Hamsafar Saath Ho Phir Kam Kya Hai

by Ghulam Haider on April 22, 2010, 11:44:30 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1748 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Hamsafar Saath Ho Phir Kam Kya Hai.
Jab Khushi Paas Ho Phir Gham Kya Hai.

Kya Kisi Ko Meri Haalat Ki Khabr ,
Kaun Jaane Mera A'alam Kya Hai.

Raat Bhar Rehti Hain Aankhen Meri Nam,
Dekh Lo Phoolon Pe Shabnam Kya Hai.

Gar Koyi Khush Hai Mere Jeene Se,
To Ye Din-Raat Ka Maatam Kya Hai.

Dard e Dil Kehta Hai Mujh Se Haider
Zakhm Ko Ashkon Ka Marham Kya Hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Vo Hamsafar.... by kruti in Shayri for Dard -e- Judai
-~Mere Hamsafar~- by Tosha in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
-~Mere Hamsafar~- by Tosha in Critics and Review only Forum
Sabhi rishte saath hai phir bhi********SH by S.hashmi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
tere saath saajnaa phir eid aayee, by laaiba in Shayri for Khumar -e- Ishq
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: April 22, 2010, 02:42:17 PM »
Reply with quote
bahut khoob Haider ji... bahut khoob...!!!
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #2 on: April 22, 2010, 10:11:42 PM »
Reply with quote
bahot khoob janab .wah wah khas kar yeh shair bahot pasand aya

Gar Koyi Khush Hai Mere Jeene Se,
To Ye Din-Raat Ka Maatam Kya Hai.

Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #3 on: April 23, 2010, 12:26:30 AM »
Reply with quote
bahot khoob janab .wah wah khas kar yeh shair bahot pasand aya

Gar Koyi Khush Hai Mere Jeene Se,
To Ye Din-Raat Ka Maatam Kya Hai.


She'r Ka Maza Ba Zauq afraad Hi Lete Hain. Har Insaan Apne Shuo'or Ke Mutaabiq Hi Dark Karta Hai.
She'r Pasand Karne Ke Liye Shukriya Janaab
Logged
neelgold
Guest
«Reply #4 on: April 23, 2010, 12:30:21 AM »
Reply with quote
wah wah ........bhut khoob
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: April 23, 2010, 12:41:03 AM »
Reply with quote
bahut khoob Haider ji... bahut khoob...!!!
Bas Isi Tarah Nazar e Karam Farmaate Rahiye Aur Lazzat Paate Rahiye. Hamaar Khushi Aap Ki Khushi Se Hai.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: April 23, 2010, 03:45:30 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Haider ji,lovely poem,marvelous creation,bahut achi lagi.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: April 23, 2010, 03:50:13 AM »
Reply with quote
Wah! Haider Ji, Bahut khoob likha hai aap ne
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #8 on: June 08, 2010, 11:31:55 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Haider ji,lovely poem,marvelous creation,bahut achi lagi.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Shukriya Aap Ki Pazeerayi Ka.Intihaie Mamnoon O Mutshakkir Hon.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 08, 2010, 12:32:21 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Haider Bhai..

Bahut Acha Likhte Hai Aap!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: June 16, 2010, 07:54:11 AM »
Reply with quote
Wah Janab! Kya kahne! Bahut achchha kahte haiN. Qaafiye ko khoob nibhaya hai, wah bhai wah. HazaaroN daad qubul kijiye is aik matle k saath:

"MaiN" kahiN hai kahiN ye "Tum" kya hai
Aur iske siwaaye ghum kya hai

(Waquif Ansari)

Hamsafar Saath Ho Phir Kam Kya Hai.
Jab Khushi Paas Ho Phir Gham Kya Hai.

Kya Kisi Ko Meri Haalat Ki Khabr ,
Kaun Jaane Mera A'alam Kya Hai.

Raat Bhar Rehti Hain Aankhen Meri Nam,
Dekh Lo Phoolon Pe Shabnam Kya Hai.

Gar Koyi Khush Hai Mere Jeene Se,
To Ye Din-Raat Ka Maatam Kya Hai.

Dard e Dil Kehta Hai Mujh Se Haider
Zakhm Ko Ashkon Ka Marham Kya Hai
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #11 on: June 16, 2010, 08:27:15 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Haider Ji
Bohat Achha Likha Hia Aapne
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: June 16, 2010, 02:41:57 PM »
Reply with quote
Wah Janab! Kya kahne! Bahut achchha kahte haiN. Qaafiye ko khoob nibhaya hai, wah bhai wah. HazaaroN daad qubul kijiye is aik matle k saath:

"MaiN" kahiN hai kahiN ye "Tum" kya hai
Aur iske siwaaye ghum kya hai

(Waquif Ansari)

Mujhe Is Web Par Apna Kalaam post Karke Koi Khas Khushi Nahin Hoti Thi, Lekin Jis Andaaz Se Aap ne Mujhe Saraaha Hai Us Se Mujhe Ye Yaqeen Hua Ke Abhi Ba Zauq Afraad Hain Jo Kalaam Ki Qadr Karte Hain.
      Intehai Shukr Guzaar Hon Aap Ka
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: June 16, 2010, 02:59:12 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob Haider Ji
Bohat Achha Likha Hia Aapne

Aapko Achha Laga To Yaqqinan Achha Hai.
Shayeri Shauq Hai Aapna Lekin.
Daad se aur bhi baRh Jata Hai.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #14 on: June 17, 2010, 07:21:44 AM »
Reply with quote
Wah Ghulam Haider Sb. Kya khoob ghazal kahi hai aapne. Bahut achha likhte hain aap. Har sher apne aap mein misaal hai. Hazaron daad hazir hain. Aapki agli takhleeq ka intezaar rahega.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:26:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer