har pal tujhe yaad aaungi main.........

by ranjana on July 11, 2006, 02:34:13 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 4810 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
tum mujhe bhulana bhi chahoge toh tumhe har pal yaad aaungi main
kabhi ban ke badal kabhi ban ke aansu teri aankh se baras jaaungi main

jab bhi kholega tu yaado ki kitaab apne dil mein
toh har pane per tasveer ban ke teri aankho mein nazar aaungi  main

jab kabhi khoya hoga duniya ke bheed mein kahi
toh tere khayalo mein aa kar tujhe tanha kar jaaungi main

tu chhaae kitni bhi duri bana le per main tujse dur nahi
dekhega jab dhalata suraj toh uski laali ban ke tere jehan per chhaa jaaungi main

soya hoga raat ko jab chein ki neend mein  kahi tu
kabhi khawab ban ke kabhi chand ban ke teri aankho mein bas jaaungi main.

jab kabhi thandi hawa ka jhonka chhooega tujhe hole se
toh teri aankho ko tere maathe ko hole se chum jaaungi main
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad aaungi mein... by Namkeen in Shayri-E-Dard
zindagi bhar yaad aaungi.... by nidhi_yadein in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 12 13 »
Yaad kar kar ke tujhe.... by Alam Qazi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Hamesha yaad aaungi main...........LLK by leena loves kamlesh in Shayri for Khumar -e- Ishq
~*~ Main tujhe yaad aunga ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
amazing_world
Guest
«Reply #1 on: July 11, 2006, 02:49:43 AM »
Reply with quote
wow ranjana ji kamaal kar diya

kabhi kashboo kabhi jhonka kabhi hawa sa lage
juda ho kar bhi tu mujhse juda juda sa lage
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #2 on: July 11, 2006, 04:25:03 AM »
Reply with quote
Superb Ranju and Amazing World ji.......

Quote
tum mujhe bhulana bhi chahoge toh tumhe har pal yaad aaungi main
kabhi ban ke badal kabhi ban ke aansu teri aankh se baras jaaungi main

jab bhi kholega tu yaado ki kitaab apne dil mein
toh har pane per tasveer ban ke teri aankho mein nazar aaungi main

jab kabhi khoya hoga duniya ke bheed mein kahi
toh tere khayalo mein aa kar tujhe tanha kar jaaungi main

tu chhaae kitni bhi duri bana le per main tujse dur nahi
dekhega jab dhalata suraj toh uski laali ban ke tere jehan per chhaa jaaungi main

soya hoga raat ko jab chein ki neend mein kahi tu
kabhi khawab ban ke kabhi chand ban ke teri aankho mein bas jaaungi main.

jab kabhi thandi hawa ka jhonka chhooega tujhe hole se
toh teri aankho ko tere maathe ko hole se chum jaaungi main

Yeh toh tum mere liye Khudkhushi ki baat karti ho......
Mausam dikha ke phir Fizaon se Patjhadd ki baat karti ho......

Bhula ke tumhe kya main apna Wajoob Chupa paonga......
Beet jayegi tu toh banke ateet mera or main harr Kaal me tadapta reh jaonga......

Bhula ke tujhe bhala main kaise Zinda reh paonga.......
Guzar jayegi Maut bhi ek Lamha banke or aant talak Kabr me tadapta reh jaonga........!!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: July 11, 2006, 05:05:05 AM »
Reply with quote
oye yeh kya likha  Puzzled !  Usual Smile good hai per....... Usual Smile

aaj toh meri duawao mein itna asar ho jaaye
unke khayalo mein hum rahe hamesha aur zindagi yun basar ho jaaye

kisko chaha hai fir  dunaiya ki daualt ki a dost
bas mujhe teri ek pyaar bhari nazar jo mil jaaye

rahe raha meri yeh teri mohabbat ki roshni se bhari
meri zaindagi ki raha tu jo ek diya pyaar ka jalaaye

zindagi  ka safar ab akele taye hota nahi hamse
ab toh dua hai ki meri is raha mein woh mera humsafar ho jaaye
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: July 11, 2006, 05:16:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

Ek Safar ho Zindagi ka jisme Saath tera ho......
Humsafar tu bane meri or mera Jeena tere saath ho......

Na ho koi paheli......Zindagi ka bas Pyar hee adhaar ho.....
Guzre Shaam bhi kuch aise mere Kandhe pe Sirr tera or haathon me haath ho.......

Ek Safa ho Zindagi ka jisme tera Saath ho......
HUmsafar tu bane meri or mera jeena tere saath ho.....!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: July 11, 2006, 10:32:45 AM »
Reply with quote
tere khayal aate hain toh aate chale jaate hain
hum har ghadi har pal tujhe apne saath paate hain

diye hain zamane ne dard aur  zakham kuch asie
ki woh mere dil se gazal ban ke kagaz per utar jaate hain

kuch toh rishta hai tere mere beech mein sanam
varana tere geeto mein aksar mere afsaane kyu nazar aate hain

dekha nahi hai tere  mere  milne ka manzar in aankho ne kabhi
fir bhi raato ko kyu tere khawab suhaane mujhe aate  hain
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: July 11, 2006, 03:57:40 PM »

Jab jab jhapkayegi apni Palkein......
Sanam tujhe Saamne hum hee Nazar aayenge......

Denge tujhe harr Khushi iss Jahan ki......
Or teri bheegi palkein poonch jayenge.......

Bas thaam lena uss Khawaab ko......
Karna VishWaas humpar bhi hum use HaQiQat ka roop de jayenge......

Kuch aise Veeran Dil ke drakhton ko.......
Gulshan se hum Sajayenge.......!!!!!!!!
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #7 on: July 11, 2006, 06:28:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
tum mujhe bhulana bhi chahoge toh tumhe har pal yaad aaungi main
kabhi ban ke badal kabhi ban ke aansu teri aankh se baras jaaungi main

jab bhi kholega tu yaado ki kitaab apne dil mein
toh har pane per tasveer ban ke teri aankho mein nazar aaungi  main

jab kabhi khoya hoga duniya ke bheed mein kahi
toh tere khayalo mein aa kar tujhe tanha kar jaaungi main

tu chhaae kitni bhi duri bana le per main tujse dur nahi
dekhega jab dhalata suraj toh uski laali ban ke tere jehan per chhaa jaaungi main

soya hoga raat ko jab chein ki neend mein  kahi tu
kabhi khawab ban ke kabhi chand ban ke teri aankho mein bas jaaungi main.

jab kabhi thandi hawa ka jhonka chhooega tujhe hole se
toh teri aankho ko tere maathe ko hole se chum jaaungi main

Teri shayari ka nasa sir par chadte ja rahii hai
Aab to nas nas me lahu ke sath ye badte ja rahii hai
Teri lafzo se tune har muskil ko aam banaya hai
Is likhayii ke jariiye tune kuch aalag hii mukam banaya hai
Aab to ebaadat karta hu teri shayari kii
Ye haamne aab sare-aam bataya hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: July 11, 2006, 06:43:30 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Ranjana, BS & RWG....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: July 12, 2006, 01:54:19 AM »
Reply with quote
SHUKRIYA ARYAAN ..BAHUT KHOOB GAURAV AND SHAHID....

jab unke pyaar mein hum dube toh hame manjhdhaar bhi sahil lagne laga
kabhi lagta nahi thaa is jahan mein dil mera ab dil jeene ki tamana karne laga

chhaa gaya hai unke pyaar ka nasha hum per kuch is tarah se
ki har mehfil mein har shakas bas unke jaisa hi lagane laga

pukaara chahey hamne koi naam bhi kisi ka
bas meri jubaan per unka hi naam utrane laga

ajab hai yeh bekhudi sa alam unki mohabbat ka
har pal har ghadi bas dil unki hi chahat mein ranagne laga

kahi kabhi bhula ne de mere is pyaar ko woh ya Rabh
hame toh unke bagair ek pal bhi jeena mushkil lagane laga
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: July 12, 2006, 03:56:24 AM »
Reply with quote
Tere bikharte Gesu......
Aur teri woh Saanson ki mehek......

Tere woh Gungunana Pyar ke geet......
Unpar Taal ho Chidiyon ki or Koyal ki Chehek......

Woh Khawaab tere haseen......
Jinhone bana dia tujhe mera DilNasheen......

Jaane Kya kariyega jab Sanam ek Mausam ki baarish bann baras jaye.....
Dekhe Banjar Zameen use or uske Dil me use Choone ko ek Ankur phoot jaye......!!!!!!!!
Logged
aaramish
Guest
«Reply #11 on: July 12, 2006, 04:02:53 AM »
Reply with quote
Bahut acha likha hai sabnay bahut hi sunder
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: July 12, 2006, 07:03:31 PM »
Reply with quote
shukriya aarmish........... :D
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #13 on: July 12, 2006, 07:20:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
SHUKRIYA ARYAAN ..BAHUT KHOOB GAURAV AND SHAHID....

jab unke pyaar mein hum dube toh hame manjhdhaar bhi sahil lagne laga
kabhi lagta nahi thaa is jahan mein dil mera ab dil jeene ki tamana karne laga

chhaa gaya hai unke pyaar ka nasha hum per kuch is tarah se
ki har mehfil mein har shakas bas unke jaisa hi lagane laga

pukaara chahey hamne koi naam bhi kisi ka
bas meri jubaan per unka hi naam utrane laga

ajab hai yeh bekhudi sa alam unki mohabbat ka
har pal har ghadi bas dil unki hi chahat mein ranagne laga

kahi kabhi bhula ne de mere is pyaar ko woh ya Rabh
hame toh unke bagair ek pal bhi jeena mushkil lagane laga

kya baat hai ranz-na dear! :D
Teri tamanna ko aapna jine ka sahara bana liya
Teri har khusi aur gam ko aab hamne hamara bana liya
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #14 on: July 13, 2006, 10:28:07 AM »
Reply with quote
Yaad kya aai teri baat,
neend na aai sari raat...
hum bhi chup hain, tum bhi chup,
ise kahate hain ishq-e-haalat.....
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:46:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer