riyaz106
Guest
|
GHAZAL Hamse se na poochiye ke hamara jo haal hai Mushkil hua hai jeena to marna muhaal hai Tootey huye dilon ka nahi hai ilaaj kyon Jiska nahin jawaab ye aisa sawaal hai Haira.n hun mehrban achaanak huye hain kyon Lagtaa hai doston ki nai koi chaal hai Nakamiyan mili hain mujhe apni wajha se Baitha hua tha jispe main kaati wo daal hai Ilzaam 'Ashna' pe lage, tha wo bhi saamne Khamosh kyon raha wo, mujhe ye malaal hai
Riyaz 'Ashna'
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #2 on: January 30, 2010, 05:33:36 AM » |
|
Bahoooooooooot shukriya Mann Bhai. Aapki hausla afazai se ummeed jaagti hai ke shayad kuchh achha likhne ka hunar aa jaye. Phir se aapka shukriya ke meri ghazal pasand aai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
DhavalRami
Guest
|
|
«Reply #3 on: January 30, 2010, 05:36:15 AM » |
|
Riyaaz saaHeb:
Aadaab ar'z haii!
aapki peShkaSh la-jawaab rahiiN... umdaa'h soch! dil se niklii hu'ii daad ko qabUl farmaayeN!
liKhate rahe.n aage bhee.. duaa hay Zor-e-qalaam aur baRheN ziyaadaa'h!
KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #4 on: January 30, 2010, 05:41:07 AM » |
|
Dhaval Sahab aapki muhabbat dekh kar bahut achha laga. Beshak aap shayarana mizaj rakhte hain, ye aapki baat se pata chalta hai. Aap bhi khush rahiye aur apni shayari se hamen mehzooz karte rahiye. Riyaaz saaHeb:
Aadaab ar'z haii!
aapki peShkaSh la-jawaab rahiiN... umdaa'h soch! dil se niklii hu'ii daad ko qabUl farmaayeN!
liKhate rahe.n aage bhee.. duaa hay Zor-e-qalaam aur baRheN ziyaadaa'h!
KhuSh raheN... apnaa Khayaal raKheN
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
|
|
|
Logged
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #5 on: January 30, 2010, 05:54:08 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #6 on: January 30, 2010, 06:14:06 AM » |
|
Madhu didi aapka dil waqai bahot bada hai. Kisi ki poem ko aapki daad na mile aisa ho nahi sakta. Hausla afzai ke liye aapka bahot shukriya.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
deepika_divya
Guest
|
|
«Reply #8 on: January 30, 2010, 10:55:05 AM » |
|
Waah Waah.. Bahoot Bahoot Lajawaab Likha hai Riyaz ji aapne.. Bahoot Khoob.. Yuhin Mehfil sajate rahiye..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #9 on: January 30, 2010, 01:25:27 PM » |
|
SHIHAB JI, THINK JI, SOPHI JI and KAASH JI aapka dher sara shukriya Aap jaise shayari ko samajhne wale aur qadr kare walon ki vajah se kuchh likhne ki inspiration milti hai. Thanks again.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
drpandey
Guest
|
|
«Reply #10 on: January 30, 2010, 01:48:39 PM » |
|
Behad achchhe andaz-o-ehsasat ka bemisaal namuna hai ye kalaam
Isi per Ghalib Sahab ka ek sher yaad aata hai...
Hamtak kab unki bazm mein aata tha daur-e-jaam, Shaqui ne kuchh mila na diya ho sharab main.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #11 on: January 30, 2010, 01:52:42 PM » |
|
Janaab Pandey Sahab is nacheez ki haqeer si ghazal par aapki nazar padi, meri khush-bakhti ki baat hai. Us par aapki ye hausal afzai Subhaan Allah. Behad shukriya Doctor Sahab.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
drpandey
Guest
|
|
«Reply #12 on: January 30, 2010, 02:22:12 PM » |
|
Hamare aik sufi dost ye sher padha karte haih....aapko nazr hai...
Tera hi naam hoga unmaan-e-har barak, Aurak-e-zindgi ka palat deeN kahin se ham.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
riyaz106
Guest
|
|
«Reply #13 on: January 30, 2010, 06:37:46 PM » |
|
Pandey sahab bahot achha sher kehte hain aapke dost. Aapne hame bhi sunaya bahut shukriya.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
malli
Guest
|
|
«Reply #14 on: January 30, 2010, 07:00:22 PM » |
|
GHAZAL Hamse se na poochiye ke hamara jo haal hai Mushkil hua hai jeena to marna muhaal hai Tootey huye dilon ka nahi hai ilaaj kyon Jiska nahin jawaab ye aisa sawaal hai Haira.n hun mehrban achaanak huye hain kyon Lagtaa hai doston ki nai koi chaal hai Nakamiyan mili hain mujhe apni wajha se Baitha hua tha jispe main kaati wo daal hai Ilzaam 'Ashna' pe lage, tha wo bhi saamne Khamosh kyon raha wo, mujhe ye malaal hai
Riyaz 'Ashna'
Bahut badiya likha hai aapne Riyaz ji.... ishq bi hai dard bi hai.... bahut bahut khoob
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|