Ghazal.....GHazal..........Ghazal

by Ghulam Haider on October 04, 2008, 11:14:24 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3967 times)
sajid_ghayel
Guest
«Reply #15 on: October 05, 2008, 09:41:08 AM »
Reply with quote
AAP LOGHO KI BHARI BHARKAM DALILE SUNKE MUJE TO CHAKKAR AA RAHA  BangHead HAIN MAIN JA RAHA HU LIMBU PANI PEENE.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
a ghazal by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
ghazal by roomaharis in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ghazal by Pooja in Ghazals
~~Ghazal~~ by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
ghazal by sky_web2005 in Ghazals
abdbundeli
Guest
«Reply #16 on: October 05, 2008, 09:48:38 AM »
Reply with quote
Ghulam Haider ji,
Ap kaa bayaan galt naheen hai! Mein ney 'IDEAL' ki baat kahee thee! Aap ney zameenee baat kahee hai, bas itnaa hi farq hai! US ney 'buraa' naheen banaayaa hai, ya to ham burey ban gaye hain, yaa hamaaraa nazariyah buraa ho gayaa hai.
           -abd bundeli
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #17 on: October 05, 2008, 10:07:32 AM »
Reply with quote
Ghulam Haider ji,
Ap kaa bayaan galt naheen hai! Mein ney 'IDEAL' ki baat kahee thee! Aap ney zameenee baat kahee hai, bas itnaa hi farq hai! US ney 'buraa' naheen banaayaa hai, ya to ham burey ban gaye hain, yaa hamaaraa nazariyah buraa ho gayaa hai.
           -abd bundeli
(Tabaark allaho ahsan ul khaaleqeen)
Aap ki baat bilkul durust hai.kabhi hamare nazariyyat ghalat(bure) hote haiN aour kabhi ham ghalat hote haiN.ghalati hamari hi hoti hai. buraai insaan se hi mansoob hai. Alaah ki zaat har a'eb o naqs se paak hai.us ka har kaam hikmat ke taht anjaam pata hai, jise kabhi kabhi ham nahiN samajh paate.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #18 on: October 05, 2008, 10:24:00 AM »
Reply with quote
Ghulam Haider ji,
Saaqiyah key khum-o-jaam labreiz hain:
Wo to ham hain, ki, peeney key qaabil naheen!
Ye rah-e-zeest khushiyoun sey aabaad hai;
Wo to ham hain, ki, jeeney key qaabil naheen!!

                            - abd bundeli
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #19 on: October 05, 2008, 11:30:47 AM »
Reply with quote
Ghulam Haider ji,
Saaqiyah key khum-o-jaam labreiz hain:
Wo to ham hain, ki, peeney key qaabil naheen!
Ye rah-e-zeest khushiyoun sey aabaad hai;
Wo to ham hain, ki, jeeney key qaabil naheen!!

                            - abd bundeli

Agarche maiN usool ki behs meN shea'r ko dallel nahiN banata, kyouN ke she'ar ka ta'alluq dil se ziyada hota hai aql se kam.
she'ar apni jagah qaabil-e-daad hai.lekin shea'r meN do mafhoom haiN. Aik allah se aour doosra ham(insaanoN) se marboot hai. jo mafhoom allah se marboot hai wo bilkull sahih hai. lekin jo mafhoom ham se marboot hai us meN kuchh ikhtelafi shkal nazar aati hai.Aik baar kaha jaaye k "qaabil nahiN" ya'ni salaahiyyat nahiN rakhta jiske sabab kar nahiN sakta.Aik baar ye kaha jaye ke karta nahiN to iske do matlab nikalte haiN aik to ye ke salahiyyat rakhne ke bavujood nahiN karta.to is meN uski khata hai.Aour aik ye ke qaabil hi nahiN hai. to is meN qusoor uska nahiN hai.agar kisi ki aaNkh meN binaai na ho to kaheN ge ke  ye aaNkh dekhne ke qaabil nahiN(kyouN kesalaahiyyat nahiN rakhti)aour ye bhi mutlaqan durust hai ke ye aaNkh dekh nahiN sakti.
lekin agar dekhne ki salaahiyyat hai to phir ye nahiN keh sakte k dekhne ke qaabil nahiN.ye keh sakte haiN ke dekhti nahiN(Jiska sahih mafhoom ye niklega k "dekhna nahiN chahti" jo ke bilkull durust hai)to se'ar ka aakheri hissa jo ke ham insaanoN se marboot hai us se sahih mafhoom nahiN nikalta. aour ia'teraaz khuda ke tarz-e-khilqat par ho jata hai.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #20 on: October 05, 2008, 12:35:40 PM »
Reply with quote
Ghulam Haider ji,
Khaasey a'alim-o-faazil qism key insaan hain, janaab!!
Meyraa 'jeeney' sey matlab eik 'sahih insaan ki tarah' ya yoon kahiye 'insaaniyat sey' jeeney sey hai, haiwaanoun aur shaitaanoun ki tarah jeeney sey naheen! Eik laain, shaayad, aapney sunee/padhhee hogee, "Ye jeenaa bhi koyee jeenaa hai?" Waisey to, jo paidah hotaa hai, woh jeetaa bhi hai, aur martaa bhi hai; par, kuchh aisey bhi hotey hain jo mar kar bhi jeetey rahtey hain, aur sahih ma'aanee mein woh hi aslee zindagee jeetey hain!
Mua'af keejiyegaa, adab ko adabee chashmey sey hi deykhney mein dil-o-dimaag ko sukoon miltaa hai, mazhabee chashmey sey naheen! Dono bahut hi alag-alag cheezeyn hain! Hain na?
                                     - abd bundeli
                                   
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #21 on: October 05, 2008, 01:11:19 PM »
Reply with quote
Agarche maiN usool ki behs meN shea'r ko dallel nahiN banata, kyouN ke she'ar ka ta'alluq dil se ziyada hota hai aql se kam.
she'ar apni jagah qaabil-e-daad hai.lekin shea'r meN do mafhoom haiN. Aik allah se aour doosra ham(insaanoN) se marboot hai. jo mafhoom allah se marboot hai wo bilkull sahih hai. lekin jo mafhoom ham se marboot hai us meN kuchh ikhtelafi shkal nazar aati hai.Aik baar kaha jaaye k "qaabil nahiN" ya'ni salaahiyyat nahiN rakhta jiske sabab kar nahiN sakta.Aik baar ye kaha jaye ke karta nahiN to iske do matlab nikalte haiN aik to ye ke salahiyyat rakhne ke bavujood nahiN karta.to is meN uski khata hai.Aour aik ye ke qaabil hi nahiN hai. to is meN qusoor uska nahiN hai.agar kisi ki aaNkh meN binaai na ho to kaheN ge ke  ye aaNkh dekhne ke qaabil nahiN(kyouN kesalaahiyyat nahiN rakhti)aour ye bhi mutlaqan durust hai ke ye aaNkh dekh nahiN sakti.
lekin agar dekhne ki salaahiyyat hai to phir ye nahiN keh sakte k dekhne ke qaabil nahiN.ye keh sakte haiN ke dekhti nahiN(Jiska sahih mafhoom ye niklega k "dekhna nahiN chahti" jo ke bilkull durust hai)to se'ar ka aakheri hissa jo ke ham insaanoN se marboot hai us se sahih mafhoom nahiN nikalta. aour ia'teraaz khuda ke tarz-e-khilqat par ho jata hai.
Main aap se bohot ziyada mukhtalif nahiN hoN. Aapjo keh rahe haiN wo durust hai. Bas wahaN jo lafz "Qabil" aapne istea'maal kiya hai us se jo a'am mafhoom zahir ho raha tha us se muta'lliq maiN ne apni naaqis raaye ka izhaar kiya tha. Agarche aap ne jo lafaz iste'amaal kiya hai wo bhi sahih hai. Jaise ye kehna rayej hai k "Tu to kisi laayeq nahiN hai" Ya'ni laayeq hai magar na laayeqi dikhta hai. To aisi soorat maiN aap ki baat sahih hai. Aour shayeri meN to aap jaante haiN ke baal ki khaal bhi shayer apne fan se nikaalta hai, aour zarroN ko aaftaab bhi wohi karta hai.to shayad koi ikhtelaafi soorat nahiN hai.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #22 on: October 05, 2008, 03:15:22 PM »
Reply with quote
Ghulam Haider ji,
Aap ney sahih farmaayaa hai "koi ikhtelaafi soorat nahiN hai." Aap b-khushee apnee baat kaheyn! Samajhney ki pooree koshish karoongaa!
                     - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #23 on: October 06, 2008, 03:03:27 AM »
Reply with quote
Rooh jannat sey zameen par pahunchee:
Mein achambhey mein thaa, kahaan hoon mein?
Hoor-e-jannat ko zameen par paayaa:
Mujh ko aisaa lagaa, jawaan hoon mein!

                       - abd bundeli
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #24 on: October 07, 2008, 11:53:36 AM »
Reply with quote
Rooh jannat sey zameen par pahunchee:
Mein achambhey mein thaa, kahaan hoon mein?
Hoor-e-jannat ko zameen par paayaa:
Mujh ko aisaa lagaa, jawaan hoon mein!
                       - abd bundeli
"Aap ne kar diya huzoor kamaal
JavaaN Jazba hai or haseeN khayaal".
Daad pesh hai
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #25 on: October 07, 2008, 12:58:31 PM »
Reply with quote
Shukriyah hai Ghulam Haider ji,
Pee key aksar yahee to hotaa hai!
Aasmaanoun mein qadam parhtey hain:
Aur, pahloo mein khudaa hotaa hai!!

                   - abd bundeli
Logged
sbechain
Guest
«Reply #26 on: January 29, 2012, 12:56:49 PM »
Reply with quote
 khoob.........!
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:59:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer