Ghar

by sandeepparker on June 12, 2005, 08:50:53 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 976 times)
sandeepparker
Guest
Reply with quote
tere chehre se jo jaahir hai chupaoun kaise..
teri marji mutabik najar aaoun kaise...
ghar sajane ki tasarav, to bahoot door ka hai...
pehle yeh to bata do ki iss bachaoun kaise...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghar by oshwin in Shayri-E-Dard
Agar mera ghar teray ghar k pass hotha.... by Delicate_Doll in Shayri for Khumar -e- Ishq
ghar. by dhir in Shayri-E-Dard
chalo ghar ghar batei.n khushi...happy diwali ....from Irshad by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Ye kahani ab ghar ghar ki dastan by prashad in Miscellaneous Shayri
fakharenaveed
Guest
«Reply #1 on: June 12, 2005, 08:55:04 AM »
Reply with quote
Kaati hai ghum ki raat baray ehtram se
aksar bujha chuke hain chiragon ko shaam se
roshan hai apni bazm or is ehtimaam se
kuch dil bhi jal rahay hain chiragon k naam se
muddat hui hai khoon-e-tamanna kiiye magar
ab tak tapak raha hai lahu dil k jaam se
subha-e-bahar hamko bulata raha magar
ham khailte rahay kisi zulfon ki shaam se
har saans per hai maut ka pehra laga hua
ahista ay hayat guzar is maqaam se
kaati tamaam umar fareb-e-bahar main
kaante samet'te rahay phoolon k naam se
ye aur baat hai k DUA ham ne use di
awaaz us ne di hai hamain har maqaam se.
tarsa kar har ek khwaaish ko yaad kar ke barsi meri ankhen
Peeta raha zahar main yadd kar ke teri pyari pyari baatein
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #2 on: June 12, 2005, 01:14:30 PM »
Reply with quote
great yaar faree..kya kahun yaar tumne ab ...

hume bhi shook hua tha likhne ka ...
ab nahi karta dil kuch karne ka....
hua aisa kuch apne sath bhi..haadsa
aisa sila mila hai hume pyaar karne ka...
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #3 on: June 13, 2005, 05:55:47 PM »
Reply with quote
wah sandeep ji,bohat khoob,nice 2 c u here :D

And very nice naveed,bohat khoob likha hai.
Logged
Arun Kumar
Guest
«Reply #4 on: June 14, 2005, 08:10:26 AM »
Reply with quote
Samunder kinare retili jameen pey ek larki apney aashik ka naam likh ti or mita diya karti thi utney meyaa kateyheyaashik or poouchtey tum ye kya kar rahi ho masook bolti hum to khel karrahi hey  to ashik boltey hey you like karjamen per mera naam you mitaaya na karo tumhara to khel ho jayegamer naaam tum khak meymila diyakarti ho
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #5 on: July 02, 2005, 09:09:00 AM »
Reply with quote
thanks nidhi thanks again

mujhe dikhayi deti hai woh har taraf,  
woh maujood hai meri har shaam me,  
naam uska hi sunayi deta hai har naam me,  
hawa chule jo mujhe to uski aahat aati hai,  
nazaren dhoonden use na jaane kahan chali jaati,  
phizaon me uski mahek aati hai,  
koyal ke geet bhi uski chahek sunati hai,  
pattiyon ki sarsarhahat me aawaaz uski aati hai,  
baarish ki boonden me jaise payal uski khanakti hai,  
ye shab bhi lage jaisi julfen ghata bankar chayi ho,  
aaj rageen hai raat jaise woh phir zindagi me aayi ho,  
magar main gum hoon khyaalon me apne mujhe hosh raha nahi,  
chin laaon use is duniya se itna mohabbat me josh raha nahi,  
tanhai ban kar andhera meri zindagi ko kha rahi hai,  
bujh raha hai chirag-e-mohabbat ab maut aa rahi hai.
(NM)
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:29:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer