Ho to le aao.......(Ghayel)

by sajid_ghayel on March 08, 2009, 06:59:17 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1465 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Samun_daro tumhare seene me jitne moti hain le aao
Dil me mere jo rehte hain, koi unsa ho to le aao

Barisho bada naaz hain tumko apni bundo par
Jo unke bheege balo se tapakti hain, aisi koi boond ho to le aao

Fiza ho pahado ki ya bahar-e-chaman se guzri hawa
Mere mehboob ko jo chu kar guzre, aisi koi madmast hawa ho to le aao

Sangeet ho khayyam ka, ya meer ki koi ghazal
Woh paylo ki chan chan, woh unka keh_kahana ho to le aao

Badli se nikla chand bohat haseen hain mana
Par unka khote pe aana aur muskurana, kahi ho to le aao

Woh jannat ki batein woh sheikh ka bayaan huro ka  
Jo thehre nazar sarakte pallu pe, woh nazara kahi ho to le aao

Sara shehar kare matam har aakh me ho aasoo
Aur woh unki bheegi aakho jaisa, dard kahi ho to le aao

Na main Majnu na main Ranjha na main Farhad
Par mile kahi koi GHAYEL jaisa, woh aashiq ho to le aao

-Sajid Ghayel-

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hone de Ghayel muje.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel samajhta hain......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 7 8 »
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel na yaha hota........(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: March 08, 2009, 07:32:42 AM »
Reply with quote
hi sajid,
wonderful shayaris,aap ke har ek adha ko mai salaam karti hoon,beautiful,
kitna sach hai aap ke ek ek word mein,keep it up
jab aap ke yoindia dosto aap ke tareef karta hai kitna acha lagta hai.
god bless you.
madhuwesh,
Logged
Deepati
Guest
«Reply #2 on: March 08, 2009, 09:02:37 AM »
Reply with quote
Wah Wah, Sajid Ji, Bahut hi khoob  Applause Applause
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #3 on: March 08, 2009, 09:13:18 AM »
Reply with quote
Very Nice Ghayal Sahab Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: March 08, 2009, 11:13:14 AM »
Reply with quote
Applause Applause Beautiful shayari Ghayel saheb as usual...kya khoob likhte ho aap.. Applause Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: March 08, 2009, 02:07:00 PM »
Reply with quote
Samun_daro tumhare seene me jitne moti hain le aao
Dil me mere jo rehte hain, koi unsa ho to le aao

Barisho bada naaz hain tumko apni bundo par
Jo unke bheege balo se tapakti hain, aisi koi boond ho to le aao

Fiza ho pahado ki ya bahar-e-chaman se guzri hawa
Mere mehboob ko jo chu kar guzre, aisi koi madmast hawa ho to le aao

Sangeet ho khayyam ka, ya meer ki koi ghazal
Woh paylo ki chan chan, woh unka keh_kahana ho to le aao

Badli se nikla chand bohat haseen hain mana
Par unka khote pe aana aur muskurana, kahi ho to le aao

Woh jannat ki batein woh sheikh ka bayaan huro ka   
Jo thehre nazar sarakte pallu pe, woh nazara kahi ho to le aao

Sara shehar kare matam har aakh me ho aasoo
Aur woh unki bheegi aakho jaisa, dard kahi ho to le aao

Na main Majnu na main Ranjha na main Farhad
Par mile kahi koi GHAYEL jaisa, woh aashiq ho to le aao

-Sajid Ghayel-


Raaston ke Kinaaron Se Lagi Hoti Hai Manzilein Bahut,
Manzil Jo De Uski Baahon Sa Sukoon Ho To Le Aao,

Karta Hai Har Koi Mohabbat Ka Izhaar Mehboob Se,
Uski Aankhon Ki Khamosh Mohabbat Sa Manzar Ho To Le Aao,

Zindagi Ke Haathon Ban Gayi Hoon Khud Ek Sawal Main,
Uske Alhad Se Sawalon Ka Ho Koi Jawaab To Le Aao...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: March 08, 2009, 03:12:16 PM »
Reply with quote
Bohat Achche Sajid Bhai, And Nice One Huzaina Sis.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: March 09, 2009, 02:16:23 PM »
Reply with quote
hi sajid,
wonderful shayaris,aap ke har ek adha ko mai salaam karti hoon,beautiful,
kitna sach hai aap ke ek ek word mein,keep it up
jab aap ke yoindia dosto aap ke tareef karta hai kitna acha lagta hai.
god bless you.
madhuwesh,

Thank You Sweet Heart for appreciating my work, I am so happy to have a fan far away from FIJI.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: March 09, 2009, 02:19:35 PM »
Reply with quote
Wah Wah, Sajid Ji, Bahut hi khoob  Applause Applause

Thank You Deepati...
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: March 09, 2009, 03:45:39 PM »
Reply with quote
Samun_daro tumhare seene me jitne moti hain le aao
Dil me mere jo rehte hain, koi unsa ho to le aao

Barisho bada naaz hain tumko apni bundo par
Jo unke bheege balo se tapakti hain, aisi koi boond ho to le aao

Fiza ho pahado ki ya bahar-e-chaman se guzri hawa
Mere mehboob ko jo chu kar guzre, aisi koi madmast hawa ho to le aao

Sangeet ho khayyam ka, ya meer ki koi ghazal
Woh paylo ki chan chan, woh unka keh_kahana ho to le aao

Badli se nikla chand bohat haseen hain mana
Par unka khote pe aana aur muskurana, kahi ho to le aao

Woh jannat ki batein woh sheikh ka bayaan huro ka   
Jo thehre nazar sarakte pallu pe, woh nazara kahi ho to le aao

Sara shehar kare matam har aakh me ho aasoo
Aur woh unki bheegi aakho jaisa, dard kahi ho to le aao

Na main Majnu na main Ranjha na main Farhad
Par mile kahi koi GHAYEL jaisa, woh aashiq ho to le aao

-Sajid Ghayel-


Beautiful Shayari...bohot khoob Sajid Ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: March 09, 2009, 03:46:53 PM »
Reply with quote
Raaston ke Kinaaron Se Lagi Hoti Hai Manzilein Bahut,
Manzil Jo De Uski Baahon Sa Sukoon Ho To Le Aao,

Karta Hai Har Koi Mohabbat Ka Izhaar Mehboob Se,
Uski Aankhon Ki Khamosh Mohabbat Sa Manzar Ho To Le Aao,

Zindagi Ke Haathon Ban Gayi Hoon Khud Ek Sawal Main,
Uske Alhad Se Sawalon Ka Ho Koi Jawaab To Le Aao...


Applause   Applause
Sajid_Ghayel Ji bahut khoob likha hai aapne,

Honge khoobsurat aur bhi jahaan me lekin,
Dekh ke apne haseen yaar ko dil kehta hai khuda khair kare,

Baat-e-andaaj hame bhi maloom hai duniya walo,
Par baat-e-bayaan aankhon se mere yaar ke jaisa koi aur na kare,

De de to dete honge jaan log mangne par,
Bina ghayel kiye jaan le le aisa waar sirf mera yaar kare.

Shally.




Beautiful reply, Angel and Shally
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #11 on: March 09, 2009, 04:17:37 PM »
Reply with quote
Samun_daro tumhare seene me jitne moti hain le aao
Dil me mere jo rehte hain, koi unsa ho to le aao

Barisho bada naaz hain tumko apni bundo par
Jo unke bheege balo se tapakti hain, aisi koi boond ho to le aao

Fiza ho pahado ki ya bahar-e-chaman se guzri hawa
Mere mehboob ko jo chu kar guzre, aisi koi madmast hawa ho to le aao

Sangeet ho khayyam ka, ya meer ki koi ghazal
Woh paylo ki chan chan, woh unka keh_kahana ho to le aao

Badli se nikla chand bohat haseen hain mana
Par unka khote pe aana aur muskurana, kahi ho to le aao

Woh jannat ki batein woh sheikh ka bayaan huro ka   
Jo thehre nazar sarakte pallu pe, woh nazara kahi ho to le aao

Sara shehar kare matam har aakh me ho aasoo
Aur woh unki bheegi aakho jaisa, dard kahi ho to le aao

Na main Majnu na main Ranjha na main Farhad
Par mile kahi koi GHAYEL jaisa, woh aashiq ho to le aao

-Sajid Ghayel-



wah ghayel, kya khoob likha hai aap neh, wah, kamaaal ka likha hai, wah


jasbir singh
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #12 on: March 10, 2009, 04:17:54 AM »
Reply with quote
Very Nice Ghayal Sahab Applause Applause Applause

Thank You Shivam...

Applause Applause Beautiful shayari Ghayel saheb as usual...kya khoob likhte ho aap.. Applause Applause

Nawazish Karam DH....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #13 on: March 10, 2009, 06:29:54 AM »
Reply with quote
Wah Wah kya baat hai Sajid jI. bahoot hi Khubsurat Likha hai aapne. bahoot umda..

Very Nice Angel & Shally..
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: March 10, 2009, 07:35:30 AM »
Reply with quote
Raaston ke Kinaaron Se Lagi Hoti Hai Manzilein Bahut,
Manzil Jo De Uski Baahon Sa Sukoon Ho To Le Aao,

Karta Hai Har Koi Mohabbat Ka Izhaar Mehboob Se,
Uski Aankhon Ki Khamosh Mohabbat Sa Manzar Ho To Le Aao,

Zindagi Ke Haathon Ban Gayi Hoon Khud Ek Sawal Main,
Uske Alhad Se Sawalon Ka Ho Koi Jawaab To Le Aao...


Bohat bohat khoobsurat Angel  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:08:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer