GIRDAB-E-ISHQ

by saaz_haldwanvi on April 19, 2009, 05:07:15 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1839 times)
saaz_haldwanvi
Guest
Reply with quote
 Yahi achcha hai ke ab hum tum juda ho le
 aye ashna ajnabi hone ka bhi tajurba ho le
 rukhsat hone se pahele aa ek dua ho le
 ke baqa-e-wafa[remaining love]ka fir na badguma ho le
 'jo chaha tha tune sab paya hai
  jo saheje the gum maine ab numaya hai'
 
 yaad kar jo sath gujari thi wo raat
 jheel ke pass baithe gujari thi wo raat
 sunte rahe tujhe bakadre jouk-e-vasl[beloved togetherness]nawazi thi wo raat
 abr ne baras kar aur sawari thi wo raat
  'ke jab khof-e-judai se har lamha sahma hua tha
   lipat kar mujh se tum royi thi main roya tha'
 
 Aah wo tishnagi meri kayamat ka asar rakhti thi
 jab ke dil ki sochi har baat pura asar rakhti thi
 vasl ki raat har pal ki khabar rakhti thi
 jab muntaziri ka hisab chasme-tar rakhti thi
  'dekh ke meri ebadat pe na mera ikhtiyar hua
   main ke khud apni tabahi ka talabgaar hua'

 Soj-e-mukhalfat[fire of rebel]teri wo joshe-junnu tera
 khub tha rahe ulfat main ibtda-e-tulu[begining of bigning]tera
 wo parastis teri wo jarf-e-wafa se wuju tera
 wo kya bharam tha ya faqat kurb-e-sukun tera[desire of togetherness]
  'umre-nadaa thi tab ab pukhta-e-shabab ho
   "SAAZ" ab kya sawal ho ab kya jawab ho'
 
 Kabhi samjha tha na kabhi samajh paya
 kyun girdab-e-ishq[fasten in love]hua aur gume-kafas paya
 yaade jaan-bakhsh ko betartib besabab paya
 ta umr jo bhula na ja sake wo sabak paya
  'ab bharam tute ab ho dua ka asar shayad
   pa sako tum koi rehbar hum sa magar shayad'  " saaz haldwanvi" written on 8 march 98,
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ishq hai by nishita in Songs & Lyrics « 1 2 3 4 »
Ishq by c00l in Shayri for Khumar -e- Ishq
!! Ishq !! by muneeb in Shayri-E-Dard
Ishq by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
ishq ishq na kareya kar by dil apna punjabi in Pain in Love : Punjabi poetry
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: April 19, 2009, 08:20:23 AM »
Reply with quote

  PURAANI MOHABBAT KI YAAD NAHIN JAATI.

  PURAANI SHRAAB KAA NASHAA NAHIN UTARTAA.....


  BAHAUT KHOOB SAAZ SB


  K_A
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: April 19, 2009, 08:34:26 AM »
Reply with quote
Bohot hi Khoob Saaz_haldwanvi Ji...bohot khoobsurat hai aapki ye peshkash !!
Logged
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #3 on: April 20, 2009, 07:32:09 AM »
Reply with quote
  PURAANI MOHABBAT KI YAAD NAHIN JAATI.

  PURAANI SHRAAB KAA NASHAA NAHIN UTARTAA.....


  BAHAUT KHOOB SAAZ SB


  K_A         khamoshi se jo sada di jati hai
              uski frequency janab bahut duur talak jati hai,
               sukriya------ saaz   
Logged
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #4 on: April 20, 2009, 07:34:20 AM »
Reply with quote
Bohot hi Khoob Saaz_haldwanvi Ji...bohot khoobsurat hai aapki ye peshkash !!
shukriya mohtarma shukriya,te nazm hamari ladak pan ki nishani hai----'saaz'
Logged
aaina
Guest
«Reply #5 on: April 20, 2009, 08:01:49 AM »
Reply with quote
"ab bharam tute ke ab ho dua ka asar shayad
pa sako tum koi rehbar hum sa magr sahyad"

saaz sahab halduwani bhut khoobsurat jagah aur utna hi khoobsurat aapka kalaam,  kya kahu.n alfaaz dhoond rha hu.n tareef ke liyn mil nhi rhe aur jo kuch hain wo aage aane se sharma rhe hain, bhut hi khoob kha hai aapne bhut bhut shukriya itna umda kalaam paish karne ke liyn yaqenan aapse bhut kuch seekhne ko milega........ 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: April 20, 2009, 08:27:29 AM »
Reply with quote
Subahn Allah, Saaz Ji, Dil Se Daad Nikli Hai Aapke Is Kalaam Par, Kabool Karein,.

Aur Please Hamaare beech Hamaare Saath rahein Aap,.
Hum Sab Ka Hausla Banaa Rahega,.

Thank U,.
Logged
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #7 on: April 20, 2009, 06:31:57 PM »
Reply with quote
"ab bharam tute ke ab ho dua ka asar shayad
pa sako tum koi rehbar hum sa magr sahyad"

saaz sahab halduwani bhut khoobsurat jagah aur utna hi khoobsurat aapka kalaam,  kya kahu.n alfaaz dhoond rha hu.n tareef ke liyn mil nhi rhe aur jo kuch hain wo aage aane se sharma rhe hain, bhut hi khoob kha hai aapne bhut bhut shukriya itna umda kalaam paish karne ke liyn yaqenan aapse bhut kuch seekhne ko milega........ 
aaina ji shukriya, shikhane shikhane ki baat se ek sh_er nikal aaya hai yu hi,aapke janib pais hai ki--"kat ra hoon main lekin samunder ki gahrayi rakhta hoon/ aa doob ke dekh mujh me ki aapna ek vajud apna ek makam rakhta hoon.
Logged
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #8 on: April 20, 2009, 06:37:44 PM »
Reply with quote
Subahn Allah, Saaz Ji, Dil Se Daad Nikli Hai Aapke Is Kalaam Par, Kabool Karein,.

Aur Please Hamaare beech Hamaare Saath rahein Aap,.
Hum Sab Ka Hausla Banaa Rahega,.

Thank U,.
shukriya jaa_nashin /aap pukar ke to dekhen, main to harf-e-sukhan hoon ,aake aas-pass hoon,
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: April 20, 2009, 10:02:02 PM »
Reply with quote
aaina ji shukriya, shikhane shikhane ki baat se ek sh_er nikal aaya hai yu hi,aapke janib pais hai ki--"kat ra hoon main lekin samunder ki gahrayi rakhta hoon/ aa doob ke dekh mujh me ki aapna ek vajud apna ek makam rakhta hoon.

bhut khoob saaz sahab........................

Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: April 21, 2009, 01:58:39 AM »
Reply with quote
Bahut accha likha hai aapne Saaz_halwanvi ji.. Thumbs UP
Logged
pandit
Guest
«Reply #11 on: April 21, 2009, 02:33:24 AM »
Reply with quote
Yahi achcha hai ke ab hum tum juda ho le
 aye ashna ajnabi hone ka bhi tajurba ho le
 rukhsat hone se pahele aa ek dua ho le
 ke baqa-e-wafa[remaining love]ka fir na badguma ho le
 'jo chaha tha tune sab paya hai
  jo saheje the gum maine ab numaya hai'
 
 yaad kar jo sath gujari thi wo raat
 jheel ke pass baithe gujari thi wo raat
 sunte rahe tujhe bakadre jouk-e-vasl[beloved togetherness]nawazi thi wo raat
 abr ne baras kar aur sawari thi wo raat
  'ke jab khof-e-judai se har lamha sahma hua tha
   lipat kar mujh se tum royi thi main roya tha'
 
 Aah wo tishnagi meri kayamat ka asar rakhti thi
 jab ke dil ki sochi har baat pura asar rakhti thi
 vasl ki raat har pal ki khabar rakhti thi
 jab muntaziri ka hisab chasme-tar rakhti thi
  'dekh ke meri ebadat pe na mera ikhtiyar hua
   main ke khud apni tabahi ka talabgaar hua'

 Soj-e-mukhalfat[fire of rebel]teri wo joshe-junnu tera
 khub tha rahe ulfat main ibtda-e-tulu[begining of bigning]tera
 wo parastis teri wo jarf-e-wafa se wuju tera
 wo kya bharam tha ya faqat kurb-e-sukun tera[desire of togetherness]
  'umre-nadaa thi tab ab pukhta-e-shabab ho
   "SAAZ" ab kya sawal ho ab kya jawab ho'
 
 Kabhi samjha tha na kabhi samajh paya
 kyun girdab-e-ishq[fasten in love]hua aur gume-kafas paya
 yaade jaan-bakhsh ko betartib besabab paya
 ta umr jo bhula na ja sake wo sabak paya
  'ab bharam tute ab ho dua ka asar shayad
   pa sako tum koi rehbar hum sa magar shayad'  " saaz haldwanvi" written on 8 march 98,
 


WAAH SAAZ JEE...
BAHUT KHOOB......
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: April 22, 2009, 07:15:56 AM »
Reply with quote
Aslam ne jo jaha bas mujhe bhi wahi dohrana hain....Bohat Khoob peshkash Saaz...
Logged
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #13 on: June 13, 2009, 07:56:56 AM »
Reply with quote
Bahut accha likha hai aapne Saaz_halwanvi ji.. Thumbs UP
shukriya roja
Logged
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #14 on: June 13, 2009, 07:57:56 AM »
Reply with quote
WAAH SAAZ JEE...
BAHUT KHOOB......
bahut shukriya
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:57:46 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer