
nice lovebites.........................
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #161 on: December 09, 2004, 01:05:00 PM »
Reply with quote
Quote from: "lovebites"
Shukriya Waheed and Salma..............!

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi
Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si



betab hai dil lekin allah re majbori
daman ko tere aage faila bhi nahi sakte
paimane ko takra ker wo chor bhi sakte hain
hum pi bhi nahi sakte chalka bhi nahi sakte..................
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #162 on: December 11, 2004, 07:05:53 AM »
Reply with quote
Meri Waadi Mein Vo Ik Din Yoon Hi Aa Nikali Thi
Rang Aur Noor Ka Bahta Hua Dhaara Bankar

Mahafil-E-Shauq Mein Ik Dhoom Machaadi Usne
Khalvat-E-Dil Mein Rahi Anjuman-Aara Bankar

Shola-E-Ishq Sar-E-Arsh Ko Jab Chhune Laga
Udd Gayii Vo Mere Siine Se Sharaara Ban Kar

Aur Ab Mere Tasavvur Kaa Ufaq Roshan Hai
Vo Chamakati Hai Jahaan Gham Kaa Sitaara Ban Kar................
Logged
chunky
Guest
«Reply #163 on: December 11, 2004, 10:14:29 AM »
Reply with quote
Lehar aati hai, kinare se palat jati hai,
yaad aati hai, dil mein simat jati hai,
dono mein farakh sirf itna hai,
lehar bewaqt aati hai, aur yaad har waqt aati hai
Logged
lovebites
Guest
«Reply #164 on: December 11, 2004, 12:59:08 PM »
Reply with quote
aja k abhee zebt ka musam nahee guzra
aja k paharoan pe abhee barf jamee hay
khushbu k jazeeroan se sitaroan ki hadoan tuk
is sheher mein sub kuch hai faqat teri kamee hay



phir na pouchu key guzar jati hai kya kya dil par
shaam key baad jo yaadon ki hawa chulti hai
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 17
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
June 29, 2024, 03:10:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[June 29, 2024, 10:14:36 AM]

[June 28, 2024, 11:07:01 AM]

[June 27, 2024, 09:39:21 AM]

[June 27, 2024, 09:29:05 AM]

[June 26, 2024, 08:34:09 AM]

[June 26, 2024, 08:32:48 AM]

by ASIF
[June 14, 2024, 12:39:06 PM]

[June 12, 2024, 11:37:13 AM]

[June 12, 2024, 11:14:40 AM]

[June 09, 2024, 11:49:10 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8501 Real Poets and poetry admirer