Hasrat

by Talat on September 30, 2004, 05:33:57 AM
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24 25
ReplyPrint
Author  (Read 20607 times)
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #315 on: December 27, 2004, 08:05:29 PM »
Reply with quote
Waaah! Maan gaye ji aapko Kya Khoobsoorat Baat kahi hai ji aapne!!! Usual Smile
Very Nice Dolly ji!!!! Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ibadatt ki hasrat si hai by poem143s in Shayri-E-Dard
Thukrana nahin meri hasrat ko by KaMaL in Shayri for Khumar -e- Ishq
Itni si Hasrat by jass_eins in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hasrat Reh Gayi unhe Gale Laga Ne Ki by V a r s h a in Shayri for Dard -e- Judai
HASRAT by jay091081 in Gujarati
dolly
Guest
«Reply #316 on: December 27, 2004, 08:16:50 PM »
Reply with quote
shukriyaji arunji!!
aapka(zafar's quotes) aur waheedji (iqraar aur inkaar)ka jawab dene mein thoda samay lag jaayegaji,deri ke liye maafi maangte hain.....
Logged
Namkeen
Guest
«Reply #317 on: December 28, 2004, 01:24:10 AM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
Waah ji Wah! Namkeen ji!!! Bahut khoob!!! Usual Smile


Hai yeh Bekhudi ki tere pass baith kar,
Tera hi Intezaar kiya hai kabhi kabhi
Kuch to Asar hai meri beqarari mein,
Isne tujhko bhi Beqarar kiya hai kabhi kabhi
.




yaadon ke saath jeene ki koshish hai uski........
jeene ki chah mein woh, marta hai kabhi kabhi.........

kisi ke aarzoo mein, sapno ko sajaya hai usne.......
sapno ke sahare woh, rota hai kabhi kabhi.........

nafrat ke chaadar tale pyar ki khoj hai uski........
pyar uski zindagi mein, aata hai kabhi kabhi..........

koi samajhta nahin hai ye dard-e-dil uska..........
dard uske dil se dur, jaata hai kabhi kabhi..........
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #318 on: December 28, 2004, 04:42:59 AM »
Reply with quote
Waaah!Namkeen ji!!!Very Nice!!!
Logged
dolly
Guest
«Reply #319 on: December 28, 2004, 06:47:28 AM »
Reply with quote
WAHEEDji...
Kitni aasani se keh gaye humaare andaaz ko iqraar aur inqar,padiye is dil ki daastan...

Kyon de gaye naam humari ada ko iqraar aur inqar,
yehi to hain humaare sabse bade gunaahgaar,
mante hain bahut bada hai,yeh pyaar ka darbaar,
par humne to jab bhi kiya iqraar,
jawaab aaya sirf inqaar,
tabhi se chin gayaa hai dil-e-dilbar ka karaar,
ab to khauf ban gaye hain yeh lafz iqraar aur inqaar,
aage kuch na keh paayenge mere sarkaar,
khwahish hai itni,rakhiyega dosti is dilse barqaraar....
Logged
dolly
Guest
«Reply #320 on: December 28, 2004, 06:53:03 AM »
Reply with quote
Bahu khoob NAMKEENji!!!!!!
vud like to read more from u.....carry on...
Logged
Talat
Guest
«Reply #321 on: December 28, 2004, 09:54:12 AM »
Reply with quote
Very Nice!!! Doston!!!  :D
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #322 on: December 28, 2004, 10:10:18 AM »
Reply with quote
Quote from: "dolly"
WAHEEDji...
Kitni aasani se keh gaye humaare andaaz ko iqraar aur inqar,padiye is dil ki daastan...

Kyon de gaye naam humari ada ko iqraar aur inqar,
yehi to hain humaare sabse bade gunaahgaar,
mante hain bahut bada hai,yeh pyaar ka darbaar,
par humne to jab bhi kiya iqraar,
jawaab aaya sirf inqaar,
tabhi se chin gayaa hai dil-e-dilbar ka karaar,
ab to khauf ban gaye hain yeh lafz iqraar aur inqaar,
aage kuch na keh paayenge mere sarkaar,
khwahish hai itni,rakhiyega dosti is dilse barqaraar....


wow........nice work all..........................bohot khoob dolly..........

Poochtay ho kio us say pyar kerty jaaty hoo
ye sawaal tu khud say baar baar kerty jaaty hoo
wo tu na rakh saka kabhi bhi wafao ka bharam
phir kio us ki baato pay eitbaar kerty jaaty hoo
janty ho na pehna sakay ga ridaye mohabbat
phir bhi cha mai us ki daman taar taar kiye jaaty hoo
jab chaak apnay dil kay younhi seenay jaana tha tu
kio diye uskay zakhmoo ko shumaar kiyee jaaty hoo
shayed kabhi na lout kai aasakay wo mery taraf
kio aise musafir ka intezaar kerty jaaty ho
janaay kiaa us sahir nay kerdiaa hai mujh per jaado
shaam 0 sehar mai khud ko beqaraaar kerty jaaty hooo
bina us kai lagta nahi hai kahin dil
log kehtay haimai khud ko bekaar kerty jaaty hoo..............  (nm)
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #323 on: December 28, 2004, 03:23:33 PM »
Reply with quote
Waaah Dolly ji!!!!!Very Nice!!!!!
Logged
dolly
Guest
«Reply #324 on: December 28, 2004, 06:48:12 PM »
Reply with quote
Thanx arunji!!!!!Aayein hain to ab kuch achaa sa farmaaiyeji...hum intezaar kar rahein hain...
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #325 on: December 28, 2004, 07:18:40 PM »
Reply with quote
Ban Jaaun na Begaana-e-Aadaab-e-Mohabbat,
Itna Na Kareeb aao, Munaasib hi Yahi hai!


(NM)

{Begaana-e-Aadaab-e-Mohabbat : Pyaar ke shistachaar se anjaan}
Logged
prempagla
Guest
«Reply #326 on: December 28, 2004, 07:26:09 PM »
Reply with quote
wah
Logged
dolly
Guest
«Reply #327 on: December 28, 2004, 07:30:47 PM »
Reply with quote
very nice!!!!Arunji!!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #328 on: December 28, 2004, 07:42:00 PM »
Reply with quote
Din Dahakti Dhoop Ne Mujhko Jalaya Der Tak!
Raat Tanhai Mein Kaala Abr barsa Der Tak!

Kaun Thahre aane waale Mausamon ke saamne,
Kaun Khali Rakh Sake Taak-e-Tamaashaa der tak!

Tum Yeh Kahte Ho Ke Tum Kal raat mere Saath the,
Main yeh Kahta hoon ki Maine Tumko Dhoondha der Tak!

Paas Rakh Kar Ujle-Ujle, Doodh se Yaadon ke Jism,
Der se baitha hoon main, Baitha rahoonga der tak!


(NM)
Logged
khirbar
Guest
«Reply #329 on: December 29, 2004, 08:36:05 AM »
Reply with quote
hi friends  Usual Smile

Zaberdasst sharma jee!! wahh!!


"Hum bhi kiya loag hain khushbu ki rawaiyat say allag
Khud pay zahir na huay tujh ko chupanay kay liyah"


bye take care
Logged
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24 25
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 07:18:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer