Hosh mujhe aata nahi

by karan q on April 30, 2005, 07:28:20 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1462 times)
karan q
Guest
Reply with quote
Hosh mujhe aata nahi

Ek lamhe ko bhee ye dil tujhe bhulata nahi
Kaisee neend me houn ke hosh mujhe aata nahi

Baad band aankhon ke jo mehboob ki ibadat karen
Aise soye huon ko khuda jagaata nahi  
Kaise neend me houn ke hosh mujhe aata nahi

Houn mai syaah to andheron me bhee andhera hai
Phir kyun koi chaand mujhe sajata nahi
Kaisee neend me houn ke hosh mujhe aata nahi

E qaatil tujhe rakeeb na kahoon,dagabaaz kahoon
Kyun tu mere khuda se mujhe milata nahi
Kaisee neend me houn ke hosh mujhe aata nahi

Raat raat jaag ker tu meri hasraton ko jawaani de
Mulaqaat mujhse ho to vaade nibhata nahi
Kaisee neend me houn ke hosh mujhe aata nahi

Safar dil ka thaa karan or mukaam usski ruuh
Kyun koi tarkeeb-e-ishq mujhe sikhata nahi
Kaisee neend me houn ke hosh mujhe aata nahi

Karan.q
Logged
captainyr
Guest
«Reply #1 on: May 01, 2005, 03:44:49 PM »
Reply with quote
Quote from: "karan q"

Karan sahab , very nice  :lol:
Logged
apnaa_koi
Guest
«Reply #2 on: May 01, 2005, 03:51:28 PM »
Reply with quote
Karan Q Ji...

Dill key baat dill tak lage
Apnaa_koi
Logged
karan q
Guest
«Reply #3 on: May 03, 2005, 10:35:54 AM »
Reply with quote
lafz jo dil se niklen.. DIl tak lagen
Jubaan Ek aashiq ki
Jubaan ek shayar ki
izzajat
karan.q
Logged
Tosha
Guest
«Reply #4 on: May 03, 2005, 03:30:39 PM »
Reply with quote
izzajat hai
haal e dil bayan kejeye
daar e dil kahe daleye
ishq ke un razo ko bhi
dil se bata dejeye
tarif kya karun aap ke
aap ke un dil ko churaya hai
chand lafzo se hi
humme ghayal kar dala hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #5 on: May 03, 2005, 03:44:41 PM »
Reply with quote
wah karan....excellent..!!!!!!!

"Hosh mujhe rehta nahi,
 madhosh mujhe hona nahi,
 koi to mujhe ye bataye,
 main kya chahti hoon,kya nahi."  Winking
Logged
Tosha
Guest
«Reply #6 on: May 03, 2005, 03:55:00 PM »
Reply with quote
tera haal e dil samajhti hun main
tere dil ke dastan nahi ek ajooba
idhar bhi kuch aisa hi haal hai
ishq main shayad aaisa he hota hai
Logged
pandit
Guest
«Reply #7 on: May 03, 2005, 04:17:55 PM »
Reply with quote
Quote from: "karan q"
lafz jo dil se niklen.. DIl tak lagen
Jubaan Ek aashiq ki
Jubaan ek shayar ki
izzajat
karan.q

wah karan ji..................
kya baat hai ji bahut hi accha likha hai.................................... Puzzled !
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #8 on: May 03, 2005, 04:18:37 PM »
Reply with quote
lolzzzzzzzz....very  nice karan....nidhi......tosha.....
tongue3
Logged
pandit
Guest
«Reply #9 on: May 03, 2005, 04:22:05 PM »
Reply with quote
nice all....................................
ishq cheez hi aisee hai jiski koi zubaa nahi hoti,
gar aisa nahi hota to jaanwaro ko bhi jubaa mili hoti.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: May 03, 2005, 04:40:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "pandit"
nice all....................................
ishq cheez hi aisee hai jiski koi zubaa nahi hoti,
gar aisa nahi hota to jaanwaro ko bhi jubaa mili hoti.

well  said  pandit.....................bahot  khoob...............
Logged
pandit
Guest
«Reply #11 on: May 03, 2005, 04:50:52 PM »
Reply with quote
thanx waheed ji............................................... .......
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 03:01:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer