*~Her Lamha~*

by Sonia01 on December 28, 2008, 01:52:47 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 892 times)
Sonia01
Guest
Reply with quote
Har lamha,har pal teri aahat mehsoos hoti hai
Jaane kiyun mujhko tujhse qurbat mehsoos hoti hai

Sukoon sa rehta hai jo tu qareeb hoti hai
Jaane ke baad tere ek wehshat mehsoos hoti hai

Nahi jaante ke tere bin ji payen ge ke nahi
Bass saans ki tarah teri zaroorat mehsoos hoti hai

Her aah mein tera naam,har khwahish mein bass tu hai
Tujhko paane ki ek hasrat mehsoos hoti hai 

Yeh dunya ki muhabbat bohat bechain rakhti hai mujhay
Par dil ki bechaini mein raahat mehsoos hoti hai

Is chalti hawa mein saansein dono ki shamil hain
Tujhse wabastagi mujhko har waqt mehsoos hoti hai

Be wuq'at hain woh pal jo tere baad guzarte hain
Tu hoti hai to waqt ki qeemat mehsoos hoti hai

Najaane kia hai ke meri baand nigaahon ko
teri baand nigaahon se muhabbat mehsoos hoti hai

Na toray koi meri soch ke is haseen khuwab ko
Issi ehsaas mein yeh duniya jannat mehsoos hoti hai love9
(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Har Ek Lamha by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
EK LAMHA!!!!!!!!!!!!!!!!!! by Arifa in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
Lamha-Lamha Sal Gujarte Jate Hai by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
lamha lamha yaad hai... by pushp24 in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
lamha lamha yeh dard.... by Manav Mehra in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 28, 2008, 03:38:36 PM »
Reply with quote
Nice sharing Soni bahna
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: December 28, 2008, 04:14:28 PM »
Reply with quote
Har lamha,har pal teri aahat mehsoos hoti hai
Jaane kiyun mujhko tujhse qurbat mehsoos hoti hai

Sukoon sa rehta hai jo tu qareeb hoti hai
Jaane ke baad tere ek wehshat mehsoos hoti hai

Nahi jaante ke tere bin ji payen ge ke nahi
Bass saans ki tarah teri zaroorat mehsoos hoti hai

Her aah mein tera naam,har khwahish mein bass tu hai
Tujhko paane ki ek hasrat mehsoos hoti hai 

Yeh dunya ki muhabbat bohat bechain rakhti hai mujhay
Par dil ki bechaini mein raahat mehsoos hoti hai

Is chalti hawa mein saansein dono ki shamil hain
Tujhse wabastagi mujhko har waqt mehsoos hoti hai

Be wuq'at hain woh pal jo tere baad guzarte hain
Tu hoti hai to waqt ki qeemat mehsoos hoti hai

Najaane kia hai ke meri baand nigaahon ko
teri baand nigaahon se muhabbat mehsoos hoti hai

Na toray koi meri soch ke is haseen khuwab ko
Issi ehsaas mein yeh duniya jannat mehsoos hoti hai love9

Oye Hoye.. Kya Baat Hai Sonia Sis.. Kis Haseen Khwaab Ki baat Ho rahi Hai.?? Winking Winking
Behad Pyaare Jazzbaat Hain.. Aur usse Kahin Zyada Khubsoorat Tareeke se Lafzon Ko Piroya Hai Tumne.. Bahut Bahut Khooooooooob.. Applause Applause

**~** Mann **~**
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: December 28, 2008, 04:51:41 PM »
Reply with quote
kya baat hai, very good --soniaji...

mere dil ki darkan ban chuka hain tu,
tere bin meri saans,nahin chalegi samaj le tu.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: December 28, 2008, 04:53:30 PM »
Reply with quote
 Applause

Very nice sharing Sonia...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: December 31, 2008, 04:44:00 PM »
Reply with quote
kaya baat hai sonia, bahoot khoob.. bahoot achi kavita apne hum sab ke sath share ki hai
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #6 on: January 05, 2009, 03:51:06 PM »
Reply with quote
bahut bahut thanks sabko...  Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:13:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.086 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer