-----/// Guzaarish ///----- Hriday

by ~Hriday~ on October 22, 2012, 09:06:20 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2052 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote
Ek guzaarish kalam se....

ae kalam mere kuch likhwaa mujhse aisaa
padh ke unke chehre pe muskaan aa jaaye

sharmaake chehraa chhipaa len aanchal mein
jab khat me unhe meraa chehraa nazar aaye

khat ko mere wo chhoo len apne hothon se
aur agle pal wo khud se hi sharmaa jaaye

aaj kuch aisaa asar kar is kore kaagaz pe
mehek mein mohabbat ke wo bhi mehek jaaye

Aur ek guzaarish khat se.....


titli se rang le ke unko tu aisaa rangnaa
ki saaton rang me khushi ke wo rang jaaye

haalat meri bataanaa, unkaa bhi poochh aanaa
kuch aisaa jaaduu karnaa ki wo bas muskuraaye

banke tu baadal jaanaa, aur jaake baras jaanaa
kuch is tarhaa tu barasnaa, ki wo bheeg jaaye

unke paas jaanaa, wahaan shaam tak thaharnaa
unko tu baahar laanaa, jab chaand nikal aaye

chandaa ko main dekhungaa, unko bhi tu dikhaanaa
aur chaand ke chehre me mujhe wo nazar aa jaaye


*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Guzaarish khuda se!! by ajnabeeankur in Miscellaneous Shayri
~*~ Guzaarish~*~ by jeenu in Shayri-E-Dard
ALLAH se guzaarish by mak_bme in Share:Love Poetry
ek guzaarish.(ins)..dolly by dolly in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
-----/// Guzaarish ///-----Hriday by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri
sushilbansal
Guest
«Reply #1 on: October 22, 2012, 09:34:11 PM »
Reply with quote
Kamal kar diya Hirday ji MUBARIK
sheel didi
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: October 23, 2012, 12:50:11 AM »
Reply with quote
achhe prateek banaaye hai qalam aur khat ko daad daad
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: October 23, 2012, 01:27:25 AM »
Reply with quote
wah wah hriday ji, maja aa gaya Applause
Logged
gaytri gupta
Guest
«Reply #4 on: October 23, 2012, 02:29:51 AM »
Reply with quote
Hariday ji bahut behtreen tarike se kalam aur khat k jariye ek aashik k dil ki bat likhi hai....waah waah waah bahut hi khoob....
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #5 on: October 23, 2012, 02:31:58 AM »
Reply with quote
Waah waah Kapil bhayya aaj kal to aap gajab dhaa rahe ho.
Ek se barkar dil kalaam kah rahe ho.
Bahut achche. Aese hi likhte raho.
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #6 on: October 23, 2012, 03:53:41 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

bahut khub hridayji
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: October 23, 2012, 04:06:44 AM »
Reply with quote
Ek guzaarish kalam se....

ae kalam mere kuch likhwaa mujhse aisaa
padh ke unke chehre pe muskaan aa jaaye

sharmaake chehraa chhipaa len aanchal mein
jab khat me unhe meraa chehraa nazar aaye

khat ko mere wo chhoo len apne hothon se
aur agle pal wo khud se hi sharmaa jaaye

aaj kuch aisaa asar kar is kore kaagaz pe
mehek mein mohabbat ke wo bhi mehek jaaye

Aur ek guzaarish khat se.....


titli se rang le ke unko tu aisaa rangnaa
ki saaton rang me khushi ke wo rang jaaye

haalat meri bataanaa, unkaa bhi poochh aanaa
kuch aisaa jaaduu karnaa ki wo bas muskuraaye

banke tu baadal jaanaa, aur jaake baras jaanaa
kuch is tarhaa tu barasnaa, ki wo bheeg jaaye

unke paas jaanaa, wahaan shaam tak thaharnaa
unko tu baahar laanaa, jab chaand nikal aaye

chandaa ko main dekhungaa, unko bhi tu dikhaanaa
aur chaand ke chehre me mujhe wo nazar aa jaaye


*****HRIDAY*****
wow boss---
nice nice nice
very very nice
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: October 23, 2012, 04:38:44 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Aur Bahut Bariki Se Sanjoya Hain Khat Aur Kalam Ko Hriday Ji Aapne Applause Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #9 on: October 23, 2012, 06:21:21 AM »
Reply with quote
Ek guzaarish kalam se....

ae kalam mere kuch likhwaa mujhse aisaa
padh ke unke chehre pe muskaan aa jaaye  Applause Applause Applause

sharmaake chehraa chhipaa len aanchal mein
jab khat me unhe meraa chehraa nazar aaye  Applause Applause Applause Applause wah wah wah

khat ko mere wo chhoo len apne hothon se
aur agle pal wo khud se hi sharmaa jaaye  Giggle kya baat hai.

aaj kuch aisaa asar kar is kore kaagaz pe
mehek mein mohabbat ke wo bhi mehek jaaye
  Applause Applause bahut khoob

Aur ek guzaarish khat se.....


titli se rang le ke unko tu aisaa rangnaa
ki saaton rang me khushi ke wo rang jaaye  Applause Applause Applause

haalat meri bataanaa, unkaa bhi poochh aanaa
kuch aisaa jaaduu karnaa ki wo bas muskuraaye  Applause Applause

banke tu baadal jaanaa, aur jaake baras jaanaa
kuch is tarhaa tu barasnaa, ki wo bheeg jaaye  Applause Applause Applause Applause wah wah

unke paas jaanaa, wahaan shaam tak thaharnaa
unko tu baahar laanaa, jab chaand nikal aaye  Applause Applause bhai waaaaaaaaaaah

chandaa ko main dekhungaa, unko bhi tu dikhaanaa
aur chaand ke chehre me mujhe wo nazar aa jaaye
  Applause Applause kya baat hai


*****HRIDAY*****
aapka ye andaaz bahut pyara laga hriday jee
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #10 on: October 23, 2012, 03:20:58 PM »
Reply with quote
bahut bahut bahut bahut khoobsurat..........so beautiful.....beautifully written...........bahut h khoob hriday ji..... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
suman59
Guest
«Reply #11 on: October 23, 2012, 03:25:43 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Excellant  Thumbs UP
Logged
aqsh
Guest
«Reply #12 on: October 24, 2012, 02:29:06 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

kya baat hai hridayji bahut hi lajawab peshkash hai aap hamesha hi bahut achcha likhte hai dheron daad kubool kare
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: October 24, 2012, 02:30:10 PM »
Reply with quote
Aapki Yeh Guzaarish Dil Ko chhoo Gai Kapil Bhai.. Behad Khubsoorat aur Pyaare Alfaaz Likhe hain aapne.. Bahut Bahut Khooooob.. Applause Applause Applause

Daad Kubool karen Bhai..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: October 26, 2012, 10:19:24 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Sushil ji....!!!

Kamal kar diya Hirday ji MUBARIK
sheel didi
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:32:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer