Hasrat

by Talat on September 30, 2004, 05:33:57 AM
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24 25
ReplyPrint
Author  (Read 20241 times)
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #300 on: December 26, 2004, 05:50:10 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Tum jise rota hua chorh gaye the ek din
Humne us shaam ko seene se laga rakha hai
Chain lene nahin deta ye kisi taur mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai!!!!


(NM)


Waaah! Ji Waaah! Kya baat hai!! Bahut Khoob!!!! Talat ji!!!

Humne Apne ashkon pe ek Baandh bana rakha hai!
Gham ke Samandar ko Is Dil Mein Chhupa Rakha hai!

Teri Ruswai ho Zamane mein, Humein yeh bhi Manzoor Nahin,
Kaleje pe Patthar rakh ke,yaadon ke chiragon ko Bujha rakha hai!

Kambakht is Dil ke Armaan to Bahut machalte hain Lekin,
Tanhaai ki Chaadar mein Sab Hasraton ko sula rakha hai!

Hawayein Bahut tez hain Ishq ki,Toofaan bhi Utha Sakti hain,
Humne Mohabbat pe Bharosa kar ke Zazbaat ko Daba Rakha hai!

Tujhe Mohabbat se nawaazein Yeh Aakhiri Tammanna hai Apni,
Warna be-Raham is Duniya mein, ab Bhala Kya rakha hai!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ibadatt ki hasrat si hai by poem143s in Shayri-E-Dard
Thukrana nahin meri hasrat ko by KaMaL in Shayri for Khumar -e- Ishq
Itni si Hasrat by jass_eins in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hasrat Reh Gayi unhe Gale Laga Ne Ki by V a r s h a in Shayri for Dard -e- Judai
HASRAT by jay091081 in Gujarati
Namkeen
Guest
«Reply #301 on: December 26, 2004, 06:11:59 PM »
Reply with quote
Awsome!!! Arunji bohot hi acha likha hai aap ne ..... just so nice!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #302 on: December 26, 2004, 06:35:30 PM »
Reply with quote
Thanks a lot!! Namkeen ji!!!! Usual Smile
Logged
dolly
Guest
«Reply #303 on: December 27, 2004, 06:06:11 AM »
Reply with quote
kya baat haiji !!!!!!!!chaa gaye aaj to aap...

har dil ko sunaate hain farmaan mohabbat ka ...
pyaasa hai bada pyaasa insaan mohabbat ka....(NM)
Logged
lovebites
Guest
«Reply #304 on: December 27, 2004, 06:49:39 AM »
Reply with quote
Bohat achey Arun bhai............!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #305 on: December 27, 2004, 03:08:35 PM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
Quote from: "Talat"
Tum jise rota hua chorh gaye the ek din
Humne us shaam ko seene se laga rakha hai
Chain lene nahin deta ye kisi taur mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai!!!!


(NM)


Waaah! Ji Waaah! Kya baat hai!! Bahut Khoob!!!! Talat ji!!!

Humne Apne ashkon pe ek Baandh bana rakha hai!
Gham ke Samandar ko Is Dil Mein Chhupa Rakha hai!

Teri Ruswai ho Zamane mein, Humein yeh bhi Manzoor Nahin,
Kaleje pe Patthar rakh ke,yaadon ke chiragon ko Bujha rakha hai!

Kambakht is Dil ke Armaan to Bahut machalte hain Lekin,
Tanhaai ki Chaadar mein Sab Hasraton ko sula rakha hai!

Hawayein Bahut tez hain Ishq ki,Toofaan bhi Utha Sakti hain,
Humne Mohabbat pe Bharosa kar ke Zazbaat ko Daba Rakha hai!

Tujhe Mohabbat se nawaazein Yeh Aakhiri Tammanna hai Apni,
Warna be-Raham is Duniya mein, ab Bhala Kya rakha hai!


wah!!!  wah!!!!! wah!!!1  talat....arun  bhai.......excellent ....very touching words...........

Pyaas Vo Dil Ki Bujhaane Kabhii Aayaa Bhii Nahin
Kaisaa Baadal Hai Jiskaa Koi Saayaa Bhii Nahin

Berukhi Is Se Barii Aur Bhalaa Kyaa Hogi
Ek Muddat Se Hamein Us Ne Sataayaa Bhii Nahin

Roz Aataa Hai Dar-E-Dil Pe Vo Dastak Dene
Aaj Tak Hamne Jise Paas Bulaayaa Bhi Nahin

Sun Liyaa Kaise Khudaa Jaane Zamaane Bhar Ne
Vo Fasaanaa Jo Kabhi Hamne Sunaayaa Bhi Nahin

Tum To Shaayar Ho Aur Vo Ik Aam Saa Shakhs
Us Ne Chaahaa Bhi Tujhe Aur Jataayaa Bhi............................
Logged
Talat
Guest
«Reply #306 on: December 27, 2004, 03:22:40 PM »
Reply with quote
Thanks!!! Arunji!! n waheed!!!

And Too good Arunji!!!! n Waheed.....
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #307 on: December 27, 2004, 06:55:34 PM »
Reply with quote
Talat ji, Waheed Bhai, Lovebites ji, Dolly ji!!!
Aap sabhi ka bahut bahut Shukriya!!!!! :lol:  :lol:  Usual Smile
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #308 on: December 27, 2004, 06:58:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"
Quote from: "sharmaarunkumar"
Quote from: "Talat"
Tum jise rota hua chorh gaye the ek din
Humne us shaam ko seene se laga rakha hai
Chain lene nahin deta ye kisi taur mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai!!!!


(NM)


Waaah! Ji Waaah! Kya baat hai!! Bahut Khoob!!!! Talat ji!!!

Humne Apne ashkon pe ek Baandh bana rakha hai!
Gham ke Samandar ko Is Dil Mein Chhupa Rakha hai!

Teri Ruswai ho Zamane mein, Humein yeh bhi Manzoor Nahin,
Kaleje pe Patthar rakh ke,yaadon ke chiragon ko Bujha rakha hai!

Kambakht is Dil ke Armaan to Bahut machalte hain Lekin,
Tanhaai ki Chaadar mein Sab Hasraton ko sula rakha hai!

Hawayein Bahut tez hain Ishq ki,Toofaan bhi Utha Sakti hain,
Humne Mohabbat pe Bharosa kar ke Zazbaat ko Daba Rakha hai!

Tujhe Mohabbat se nawaazein Yeh Aakhiri Tammanna hai Apni,
Warna be-Raham is Duniya mein, ab Bhala Kya rakha hai!


wah!!!  wah!!!!! wah!!!1  talat....arun  bhai.......excellent ....very touching words...........

Pyaas Vo Dil Ki Bujhaane Kabhii Aayaa Bhii Nahin
Kaisaa Baadal Hai Jiskaa Koi Saayaa Bhii Nahin

Berukhi Is Se Barii Aur Bhalaa Kyaa Hogi
Ek Muddat Se Hamein Us Ne Sataayaa Bhii Nahin

Roz Aataa Hai Dar-E-Dil Pe Vo Dastak Dene
Aaj Tak Hamne Jise Paas Bulaayaa Bhi Nahin

Sun Liyaa Kaise Khudaa Jaane Zamaane Bhar Ne
Vo Fasaanaa Jo Kabhi Hamne Sunaayaa Bhi Nahin

Tum To Shaayar Ho Aur Vo Ik Aam Saa Shakhs
Us Ne Chaahaa Bhi Tujhe Aur Jataayaa Bhi............................



Waah Waheed Bhai Bahut Khoob!!!
If I M Not wrong Its a very touching poem of Dr. Bashir Badr saheb!!!
Excellent!!! Waheed Bhai!!! Usual Smile  Usual Smile
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #309 on: December 27, 2004, 07:08:18 PM »
Reply with quote
Quote from: "dolly"
kya baat haiji !!!!!!!!chaa gaye aaj to aap...

har dil ko sunaate hain farmaan mohabbat ka ...
pyaasa hai bada pyaasa insaan mohabbat ka....(NM)


Waah kya baat hai ji Dolly Ji!!! Very Nice!!! Usual Smile

Mohabbat se yeh Duniya hai,
Yahan Mohabbat ke Pyaase Log!
Duniya wale kyon kahte isko
Hai Sab se bada yeh Rog!
Logged
Namkeen
Guest
«Reply #310 on: December 27, 2004, 07:21:36 PM »
Reply with quote
Kudrat ke karishmo mein agar raat na hoti.......
Khwabon mein bhi unse mulakaat na hoti.......
Yeh Mohabbat har gamo ki wajah hai.......
Kaash mohabbat hi na hoti......
to rog lagne ki baat hi na hoti.......
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #311 on: December 27, 2004, 07:28:36 PM »
Reply with quote
Waaah Namkeen ji!! Bahut Khoob Likha hai aapne ji!!!Very Nice!!! Usual Smile
Logged
dolly
Guest
«Reply #312 on: December 27, 2004, 07:46:39 PM »
Reply with quote
thanx arunji!!!! ur's also very nice.
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #313 on: December 27, 2004, 07:48:51 PM »
Reply with quote
Tareef ka Shukriya ji!!! :oops:  :lol:
Logged
dolly
Guest
«Reply #314 on: December 27, 2004, 07:54:05 PM »
Reply with quote
Namkeenji!!nice but...

gar yeh mohabbat na hoti ,to yeh duniya hi na hoti...

yeh mohabbat hi to hai,jo do dilon ko milati hai,
yeh mohabbat hi to hai,jo do sarhadon ke faaslon ko mitati hai,
yeh mohabbat hi to hai jo ekdusre ke liye jeena sikhati hai...
Logged
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21] 22 23 24 25
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:38:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer