Hathon Mein Hath Le Kar Tera Sath Nibhaana Hai...

by Aryaan on June 14, 2005, 01:51:30 AM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 49709 times)
Aryaan
Guest
Reply with quote
Hathon mein hath le kar tera sath nibhaana hai
Tujhko apni mohabbat ka jazbah dikhaana hai

Teri baahon mein aakar, sukoon mil jaaye mujhe
Teri zulfon ko, apne kaandhon pe bichaana hai

Tu azeez hai mujhe itni, main keh nahi sakta
Tera deewaana hoon main, bas itna bataana hai

Haseen nazaaron mein, ab mera mann lagta nahi
Tere chehre ko, nigaahon ke saamne laana hai

Main kahin baith jaaun tanha, duniya ki fikr mein
Tujhe apne paas bitha kar, sabko bhulaana hai

Jab dekhe tu mujhko, tau chehra khil jaye mera
Har takleef ko, apne dil se mujhe, mitaana hai

Main dua'a mein maangta hoon, khuda se tujhko
Apna sab kuch kho kar, bas tujhe hi paana hai

Khwaabinda ho kar, aksar yeh sochta hai Aryaan
Kya tujhe bhi kuch iss tarha, mujhe sunaana hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #1 on: June 14, 2005, 08:22:51 AM »
Reply with quote
kya baat hai Aryaan ji ..........very nice
really too good............as always ...........

hume mahobat uske pyar ke andaaz se hai
zindagi meri rangin uski baaton ke saaj se hai

hum kho jate hai usse dekh ke aksar
uski aankhon main jaadu ke chirag se hai

bhul se jati hun main uski aawaj sunke
kuch aise ashiqana uske mijaj se hai

meri har ek khusi ki vajah hai vo
zindagi meri roshanuske saath gujri shaam se hai

bhulne ko bhul jaun usko main abh
par meri tuh dhadkane bhi chalti uske naam se hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: June 14, 2005, 08:46:38 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Hathon mein hath le kar tera sath nibhaana hai
Tujhko apni mohabbat ka jazbah dikhaana hai

Teri baahon mein aakar, sukoon mil jaaye mujhe
Teri zulfon ko, apne kaandhon pe bichaana hai

Tu azeez hai mujhe itni, main keh nahi sakta
Tera deewaana hoon main, bas itna bataana hai

Haseen nazaaron mein, ab mera mann lagta nahi
Tere chehre ko, nigaahon ke saamne laana hai

Main kahin baith jaaun tanha, duniya ki fikr mein
Tujhe apne paas bitha kar, sabko bhulaana hai

Jab dekhe tu mujhko, tau chehra khil jaye mera
Har takleef ko, apne dil se mujhe, mitaana hai

Main dua'a mein maangta hoon, khuda se tujhko
Apna sab kuch kho kar, bas tujhe hi paana hai

Khwaabinda ho kar, aksar yeh sochta hai Aryaan
Kya tujhe bhi kuch iss tarha, mujhe sunaana hai


wow aryaan,so loving and romantic,very nice Usual Smile

bohat khoob sandhaya:-

"bhulne ko bhul jaun usko main abh
par meri tuh dhadkane bhi chalti uske naam se hai"

these two lines r mindblowing.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #3 on: June 14, 2005, 09:20:55 AM »
Reply with quote
sukhriya Nidhi ji .........for urs wishes .....thanks alot

teri duaon main maine dekha hai vo asar
tu jo chahe tuh sabke gumo ko khusian kar de
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: June 14, 2005, 11:47:35 AM »
Reply with quote
Bohat shukriya Sandhaya & Nidhi......

Sandhaya Aap ne bhi kya khubsoorti se jawaab diya hai...Bohat khoob...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #5 on: June 14, 2005, 12:11:16 PM »
Reply with quote
Wah Aaryan aur Sandhaya ji................dono logon ne hi bahut accha likha hai.........

Aaj phir se dekho hum liye kalam dawat likhte hai,
Apne dil mein chupe hue wo sabhi jajjbat likhte hai,
Likhte hai ki kaise takte hai hum tasveer ko unki,
Unki surat ki madhoshi mein din ko rat likhte hai,
Kaise mehka kiye unki khusbu aaj hum fiza mein,
Unke aankhon ko hum taaron ki barat likhte hai,
Wo masumiyat, wo haya unki wo sharma unka,
Unki muhabbat hum toh khuda ki saugat likhte hai,
Aaj phir se dekho hum liye kalam dawat likhte hai,
Apne dil mein chupe hue wo sabhi jajjbat likhte hai,
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #6 on: June 14, 2005, 12:52:17 PM »
Reply with quote
Thanx a lot thycreator..... janab aap ne bhi kamaal ka likha hai...
Logged
jalpari
Guest
«Reply #7 on: June 15, 2005, 10:48:57 AM »
Reply with quote
Beautiful Aryaan.......... Bahut ache ................
Logged
thycreator
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2005, 01:33:49 PM »
Reply with quote
Thanx a lot Aaryan ji..............

Unke aankhon mein humko toh do jahan dikhta hai,
Khule julfen gar toh badalon ka aasman dikhta hai,
Kaise aaye ab hosh mein hum koi toh samjhaye,
Unke labon mein hame maykhana tamam dikhta hai.
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #9 on: June 15, 2005, 01:56:31 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob...

Aryaan , sandhaya and thycreator ..

Well said all..

Ques....
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: June 15, 2005, 02:02:38 PM »
Reply with quote
Thanx a lot qutub sahab...........apne kuch kaha nahi.......aisa kaise............atleast a few lines!!
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #11 on: June 15, 2005, 02:11:18 PM »
Reply with quote
Araz Karta Ho..

Hathon Mein Hath Le Kar Tera Sath Nibhaana Hai...
Tayree Mohabaat Ko Dil May Basayaa Hai...

Tujhay Cahatay Hai Bahoot, Iskaa aytaybaar Kaysay Karaay Hum..
Tayray Aakhoo May Jo BayAytaybaaree keejo Baathay Hai..

Hathon Mein Hath Le Kar Tera Sath Nibhaana Hai...
Tayree Mohabaat Ko Dil May Basayaa Hai...

Ques...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: June 15, 2005, 06:32:16 PM »
Reply with quote
Bohat shukriya Qutubuddin auer kya khoob reply kiya hai janab....
Logged
sanya310
Guest
«Reply #13 on: June 15, 2005, 06:59:27 PM »
Reply with quote
really, really good work aryaan...bohot hi achhe...keet it up n keep writing...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #14 on: June 16, 2005, 01:12:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "sanya310"
really, really good work aryaan...bohot hi achhe...keet it up n keep writing...

Pasand karne ka bohat shukriya Sanya....
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:32:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer