gesu's Kwaab!!!!!!

by Gesu on December 29, 2005, 06:51:09 AM
Pages: 1 ... 35 36 37 38 [39] 40 41 42 43 44
ReplyPrint
Author  (Read 25754 times)
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #570 on: August 18, 2006, 12:27:20 PM »
Reply with quote
hmmm.......abhi to na jaane kya kya rang dikhayegi yeh bahar. :D  :D
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~***((( KWAAB SAREY BIKHAR CHUKAY HAIN)))***~~~ by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kal shab aik ajeeb kwaab dekha tha! by mazHur in Ghazals
kwaab by tamanna1 in Share:Love Poetry
badnaam_shayar
Guest
«Reply #571 on: August 18, 2006, 05:09:35 PM »
Reply with quote
Kya bahar baaki hai Gesu :wink:

Jee raha tha main Khush akele......
Toh mujhe kyu yeh Khawab dikhaya......

Multabi tha jab harr Gum......
Toh kyu chand pal ke liye yeh Dil dukhaya......

Ab Chuna hai Safar toh bas Manzil ki fikar nahi......
Dard se ab milna hai baaki kyu ab khushi ka mere lab par Zikar nahi.....!!!!!!!!!!!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #572 on: August 18, 2006, 05:27:32 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Kya bahar baaki hai Gesu :wink:

Jee raha tha main Khush akele......
Toh mujhe kyu yeh Khawab dikhaya......

Multabi tha jab harr Gum......
Toh kyu chand pal ke liye yeh Dil dukhaya......

Ab Chuna hai Safar toh bas Manzil ki fikar nahi......
Dard se ab milna hai baaki kyu ab khushi ka mere lab par Zikar nahi.....!!!!!!!!!!!!


kya baat hai gesuji.......app tu chah gaye :D:D:D

khwab tujhe dikhati na
tu zindagi tumhari banti kaise

mohabbat mein aghar tujhe ghum deti na
tu dujhe woh chand se dooh pal ki khushi deti kaise

chu loghe tum apni manzil isse safar parh
dard pehle na deti tu khushi ka ehsaas tumhe hota kaise :D:D
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #573 on: August 19, 2006, 03:40:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "anjani_si"
Quote from: "badnaam_shayar"
Kya bahar baaki hai Gesu :wink:

Jee raha tha main Khush akele......
Toh mujhe kyu yeh Khawab dikhaya......

Multabi tha jab harr Gum......
Toh kyu chand pal ke liye yeh Dil dukhaya......

Ab Chuna hai Safar toh bas Manzil ki fikar nahi......
Dard se ab milna hai baaki kyu ab khushi ka mere lab par Zikar nahi.....!!!!!!!!!!!!


kya baat hai gesuji.......app tu chah gaye :D:D:D

khwab tujhe dikhati na
tu zindagi tumhari banti kaise

mohabbat mein aghar tujhe ghum deti na
tu dujhe woh chand se dooh pal ki khushi deti kaise

chu loghe tum apni manzil isse safar parh
dard pehle na deti tu khushi ka ehsaas tumhe hota kaise :D:D


Waaah Superb Anjani.... Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #574 on: August 20, 2006, 03:38:17 AM »
Reply with quote
bahut khob gesu ... vicky..anjani and gauarv .... Usual Smile

Quote
Shikayat hai aaj hamein apne khwaabon se,
Gila kis se karein jo ho jaayein aur bhi betaab khwaabon se,
Khoobsurat manzar jo chala karte hain khwaabon se,
Subah hotey hi kyon ojhal ho jaate hai nigahon se,
Puchhey dil yeh mera kisne diya tumhe yeh andaaz dhadkano se,
Dhadkane kahein ke kisi ki mehak guzar gayi hai in saanson se,
Rooh-e-betaab hui chain na mile kahi kyon kiya aur bekarar mujhe,
Pucchey yeh harr ghadi mere khwaabon se,
Ab aayega karar hamein unke roam roam mein bus jaane se.........

gesu's shikayatt!!!!!!


bahut pyaari shikayatt hai ... :D

woh khawaab mein aa ke hame pyaar ke anokhe manzar dikhaate hain
mere bil ki betaabiyoon ko kyu itna badaate hain
chhin lete hain mere dil ka chein aur qarar
aur dil ki dharakno ke taaro ko cher jaate hain
per jab aankh khulti hai meri subeh ke ujaalo mein
sirf apni tasveer se dekh ke hamko muskaarte hain
hai yeh khawaab bhi kya kya rang dikhaate hain !!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #575 on: August 20, 2006, 07:21:43 AM »
Reply with quote
Shurkiya Ranju

Likhe hai kuch Khawab humne bhi.....
Iss Dushman Dunia chupa kar......

Raat toh ab kaate nahi katti humse.....
Isliye Yaad karte hai tumhe Khudi se apni chupa ke......

Bas bunte chalo kuch khawab Nadaan......
Raah Chalo Mahobbat ki tum bhi kehlaoge ek dinn Badnaam.....!!!!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #576 on: August 21, 2006, 06:34:42 AM »
Reply with quote
shukriya aap sabka aur hamare khwaabon ke thread ko aur rangeen banane ke liye behadd shukriya.......superb work by all!!!!!!!! Usual Smile
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #577 on: August 21, 2006, 09:39:52 AM »
Reply with quote
Ek raat nahi guzarti aisi jismein tumhare khwaab na ho,
Palkein bhi nahi jhapkti meri jab tumhari tasveer inmein na ho,
Tadpaa karoon mein ek aag mein bhale yeh baarish ho na ho,
Chahti rahegi rooh hamari tumhe bhale hi yeh jism
ho na ho....

gesu's khwaab!!!!!!!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #578 on: August 22, 2006, 11:26:12 AM »
Reply with quote
Ek paheli jo sulajh paaye na mujhse,
Hulchul si khayalon mein sahi jaaye na mujhse,
Qurbatt yeh teri jaan le legi meri mujhse,
Faasle yeh darmiya sahe na jaaye mujhse,
Chupaley mujhe apni bahon mein ae jaanam
Ashq jo chupayein hain palkon pe baras jaaye woh gale lag ke tujhse,
Badti hi jaaye tujhse yeh mohabbat meri
Is mohabbat mein ab yoon na tadpaa jaaye mujhse..........

gesu's khwaab!!!!!!!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #579 on: August 22, 2006, 11:29:35 AM »
Reply with quote
Gesu

Tumhare khwaab tumhari jaan le lenge...lolzzz :D

In khwaabon ko jaldi se saakar karo :D

Rajbir
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #580 on: August 22, 2006, 11:37:33 AM »
Reply with quote
Big b...

Khwaabon ko saakar hone mein lag rahi hai der,
Todh ke yeh dil mera rahi hai har tukde ko bikher,
Kabhi to hoga sawera nahi hai is duniya mein andher,
Gumm ho jaaongi mein mehboob ki bahon mein
Fir dekhna yoindia aane mein lagegi kitni der.......

gesu's koshish!!!!!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #581 on: August 22, 2006, 11:51:10 AM »
Reply with quote
Gesu

Aisi der humein manzoor hai !

Magar waapis zaroor aa jaana :D

Rajbir
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #582 on: August 22, 2006, 11:57:56 AM »
Reply with quote
Mashallaaj Jawan nahi Gesu

Kal Plakein uski......
Mujhe ek Khawab dikha gayi......

Gesu bhikhre uske......
Toh Hawa bhi uski Nashe me Sarabor machla gayi.....

Kabhi poocho humse ki tum kya gazab dhaati ho......
Karti ho yahan Nadaan baatein aur Dil me sab ke Mahobbat bann bas jaati ho.........!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #583 on: August 22, 2006, 12:02:25 PM »
Reply with quote
Gaurav

Too good reply :D

Rajbir
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #584 on: August 22, 2006, 12:08:14 PM »
Reply with quote
Quote from: "Rajbir"
Gaurav

Too good reply :D

Rajbir


Thenku Bade Bhaiya Usual Smile
Logged
Pages: 1 ... 35 36 37 38 [39] 40 41 42 43 44
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 08:01:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer