Hum Aapko Behad Chahte Hain,. {AS}

by Khwaab Tumhaare on December 11, 2010, 03:53:04 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1706 times)
Khwaab Tumhaare
Guest
Reply with quote
Kaisi Ye Majboori Hai,.
Saat Samandaron Ki Doori Hai,.

Kyun Judaa Karti Hai Duniya,.
Zindagi Jab Bin Uske Adhoori Hai,.

Wo Din Kitne Achche The,.
Saath Hoke Jab Hum Haste The.,

Pyaar Ki Kaliyaan Khilti Thi,.
Pyaar Ke Mausam Baste The,.

Ab Har Pal Mujhe Sazaa Sa Laage,.
Tum Bin Jeena Gunaah Sa Laage,.

Kitne Khwaab Adhoore Chorde,.
Kitne Bandhan Humne Torde,.

Haste Haste Lamhe Kaate,.
Khushi Aur Gham Saath Baate,.

Kis Ki Jaane Nazar Lag Gayi,.
Dorr Do Patangon Ki Kyun Kat Gayi,.

Raat Din Badi Mushkil Se Beete,.
Kaash Hum Wo Pal Jee Bhar Ke Jeete..

Har Tasweer Bikhar Gayi Hai,.
Zindagi Meri Ujard Gayi Hai,.

Kya Bataaoon Kya Haal Hai Mera,.
Ghera Hua Hai Mujhe Andhera,.

Bin Tumhaare Khushi, Khushi Na Laage,.
Bin Tumhaare Zindagi, Zindagi Na Laage,.

Har Din Soona, Raat Andheri,.
Tum Bin Chalti Nahi Saansein Meri,.

Mushkil Hua Hai Jeena Mera,.
Lauta Do Mujhko Mera Sawera,.

Aajaao Ke "Hum Aapko Behad Chahte Hain",.
Tumko Badi shiddat Se Jaana, Rabb se Hum Maangte Hain,.

{AS}
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Par ham aapko bhul na kaha chahte hai by redwhitegang in Shayri-E-Dard
CHAHTE HAIN.. by Farah Aziz in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hum chahte hain jinko by sarfaraz_sagar in Ghazals
<>*Ek Sham chahte hain*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
***Aapko Paana Chahte Hein*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq
dead heart
Guest
«Reply #1 on: December 11, 2010, 03:59:58 PM »
Reply with quote
Apke likhne ka andaaz, ",." yeh style har line ki end main dalna bilkul Azeem bhaijan jaisa hai..
bahaut bahaut khubsoorat likha hai..dil ki awaz sunayi di isme..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Khwaab Tumhaare
Guest
«Reply #2 on: December 11, 2010, 06:29:10 PM »
Reply with quote
Apke likhne ka andaaz, ",." yeh style har line ki end main dalna bilkul Azeem bhaijan jaisa hai..
bahaut bahaut khubsoorat likha hai..dil ki awaz sunayi di isme..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bas Duaa Karein Allah Hume Hamari Chahat Se Milaaye,

Shukriya.
Logged
Khwaab Tumhaare
Guest
«Reply #3 on: December 11, 2010, 06:44:24 PM »
Reply with quote
Aaj Bhi Uske Saath Guzaare Pal Dil Roshan Karte Hain,.
Kaun Kehta Hai "Doston, Ke Main Tanha Hoon,.



Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #4 on: December 11, 2010, 07:18:41 PM »
Reply with quote
aapki nuzm bahut achhi lagi
khwaab ji daad kabul kijiye
Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #5 on: December 11, 2010, 07:22:30 PM »
Reply with quote
Aaj Bhi Uske Saath Guzaare Pal Dil Roshan Karte Hain,.
Kaun Kehta Hai "Doston, Ke Main Tanha Hoon,.





bilkul sahi kaha aapne

yaadeiN kabhi saath nahin chodte
Logged
Khwaab Tumhaare
Guest
«Reply #6 on: December 11, 2010, 07:48:22 PM »
Reply with quote
bilkul sahi kaha aapne

yaadeiN kabhi saath nahin chodte


Usi Ki Yaadon Ne Zinda Rakha Mujhe,.
Log To Kehte Hain Judaai Maar Deti Hai,.

-AS-
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: December 11, 2010, 09:26:28 PM »
Reply with quote
Kya baat hai yaar..
Apke dono ashaar bahaut dil choone wale rahe..
Usi Ki Yaadon Ne Zinda Rakha Mujhe,.
Log To Kehte Hain Judaai Maar Deti Hai,.

-AS-
Aaj Bhi Uske Saath Guzaare Pal Dil Roshan Karte Hain,.
Kaun Kehta Hai "Doston, Ke Main Tanha Hoon,.




Logged
Khwaab Tumhaare
Guest
«Reply #8 on: December 11, 2010, 09:39:37 PM »
Reply with quote
Kya baat hai yaar..
Apke dono ashaar bahaut dil choone wale rahe..

Shukriya Janaab,.

Baat Jo Dil Se Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai,.
Is Dil Ki Duniya Ke Ajab Hi Andaaz Hain,.

-AS-
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: December 11, 2010, 09:42:09 PM »
Reply with quote
Shukriya Janaab,.

Baat Jo Dil Se Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai,.
Is Dil Ki Duniya Ke Ajab Hi Andaaz Hain,.

-AS-

Applause Applause

Main bhi hamesha dil se hi guftugu kiya karta hoon,
Hairan hoon uske dil tak mere lavz kaise nahin ponche..!
Logged
Khwaab Tumhaare
Guest
«Reply #10 on: December 11, 2010, 09:47:24 PM »
Reply with quote
Applause Applause

Main bhi hamesha dil se hi guftugu kiya karta hoon,
Hairan hoon uske dil tak mere lavz kaise nahin ponche..!

Dil Ki Gehraayiyon Mein Utarna Bhi Ek Hunar Hai "Rahim,.
Log To Dilon Mein Bass To Jaate Hain, Dharkon Ko Samajhte Nahi,.

{AS}
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: December 12, 2010, 11:12:20 AM »
Reply with quote
Very good indeed KT Ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:24:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer