Har Gham Ko Tere Ishq Mein Khush Ho Ke Sahonga

by Ghulam Haider on April 21, 2010, 12:53:04 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2954 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Har Gham Ko Tere Ishq MeiN Khush Ho Ke SahoNga.
Par Leke Judaayi Ka Teri Gham Na JiyuoNga.

Duniya Ki A'daawat Ka Mujhe Khauf NahiN Hai,
Haq Baat Meri Hai To MaiN Keh Kar Hi RahoNga.

Tu Shama'a Hai Ulfat Ki MaiN Parwana Wafa Ka,
MiT JaaoNga Par Tujh Se Hi Aa Kar MaiN MiloNga.

Jazbaat Mere Dil Ke Abhi Dil MeiN Chhupe HaiN,
Kuchh Raaz Ki BaateN MaiN Sabhi Se Na KahoNga.

Daaman MeiN UTtha LoNga Teri Raah Ke KaaNTe,
Dil Apna Teri Raah MeiN MaiN Farsh KaroNga.

Aaja Ke Bichhaye HoN Teri Raah MeiN NazreN,
Duniya Se Chhupa Kar MaiN Tujhe Dil MeiN RakhoNga.

Dil Jin Se Behel Jaaye Mere Yaar Ka Haider,
Woh Us Ke Liye Pyaar Ke Naghmaat LikhoNga.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ishq mein tere by Ghazal in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
tere ishq mein !!!!! by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
*Tere Ishq Mein* by Roja in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
tere ishq mein by saahill in Share:Love Poetry
Kyon Ishq Mein Pinhan Hazaron Gham Bhi Hain? - R. Rangila by Rustum Rangila in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 21, 2010, 01:36:05 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Haider Sahab!!!

bahut Hi khoobsurat Ehsaas Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: April 21, 2010, 01:48:59 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Haider Sahab!!!

bahut Hi khoobsurat Ehsaas Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Kabhi Woh Mujh Pe Apna Haq Jataye,
Kabhi Main Us Pe Apna Haq Jataon.

Kabhi Shkwe Gile Mujh Se Kare Woh,
BaRe Hi Pyar Se Usko Manaon.

Jo Mil Jaye Mujhe Gham Us Haseen Ka,
To Phir Duniya Ke Saare Gham Bhulaon.

Wo Mere Saamne Aaye To Haider,
Use Main Pyar Ke Naghme Sunaon
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: April 21, 2010, 01:57:51 PM »
Reply with quote
Har Gham Ko Tere Ishq Mein Khush Ho Ke Sahunga.
Par Leke Judaayi Ka Teri Gham Na Jiyunga.

Duniya Ki A'daawat Ka Mujhe Khauf Nahin Hai,
Haq Baat Meri To Main Keh Kar Hi Rahunga.

Tu shama'a Hai Ulfat Ki Main Parwana Wafa Ka,
MiT Jaaonga Par Tujh Se Hi Aa Kar Main Milunga.

Jazbaat Mere Dil Ke Abhi Dil Mein Chhupe Hain,
Kuchh Raaz Ki Baaten Hain Kisi Se Na Kahunga.

Daaman Mein UTtha Longa Teri Raah Ke Kaante,
Dil Apna Teri Raah Mein Main Farsh Karunga.

Aaja Ke Bichhaye Hon Teri Raah Mein Nazren,
Duniya Se Chhupa Kar Main Tujhe Dil Mein Rakhunga.

Dil Jin Se Behel Jaaye Mere Yaar Ka Haider,
Woh Us Ke Liye Pyaar Ke Naghmaat Likhunga.

Bahut hi khoobsurat peshkash hai aap ki Haider Ji
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: April 21, 2010, 02:09:04 PM »
Reply with quote
Bahut hi khoobsurat peshkash hai aap ki Haider Ji
Thanks Rajesh Harish Ji
Logged
Sidraah Azeem
Guest
«Reply #5 on: April 21, 2010, 03:06:27 PM »
Reply with quote
masha-Allah

bahot hee khoobsurti se lafz piroye hain Haider sahaab. very nicely presented

~SA (Anjaan Dharkan)
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: April 21, 2010, 08:18:19 PM »
Reply with quote
masha-Allah

bahot hee khoobsurti se lafz piroye hain Haider sahaab. very nicely presented

~SA (Anjaan Dharkan)
Aapne Jis Andaaz Se Mujhe Daad Pesh Ki Us Se Aap Ki Dili Mohabbat Aur khuloos e Niyyat Zahir Hai. Tah e Dil Se Aap ki Nawaazish Ka Mamnoon Hon.
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #7 on: April 22, 2010, 12:04:01 AM »
Reply with quote
bahot hi umda ghazal paish ki hai aapne,wah ,bahot khoob janaab.
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #8 on: April 22, 2010, 06:12:20 AM »
Reply with quote
Har Gham Ko Tere Ishq Mein Khush Ho Ke Sahonga.
Par Leke Judaayi Ka Teri Gham Na Jiyuonga.

Duniya Ki A'daawat Ka Mujhe Khauf Nahin Hai,
Haq Baat Meri To Main Keh Kar Hi Rahonga.

Tu shama'a Hai Ulfat Ki Main Parwana Wafa Ka,
MiT Jaaonga Par Tujh Se Hi Aa Kar Main Milonga.

Jazbaat Mere Dil Ke Abhi Dil Mein Chhupe Hain,
Kuchh Raaz Ki Baaten Hain Kisi Se Na Kahonga.

Daaman Mein UTtha Longa Teri Raah Ke Kaante,
Dil Apna Teri Raah Mein Main Farsh Karonga.

Aaja Ke Bichhaye Hon Teri Raah Mein Nazren,
Duniya Se Chhupa Kar Main Tujhe Dil Mein Rakhonga.

Dil Jin Se Behel Jaaye Mere Yaar Ka Haider,
Woh Us Ke Liye Pyaar Ke Naghmaat Likhonga.


Bohat KhuB Haider Ji... umda kalaam...

Tu laakh kar le koshish mujh se duur jaane ki
Ek roz mai teri mehki huyi saanso me basooga

-------------------------
°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙

Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #9 on: April 22, 2010, 08:10:59 AM »
Reply with quote
bahot hi umda ghazal paish ki hai aapne,wah ,bahot khoob janaab.
Aap Ki Daad Ne Mujhe Ihsaas Dilaya Hai Ke Meri Ye Kaavish Yaqeenan Maqbool Hai.Pasand Farmane Ke Liye Be Had Shukriya.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #10 on: April 22, 2010, 08:46:12 AM »
Reply with quote

Bohat KhuB Haider Ji... umda kalaam...

Tu laakh kar le koshish mujh se duur jaane ki
Ek roz mai teri mehki huyi saanso me basooga

-------------------------
°ღ•ŚÁßÁ●•٠•˙


Apne Chehre Se Hataye Hai Wo Kyon Aaj Naqaab,
Usko Ma'loom Nahin Hai Ke Qayaamat Hogi.
-----------
Husn Par Zor Kahan Chalta Hai.
Haye Afsos Ke Dil Jalta Hai.

Chaahta Hai Jise Dil Se Koyi,
Saath Uska Use Kab Milta Hai.

Subh Ek Aas Bandha Jaati Hai
Or Usi Aas Pe Din Dhalta Hai.


Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: April 22, 2010, 09:47:44 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Haider ji,Saba ji.lovely creation.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #12 on: April 22, 2010, 11:05:31 AM »
Reply with quote
Badi khoobsurat ghazal kahi hai Haider sahab. Padhkar dil khush hua. Ishq ka khumaar sar chadh kar bol raha hai. Dua go hun ke ho zore qalam aur zyada. Do misre aapki nazr:

Main teri tabeeat se alag kuchh na kahunga
Tu din ko agar raat kahe raat kahunga
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: April 22, 2010, 12:14:51 PM »
Reply with quote
Badi khoobsurat ghazal kahi hai Haider sahab. Padhkar dil khush hua. Ishq ka khumaar sar chadh kar bol raha hai. Dua go hun ke ho zore qalam aur zyada. Do misre aapki nazr:

Main teri tabeeat se alag kuchh na kahunga
Tu din ko agar raat kahe raat kahunga

Mohabbat Ka Bata Yuon Bhi Koi Izhaar Karta Hai.
Tere Inkaar Ka bhi Mera Dil Iqraar Karta Hai.

Meri Aankhon Ki Surkhi Mein Jo Likha Hai Use Bhi PaRh,
Kisi Ko Is Tarah Koie Bhala Beemaar Karta Hai.

Khabar Kya Hai Tujhe Is Baat Ki Ai Husn Ke Paikar,
Tera Kin Kin Bahaanon Se koie Deedaar Karta Hai.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: April 22, 2010, 12:23:29 PM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Haider ji,Saba ji.lovely creation.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Karam Hai, Nawaazish Hai Mohabbat Hai, Aapki Daad Bhi Daad Ke Qaabil Hai
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:02:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer