aaj kahin to toofaan aane waalaa hai.. kahin bahut zyaadaa baarish ho rahi hai pyaar ki... bas pyaar pyaar aur pyaar hi nazar aa raha hai har taraf.... sach .. aisa samaaa hamesha nahi ban paataa.... aaj kuch mausam zyaada hi meherbaan hai jo aise khoobsurat khoobsurat mohabbat se bhare nagme padhne ko mil rahe hain.. aur aap to jaante hi hain hamaari kamzori... bas humse ye galtiyaan karwa hi dete hain har baar ki hum aapke poem ke jawaab me kuch likh den.. bas ho gayi fir humse aisi galti... ummeed karta hoon aap maafi de denge.....
pagalpan me aaj kuch ho na jaaye,
dil mera kahin aaj kho na jaaye,
yun na saj ke aaya karo tum,
ye dil mera tumpe mar naa jaaye,
ankhon pe kaale kaale kaajal,
dil bhi mera kuch hai paagal,
aaj hawaon me udd rahaa hai,
tumhaare pyaar ka wo aanchal,
phool, khushboo, chaand, taare,
behke behke se hain nazaare,
dekh tumko main ladkhadaayaa,
lag rahe ho tum itne pyaare,
kaale kaale tere mast naina,
lag rahe hain jaise raina,
dhadkanon ko mere tez karke,
dil ka mere loote hai chaina,
shaam ho tum, subah tum ho,
din me tum ho, ho nisha me,
tum ho mere dil ki dhadkan,
tum hi tum ho har disha me,
hothon ko tumhaare hum chum jaayen,
khushiyon me aaj hum jhoom jaayen,
saanson me mehek hai pyaar ki aaj,
aur us mehek se hum mehek jaayen,
baahon me bhar ke tumhe pyaar kar le,
mohabbat ka hum izhaar kar le,
tum ho meri , hoon main tumhaara,
ek duje ko hum sweekaar kar le,
chaaha tumhe hai khud se zyaada,
pooja tumhe hai rab se zyaada,
maanga nahi hai kuch bhi maine,
maanga tumhe hai sabse zyaada,
main hoon paagal, tum ho paagal,
aur ye samaa hai paagal,
aao tumhe baahon me bharke,
kar dun tumhe thoda aur paagal...