Ham ye kya kaar o baar kar baithe

by Ghulam Haider on October 01, 2008, 09:22:35 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1268 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Ham ye kya kaar o baar kar baithe.
Kis se waade hazaar kar baithe.

koi ham se mila zara jhuk kar,
Ham bohot inkisaar kar baithe.

Ham sharaafat ki raah se na hate,
Log apna shikaar kar baithe.

Bhool itni barhi hui ham se,
Raaz-e-dil aashkaar kar baithe.

Waqt aaya to phir hua ma'loom,
Kis pe ham ia'tibaar kar baithe.

Khair ki ab hameN ho kya um'meed,
Apne dushman se pyaar kar baithe.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KIYA HAAL KAAR DIYAA by muneeb in Shayri-E-Dard
baithe baithe by Princess21 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 9 10 »
Dar junoon-e-ishq kaar-e-dil khiradmandaana hai. by Ghulam Haider in Shayri for Khumar -e- Ishq
aakhir kaar..........sheba by Sheba in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaar e dushwaar to dushwaar tha aasaaN na huwaa. by Ghulam Haider in Shayri for Dard -e- Judai
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: October 01, 2008, 10:06:28 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Ghulam Haider ji.. Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: October 01, 2008, 10:50:42 AM »
Reply with quote
Hamari to yehi koshish hoti hai ke aap ki wo pesh kareN jo aap ki man pasand ho.
Jab aap log pasand karte ho to hameN is baat ki bohot khushi hoti hai ke poetry aap ko pasand aai.
bohot bohot shukriya.
     "Ghulam Haider"
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: October 01, 2008, 01:53:59 PM »
Reply with quote
Bahut umda likha hai aapne Haider ji... Daad hazir hai kabul farmayiyega zarur
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: October 01, 2008, 10:24:22 PM »
Reply with quote
Bahut umda likha hai aapne Haider ji... Daad hazir hai kabul farmayiyega zarur
zarrah navaazi ke liye aap ka shukr guzaar hoN Roja ji.
Aapki daad sar aaNkhoN par. Lutf o inaayat hai aapki.
Boho bohot shukriya
"Haider"
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: October 02, 2008, 04:20:11 AM »
Reply with quote
bahoot umda haidar ji
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #6 on: October 02, 2008, 04:55:44 AM »
Reply with quote
buht khoob likha hy haider ji


gul
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: October 02, 2008, 10:51:29 AM »
Reply with quote
Ham ye kya kaar o baar kar baithe.
Kis se waade hazaar kar baithe.

koi ham se mila zara jhuk kar,
Ham bohot inkisaar kar baithe.

Ham sharaafat ki raah se na hate,
Log apna shikaar kar baithe.

Bhool itni barhi hui ham se,
Raaz-e-dil aashkaar kar baithe.

Waqt aaya to phir hua ma'loom,
Kis pe ham ia'tibaar kar baithe.

Khair ki ab hameN ho kya um'meed,
Apne dushman se pyaar kar baithe.

Waah...bohot hi khoob likhte hain aap Haider  Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: October 02, 2008, 03:02:16 PM »
Reply with quote
bahoot umda haidar ji
Khud ko becho to bas "Allah" ki marzi ke liye.
Is zamaane meN wafaaoN ka silaa kuchh bhi nahiN
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #9 on: October 02, 2008, 03:07:37 PM »
Reply with quote
Dil To Kehta hai k neele aasmaN ki sair kar,
Waqt kehta hai ke udne ke liye laazim haiN par
Logged
baadal102
Guest
«Reply #10 on: October 03, 2008, 07:18:32 AM »
Reply with quote
bahut khub haider ji
wah



Baadal
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:45:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer