Ghazal.....GHazal..........Ghazal

by Ghulam Haider on October 04, 2008, 11:14:24 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3973 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Koi shai kaise use aaraam de.
Be qaraari ka jise dil kaam de.
============================

Aa gaye maHfil meiN teri saaqiyah!
Laakh ab duniya hameN ilzaam de
============================

Dil nahiN bharta sharaab e i'shq se,
Jaam e ulfat hamko subH o shaam de
=============================

Laz'z'at e sheereeni e mai kam na ho,
Bosa e lab jald ai gulfaam ! de.
=============================

KyoN nahiN nisbat koi tujh se hameN,
Ho hamaara naam, koii naam de.
=============================

Gar nahiN aati zubaaN par dil ki baat,
Apni aaNkhoN se hi kuchh paighaam de.
=============================

KheeNch laaye phir teri ulfat yahiN,
koi aisa kaam sar anjaam de.
==============================

Ham to Haider kuchh talab rakhte nahiN,
Jo bhi de laa gardish e ayyaam de.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
a ghazal by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
ghazal by roomaharis in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ghazal by Pooja in Ghazals
~~Ghazal~~ by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
ghazal by sky_web2005 in Ghazals
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #1 on: October 04, 2008, 11:25:09 AM »
Reply with quote
bohat bohat bohat khoobsoorat haider ji.......Applause Applause Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: October 04, 2008, 01:34:25 PM »
Reply with quote
muntazir hain muntazir hain muntazir hain
mera hone ka sabab tu koi paigam de

                           -sg-

bohat khoob haider saheb aapki kalam me bohat mithassssssssss hain
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #3 on: October 04, 2008, 02:03:23 PM »
Reply with quote
muntazir hain muntazir hain muntazir hain
mera hone ka sabab tu koi paigam de

                           -sg-

bohat khoob haider saheb aapki kalam me bohat mithassssssssss hain
Pasand karne k liye shukriya
   Haider
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: October 04, 2008, 02:11:01 PM »
Reply with quote
Koi shai kaise use aaraam de.
Be qaraari ka jise dil kaam de.

Aa gaye mahfil meN teri saaqiyah!
Laakh ab duniya hameN ilzaam de.

Lutf kar itna hamare haal par,
Door ho tishnaa dahaani jaam de.

Dil nahiN bharta sharaab-e-ishq se,
Jaame-eulfat ham ko subh o shaam de.

Lazzat-e-sheereeni-e-mai kam na ho,
Bosa-e-lab jald ai gulfaam de.

Mutmain taqdeer se Haider haiN ham,
Gham hameN kya gardish-e-ayyaam de.
Aap ka zouq qaabil-e-daad hai janaab.
Nacheez ki ghazal pasand karne k liye Shukriya
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: October 04, 2008, 02:19:53 PM »
Reply with quote
haidar ji bahoot pasand aaya aapka likha....dad kabul karen
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: October 04, 2008, 02:35:15 PM »
Reply with quote
haidar ji bahoot pasand aaya aapka likha....dad kabul karen
Aap ki daad har haal meN qubool karni parhegi. Aap se dar jo lagta hai .... ha ha ha.....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #7 on: October 04, 2008, 02:48:22 PM »
Reply with quote
 Laughing hard Laughing hard
baat sahi bhi hai

log surat dekh ke darte rahe mujhse,
badsurati me dab gai seerat "bekarar" ki
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: October 04, 2008, 03:00:09 PM »
Reply with quote
Laughing hard Laughing hard
baat sahi bhi hai

log surat dekh ke darte rahe mujhse,
badsurati me dab gai seerat "bekarar" ki

("Kisi ka husn o jamaal o kamaal us ke liye,
Meri nigaah meN insaaniyyat ki qeemat hai.
Mere shuo'or ka me'yaar hai duroon-e-bashar,
Jo dil ho saaf to insaan paak teenat hai.)
Mujhe aap ki shakl se nahiN, Aap ke haathoN meN jo hathiyaar hai us se dar lagta hai.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #9 on: October 04, 2008, 03:09:32 PM »
Reply with quote
kya baat hai haider sahab..
are humne to majak kiya tha/.....chalo ye bhi khoob raha..apke khayalaaton se to wakiff hue
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #10 on: October 04, 2008, 03:20:16 PM »
Reply with quote
kya baat hai haider sahab..
are humne to majak kiya tha/.....chalo ye bhi khoob raha..apke khayalaaton se to wakiff hue

MaiNe bhi to aap se lutf andozi ke liye mizaah kiya tha.
lekin mere aha'ar ko mizaah na samajhna.

Insaan shakl se khoobsoorat ho to sirf nazroN ko achha lagta hai, lekin agar saath saath achhe kirdaar wala ho to dil ko bhi achha lagta hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: October 04, 2008, 03:40:53 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Haider Saab.. Applause Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: October 04, 2008, 03:47:35 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Haider Saab.. Applause Applause
Aap ka khuloos o mohabbat hai
behad shukriya.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: October 05, 2008, 07:41:49 AM »
Reply with quote
Laughing hard Laughing hard
baat sahi bhi hai

log surat dekh ke darte rahe mujhse,
badsurati me dab gai seerat "bekarar" ki

 Applause Applause Ghulam Haider ji / bekarar ji,
'Mein ney deykhaa hai aisaa kaheen kuchh naheen:
 Jo ki, ho intihaa khoobsoorat naheen!'

US ney koyi bhi badsoorat cheez taameer mein laayee hi naheen hai! Aankheyn khoobsoortee ko pahichaan na paayen yeh baat doosree hai! Aankheyn aksar 'prejudiced' rahteen hain! Kis maa ko apney 'beytaa/beytee' yaa kisey apney maa-baap badsoorat lagtey hain?
                                    - abd bundeli



Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: October 05, 2008, 09:24:07 AM »
Reply with quote
Applause Applause Ghulam Haider ji / bekarar ji,
'Mein ney deykhaa hai aisaa kaheen kuchh naheen:
 Jo ki, ho intihaa khoobsoorat naheen!'

US ney koyi bhi badsoorat cheez taameer mein laayee hi naheen hai! Aankheyn khoobsoortee ko pahichaan na paayen yeh baat doosree hai! Aankheyn aksar 'prejudiced' rahteen hain! Kis maa ko apney 'beytaa/beytee' yaa kisey apney maa-baap badsoorat lagtey hain?
                                    - abd bundeli

Aap ki baat kaafi had tak sahih hai, lekin...
duniya ke saare insaan aik jaise nahiN haiN. Un ke darmiyaan farq hai.ye farq do tarah ka hai zaaheri aour baateni(jo ke amal se zaahi hota hai). zaaheri farq shakl o soorat qad o qaamat zubaan...ka hai.Baateni farq ilm o adab, akhlaaq, mua'amelaat ka hai. In meN se kuchh farq woh haiN jo allah ne rakhe haiN aour kuchh farq woh haiN jo insaan khud apne andar paida karta hai.hameN un furooq meN bolne ka haq nahiN jo allah ne rakhe haiN. Jaise Shakl o soorat, Qad o qaamat, Zubaan...wa ghairah.Ham agar kisi ko achha ya bura kaheN to us ke Ilm, Adab, Akhlaaq, A'adaat, aour tamaam un mua'amelaat ki bina par jo woh doosroN ke saath karta hai.Har insaan se(Un shakhsiyaat ko chhorh kar,jinheN allah ne ma'soom banaya hai)khata ka imkaan hai ab chahe wo kisi ka bhaai ho ya baap. behn ho ya maaN. Adl aour aql ka taqaazah ye hai ke insaan qanoon ko na badle chahe baat apni ho ya apne ki ho ya paraaye ki.Aour ye baat k apne maaN baap sab ko pyaare lagte haiN us waqt tak sahih hai jab tak wo insaaf se kaam lete haiN. Agar maaN/baap aowulaad ke haq meN na insaafi kareN ya aowlaad maaN-baap ki itaa'at na kare(aour aisa hota bhi hai)to bura lagat hai. Aaj hamare samaaj meN jo buraaiyaN haiN, ikhtelaafaat haiN, wo kahaN se aaye. Saaf zaahir hai ke achhe log bhi haiN aour bure bhi. na saare maaN-baap aik se hoto haiN, an aowlaad. aour na saare maaN-baap apni aowlaad ko aik nazar se dekhte haiN na aowlaad. Har insaan ki apni nazar hai apni fikr hai.
To janaab baat toolani ho gai. ma'zerat chaahta hoN lekin kis nazar se insaanoN ke darmiyaan khoobsoorati aour badsoorati ko dekhna hai ise samajhna zuroori hai.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:25:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.196 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer