gesu's Kwaab!!!!!!

by Gesu on December 29, 2005, 06:51:09 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 44
ReplyPrint
Author  (Read 25964 times)
shayar_dildaar
Guest
«Reply #15 on: December 30, 2005, 05:54:56 AM »
Reply with quote
Very nice gesujiiii. Aap to ek k baad ek shayari likhe ja rahein hain...Awesome nd very goodstuff.....It seems u r enjoying this threadd...Main apne khwab wale section se aap k thread mein sab transfer kar dunga...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~***((( KWAAB SAREY BIKHAR CHUKAY HAIN)))***~~~ by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kal shab aik ajeeb kwaab dekha tha! by mazHur in Ghazals
kwaab by tamanna1 in Share:Love Poetry
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #16 on: December 30, 2005, 05:59:08 AM »
Reply with quote
thanks dildaar ji!!!!!!!!!!!!!!!1
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #17 on: December 30, 2005, 06:04:33 AM »
Reply with quote
Ya very true I'm enjoying this thread... ab yeh topic aisi hi thode hi liya hai hamne...

Ya rabba khwaab yeh kisi ke kabhi na Todna,
Kisi ko Judai ke Palon se kabhi na Jodna,
Yoon to kisi ka rukh kabhi mohabbat ki taraf na Modna,
Garr mod do dono ko hamesha ke liye jodna...

Gesu ki iltijaa hai rabb se!!!!!!!!!!!!!!!!Gesu's Khwaab!!!!!!!!!!!!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #18 on: December 30, 2005, 10:39:35 PM »
Reply with quote
Gesujiii, yeh abhi bas 10 min mein likha hain..Hope it is fine..Please bear with the gender mistakes between the lines, I am not as good as you people are...

Khwaab dekha kal; zindagi veeran si hain,
Lag raha tha, yeh haqiqat anjaan si hain...

Woh nahin thi, uss khwab k duniya mein,
Akele tha main, mohabbat k bagiya mein...

Kashmakash karne laga, yeh kaisi hain uljhan,
Dil main hone laga, ek ajeeb si hulchul...

Kahin bhi, woh nazar na ayi,
Khwabon ki duniya lagne lagi harjai...

Achanak, jani pehchani awaaz ayi,
Dil jhoom k kaha mujhse, e-dildaar teri dilbar hain ayi.....

khwabo ki duniya, fir roomani lagne lagi,
Dildaar se woh, guftagoo karne lagi...
[/color]
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #19 on: December 31, 2005, 05:44:00 AM »
Reply with quote
tere surk chahre per girte hue gesu........

kerta hi jiya k in zulfon k ghere me kaid ho jau,,.....

thukra du  is bedard zamane ko.......

teri aankho me bas jau tere aanchal me chup jau.....
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #20 on: December 31, 2005, 08:45:40 AM »
Reply with quote
wow dildaarji kya khoob likha aur woh bhi 10 min mein bahut hi khoob bahut pasand aaya hamein... tushar ji good work bahut accha likha apne bhi!!!!!!!!!!!!!!!!1
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #21 on: January 02, 2006, 10:45:49 AM »
Reply with quote
Har raat miltey hain unse khwaabon mein ,
In raaton se hamein to pyar ho gaya...........
Ruth jaate hain roz unse khwaabon mein,
Unke manane se hamein to pyar ho gaya.......
Beet ti hai raat unki is chhahon mein,
apni zulfon se hamein to pyar ho gaya....
Khwaabon mein hi to roz woh aakar milte hain,
Apni palkon se hamein to pyar ho gaya....
Ehsaas se unke mehak uthta hai yeh tann mera,
Apni hi khushboo se hamein to pyar ho gaya....
Har raat miltey hain unse khwaabon mein,
In raaton se hamein to pyar ho gaya...............!!!!!!!!

Gesu's KHwaab!!!!!!!!!!!!!!!!1
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #22 on: January 02, 2006, 10:46:38 AM »
Reply with quote
unhoney hamein chahne ka ek naya dastoor banaya hai,
dekha nahi unhe fir bhi yeh kaisa jaadoo chalaya hai,
sapno mein aakar apne hone ka ehsaas jagaya hai,
kehtey hain mein pass hoon tere fir kyon dil ghabraya hai,
dhoondhli si tasveer se unki jo udas ho jaate hai,
dheemey si ek awaaz in kaano mein aa jaati hai
tumko paane ko ae humdum hum bhi to tadpe jaate hain,
aisi chahat ki boli se dil dhadka sa jaate hai
na jaane hamein chahne ka yeh kaisa chalan chalaya hai.....

Gesu's Khwaab!!!!!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #23 on: January 02, 2006, 10:47:26 AM »
Reply with quote
koi chahe na bhi agar intezaar to fir bhi rehta hai....
kaun hai woh pata nahi per ehsaas to fir bhi rehta hai
khwaabon mein hi sahi farishon sa deedar to fir bhi rehta hai,
mera dil uske rang mein rangne ko betaab to fir bhi rehta hai,
koi chahe na bhi agar intezaar to fir bhi rehta hai....

Gesu's Khwaab!!!!!!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #24 on: January 02, 2006, 10:50:02 AM »
Reply with quote
Kuchal kaise paayenge khwaab hum yeh tere,
Utha ke inko rakh do palkon per mere,
Jod ke ehsaas khwaabon ka tera mere,
Boonkey unko rakhenge dil mein sanam mere,
Fir door ho jaayenge tanhayiyon ke andhere..

Gesu............
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #25 on: January 02, 2006, 10:50:40 AM »
Reply with quote
Neend aati nahi ab raaton mein,
Koi ab aake sulayega to neend aayegi,
Khwaab mein aakar jo sata jaate hain,
Paas aakar jo satayenge to neend aayegi,
Unse yeh rishta bana hai mera khwaabon mein,
Pehloo mein such mein sulaayenge to neend ayegi,
Baat jo khwaabon mein chupke se woh keh jaate hain,
Woh hakikat mein sunayeinge to neend aayegi,
Ehsaas ka jadu jo chalta hai khwaabon mein
Woh hakikat mein mehsoos hoga to neend aayegi,
Ab to woh aayenge to hi yeh neend aayegi...


Gesu's Khwaab!!!!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #26 on: January 02, 2006, 10:51:44 AM »
Reply with quote
Kaun yeh aata hai chupke se khaabon mein
Kuch na kehte huey bhi bahut kuch keh jaata hai...
Asar na jane kaisa yeh honey laga hai...
Dil din raat usmein hi khoney laga hai...
Halka halka nasha sa bhi rehney laga hai...
Mil jaaye mujhko woh dil yahi bus kehne laga hai...

GESU'S khwaab!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #27 on: January 02, 2006, 10:50:57 PM »
Reply with quote
Kya baat hain...Shayari mein mahir ban chukhi hain aap...Apko ek book likhna chahiye..Kya khayal hain aapka gesujiiii....
Waise aj maine yeh post likha hain dot 11.26 minutes mein....This one is about the girls who think whether she should propose or he is the one who sud do it first...Mera kehna yeh hain ki, koi bhi karre lekin khwabo se nikalkar haqiqat mein kuch unse kehna zaroori hain.....


Khwabo ko haqiqat mankar chalti ho,
Zindagi ko kuch pal khushi deti ho,
Asliyat se waqif kar, apne dil ko,
Nazrein milakar kuch keh daal, unko...

Waqt kissi ka mulajim nahin,
Unke dil ka koi thikana nahin,
Izhaar tu kare ya woh,
Iss mohabbat ko ek anjaam do.....
[/color]
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #28 on: January 03, 2006, 06:07:52 AM »
Reply with quote
wowwwwwwwwww kya khoob dildaar ji bahut hi khoob.. ji aap hamein book likhne ka keh rahe hain jab ki yeh kaam to aapko karna chahiye!!!!!!!

abhi  thodi der mein aakar jawaab dete hian shayari ka oks
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #29 on: January 03, 2006, 06:19:30 AM »
Reply with quote
Masha Allah, Dildarr bhai.....!!!

Dil ki bechainiyon ko aaram do
Iss bin chor ki dorr ko anjaam do

Labon se nahi to aankhon se isq ka paigam do
Cher diya hai aagaz main abb isse hansi anjaam do!!

Neer.....!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 44
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:50:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer