Suresh ji have a look at below
off course it's by me (Rustum Rangila) Syed Iqtedar Hussain...
(Aapki poetry ke ham hamesha se khayel hain
)
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Bekali Har Ghadi Ki Door Karen
Ek Razai Me Phir Se So Jaen
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Baat Kar Phone Pe Yon Rona Kya
Cahre Ko Aansoaon Se Dhona Kya
Har Ghadi Chaen Apna Khona Kya
Bin Hamare Akele Sona Kya
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Zindagi Ki Haseen Rahon Me
Ek Doje Ki Kho Ke Bahon Me
Rachke Baske Sada Nigahon Me
Khona Ek Pal Bhi Nahi Aanhon Me
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Chaen’O’Araam Tumse Milta Hai
Dekh Ke Tumko Cahera Khilta Hai
Tumse Hi Chaak Jigar Silta Hai
Bin Tumhare Na Khatiya Hilta Hai
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Tumse Ji Ka Qharaar Paana Hai
Banhon Me Phir Tumhari Aana Hai
Apni Betabiyon Ke Sab Qhisse
Ek Ek Kar Tumhen Sunana Hai
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Chaen Milta Nahi Hai Baaton Se
Dil Bahelta Nahi Hai Raaton Se
Dam Nikal Jaye Na Hijrat Me Kahin
Thaam Lo Aa Ke Apne Haaton Se
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Koi Surat Nikalo Milne Ki
Phir Se Cahre Hamare Khilne Ki
Paas Aao Ke Koi Baat Bane
Door Se Khatya Nahi Hilne Ki
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Ab To Daman Sabar Ka Chuta Hai
Hamse Chaen’O’Qharaar Rutha Hai
Dil Bahelta Nahi Bahanon Se
Bin Tumhare Sukoon Jhuta Hai
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Zindagi Ki Taweel Raaton Me
Saath Hona Tumhara Saaton Me
Pal Ko Bhi Mujhse Door Mat Hona
Haath Hona Tumhara Haaton Me
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Baaten Be’Wajha Kuch Nahi Hotin
Gud Jahan Makhiyan Wanhi Hotin
Tumpe Marta Hon To Haerat Kaesi
Dil Jahan Dhadkanen Wanhi Hotin
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Bin Tumhare Hamesha Rona Hai
Chaen Khushaal Ji Ka Khona Hai
Haal Be’Haal Kuch Huwa Aese
Takya Paaon Me Leke Sona Hai
Aa Bhi Jaao Ke Ek Ho Jaen
Ek Duje Me Phir Se Kho Jaen
Haal’E’Dil Is Tarha Batana Kya
Baten Kar Pyar Ko Jatana Kya
Rab Ki Marzi Milae Jab Chahe
Seene Ko Cheer Ke Dikhana Kya
Rab Ki Marzi Milae Jab Chahe
Seene Ko Cheer Ke Dikhana Kya