nazm acchi hai lekin kuch chizen akharti hai abhi ji
saini sir ne jo kaha main usse agree karti hun... kahin kahin rhyme miss ho rahi hai... improve it i knw u can
design as usual u r awesome in this field
Abhi ji muaaf karnaa par kahne kee zurrat kar rahaa hoo ki pahlee do lines hee vazn men naheen ,ho gayee kahataa bhool bisraaoo.meree samajh naheen aayaa agar yoon kahe ki "HO BAYEE KHATAA BHOOLO BISRAAO" tab mujhe uchit jaan padtaa hai is line kaa bhaaw .ye ek nazm hain to qaafiye to ismen bhee hote hain to hamnwaa ke saath jahaan,sadaa ke saath vajah jaise qaafiye naheen aate filhaal ye ek do baaten hee mujhe nazar padee.baqee aapkee bebaaqqee ko slaam aapkee is nazm me jo jazbaat chhupe hain yaqeenqn laajwaab bas thodaa grammar theek ho jaaye to ek beshqeemteee nazm hai aapkee
SABSE PEHLE TO AAP DONO KA SHUKRIYA...
mai jo chah rah tha aap dono ne hi reply kiyaaa...
Anu diii or
Mananiya Saini ji, maaf kijiyega bade aadar poorvak aapko yahan batana chahuga bhool bisraao ... me bisraao (maaf karna) ka actual arth hi hai maaf karna.....
nazm me kaifiya ka dhyan rakhna chahiye me sehmat hun ...par nazm ka har ashar gane ke liye hota he ...agar nazm gayi nahi ja sakti to wo nazm nahi....
or wahi nazm ki khasiyat he is binaah par kaifiye ka na hona mayne nahi rakhta ...shayad...radeef jahan tak me dekh pa raha hu theek hain....or matla bhi bahr me hai aaap se guzarish hai ek bar fir gaur farmayee...bisraao ke sahi arth ke sath j maine upar likha hai...
aisi kayi ghazale bhi hain jo is tarah likhi gayi he maslan mujhe gazal yad to nahi ...
AAApki hidayat yaad rakhugaa ....matle me wazan ki kami maanta hun ....us par zarooor kam karugaaa...or agli bar aapko ek behetreen ghazal dene ka waada bhi karta hun...
mere ek dost ne apni awaaz meri nazm ko dii he ....kabhi mauka mila to zaroor sunauga ....