Hum Mohabbat Kareinge

by CoolGirl on December 11, 2006, 12:19:51 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10
ReplyPrint
Author  (Read 7392 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #105 on: January 23, 2007, 08:01:40 AM »
Reply with quote
meri aankhein rakhlo mujhe kuch khwab dedo,
meri sansen leker zindgi ke kuch pal de do,
zindigi bhi kya hai tere bina e hum dum,
meri raaten rakhlo ek nayi subah de do,
pyar hai ye mera ya tapish hai teri chahat ki,
ki tum hi tum ho nazaro main fizao main,
har nazara leke humen kuch pyar ke pal de do.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mohabbat by mnajmi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
mohabbat by sabreena in Shayri-E-Dard
mohabbat by VIKRANT in Shayri for Dard -e- Judai
mohabbat by nishita in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 13 14 »
Mohabbat Ki Keemat Adaa Hum Kareinge,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
CoolGirl
Guest
«Reply #106 on: January 23, 2007, 08:02:35 AM »
Reply with quote
Sapnon main ik ghar banaya main ne
Hamare pyar se usay sajaya main ne
Ferash ho pyar ka khushboo ki deewarain
Ham jahan baith kar sukoon se din guzarain
Baithi rahoon aghosh main kaandhay pe rakh ke sar
Lamha lamha pyar ke pehloo main waqt guzarain
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #107 on: January 23, 2007, 08:03:18 AM »
Reply with quote
Yadon ke samandar main
khwabon ki kashti hai
Sapnon ki wadi main
meri jan basti hai
phoolon ke bistar main sanson ki chadar hai
Narmi ungliyon ki
Teri aankhon main masti hai
teri aghosh main meri jaan
meri har rat katti hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #108 on: January 23, 2007, 08:03:58 AM »
Reply with quote
Tere ghamon ko saja kar bahar kar lainge
Tere haseen tasawwur se pyar kar lainge
Choo kar honton se tera ehsas kar lainge
phir yun ham tujh ko bar bar pyar kar lainge
Ye duriyon ka samandar bhi paar kar lainge
Tamam umr bhi tera intizaar kar lainge
Jo pyar karte hain wo gham to sehte hain
mohabbat main tufan to aate rehte hain
Har tufan ko bhi ham par kar lainge
Tere haseen tasawwur se pyar kar lainge
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #109 on: January 24, 2007, 06:17:12 AM »
Reply with quote
Saawan ke mausam may....
Mai bheegna chahti hu tumhare Pyar ki baarish may..
Thandi hawa ka jhonka jab udata hai mera aanchal....
Pawan banke tumhe odh lena chahti hu apne tan se..
kohre si ghir aayi ghataao se darkar,,
Chup jana chahti hu tumhare seene se.....
Par.....Tum samjh hi nahi paate woh sab,,
Jo hontho se nahi keh paati tumse.....
Aur woh sab bhi.....
Jo aankhe keh jaati hai tumse......
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #110 on: January 24, 2007, 07:20:15 AM »
Reply with quote
khusbo'on ki tarha meri har saans main
piyar apna basanay ka wada karo
ranng jitnay tumhari mohabbat kay hain
meray dil main sajanay ka wada karo

hai tumhari wafaon pay mujko yakeen
phir bhi dil chahta hai meray dil nasheen
yoonhi meri tasali ki khatir zara
mujko apna bananay ka wada karo

jab mohabbat ka iqrar kartay ho tum
dhadkanoon main naya rang bhartay ho tum
baarha kar chukay ho, magar aj phir
mujhko apna bananay ka wada karo

sirf lafzoon say iqrar hota nahi
ik janib say hi piyar hota nahi
main tumhain yaad rakhnay ki khaon qasam
tum mujko na bhulanay ka wada karo
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #111 on: January 24, 2007, 10:07:47 AM »
Reply with quote
mind blowing tho mujhe kehna chaiye Cool girl. It s  amazing. Calps for u..

Best of luck
Divya
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #112 on: January 26, 2007, 07:28:41 AM »
Reply with quote
Tum ruuth jaao mujh se
aisa kabhi na kerna
mein ik nazar ko tarson
aisa kabhi na kerna
mein pooch pooch ke haaron
sau sau sawaal kar ke
tum kuch jawaab na do
aisa kabhi na kerna

mujh se hi mil ker hansana
mujh se hi mil ker rona,
mujh se bichar ker jee lo,
aisa kabhi na kerna

tum chaand ban ke rehna
mein dekhta rahoon ga
kisi roz tum na niklo
aisa kabhi na kerna

tum chale jaao jab bhi
tou dekhon tumahra rasta
tum lout ke na aao,
aisa kabhi na kerna
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #113 on: January 26, 2007, 07:30:06 AM »
Reply with quote
Tere saath ek khwab sajan chahta hun,
Par kambakht neend nhn aati hai...
Aati hai teri yaad kuch is tarah,
Jaise saans aati hai Teri Khushbu saath laati hai..

Kab wo pal aayega, jab tum mere saath hoge..
Duur hoga akelapan, khushion ke pal humare pass honge..
Wo lamhein bas humare honge,
Wo pal humare khaas honge....

Dekhte hi dekhte hum kho jayenge,
Jo abhi khoya hua hai, wo sab hum paa jayenge....

Zindagi ke ab kuch mayne nhn rahe,
Tere bin ab hum, hum hi nhn rahe...
Tum aa jao pass to zindagi mil jaye,
Mere hanthon mein aapka haath ho, to har khushi mil jaye...

Har pal ab tumhari yaad satati hai,
Haan, Aati hai teri yaad kuch is tarah,
Jaise saans aati hai, Teri khushbu saath laati hai...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #114 on: January 26, 2007, 07:31:01 AM »
Reply with quote
uss ne kaha mugh se kitna pyar hai
main ne kaha sitaron ka koi shumar hai
uss ne kaha kon hai tumhe bohat aziz
main ne kahadil pa jiss ko ikhtiar hai
uss ne kaha kon sa tohfa hai mann pasand
main ne kaha wo sham jo ab tak udhar hai
uss ne kaha sath kab tak nibhao ge.....
main ne kaha jab tak ye sanson ki taar hai
uss ne kaha mugh ko yakeen aee kis tarha
main ne kaha mera naam atbaaar hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #115 on: January 26, 2007, 07:32:23 AM »
Reply with quote
teri aankhon ka woh ishara
hum ko baah gaya woh nazara
jab teri nazron ne chua is dilko
mein to hogaya aashq tumara
tere jalwon ne qahar dala hai humpe
ab to kuch nahi dekhta hai tumare ilawa
chaya hai zehen-o-dil pe sirf tera hi khumar
humne to nahi dekha tujhsa kahin pyara
ab to banana hai tumko hi apni RANI
ke tum hi ho hamare jeene ka sahara...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #116 on: January 27, 2007, 08:49:02 AM »
Reply with quote
Teri aankhon mein jaane kiska chehra hai
Is hasi ke peeche raaz koi gehra hai
Tu uthati hai palkein toh aisa lagta hai
Jaise ashkon ka inme pehra hai

Apne dard-e-dil ko haskar tum sehte ho
Bolti hain aankhein par lab se naa kuch kehte ho
Jaane kis ka khauff tere dil mein tehra hai
Is hasi ke peeche raaz koi gehra hai

Is haseen pal se tujhe shikayat kya hai
Choti si zindagi mein gammon ki jaroorat kya hai
Tere chehre par maaYoindia Shayariadabi ka kyon ye sehra jai
Is hasi ke peeche raaz koi gehra hai...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #117 on: January 31, 2007, 05:05:50 AM »
Reply with quote
Ek leher ka jaise koi kinara nahi
Ek akele ka jaise koi sahara nahi
Hai hum bhi vaise uljhe uljhe
Ek aap chahiye bas mujhe

Ek roshni si dikhti hai door se humme
Ek kiran si lagti hai hoor si humme
Kareeb aane ka hua bahana
Ek nazar se dekha aur hua dil lagana

Ek chehera chha jaata hai ankho mein yuhi
Ek tanhai si hoti hai jab palke uthe yuhi
Parde mein rehne ka mann hai karta
Ek din dhal jaata hai jaise chand aahe ho bharta

Ek baat se ghabrahat si hoti hai
Ek hi pal ki aahat si hoti hai
Kahi kho na jaye dil ka sakoon
Ek ho na jaye armaano ka khoon
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #118 on: January 31, 2007, 09:29:21 AM »
Reply with quote
Tumse kitni mohabbat hai ye main bata nahi sakta
Apni zindai main tumhari ahemiyat jata nahi sakta

Meri zindagi ka har lamha tumhi se shuru hota hai
Tumse door reh ke ek pal bhi akele bita nahi sakta

Mumkin hai main khud ko bhool jaau
Par tujhe bhoolne ki khata main kar nahi sakta

Tum mere dil main hi nahi mere rom-rom me basi ho
Tumse bichad ke main ye zindagi jee nahi sakta

Yekeen nahi hota ki tum chahte nahi hume
Apne dard ko apni zubaan se bayan kar nahi sakta

Aaj vaada hai mere dil se o mere sanam
Tumhari siva me kisi aur ko chah nahi sakta

Tum zindagi ho meri
Tumhari bina mera dil dhadak nahi sakta
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #119 on: February 01, 2007, 08:49:32 AM »
Reply with quote
Kal halki halki barish thi, kal sard hawa ka raqs bhi tha,
Kal phool bhi nikhray nikhray thay, kal un main aap ka aks bhi tha,
Kal badal kalay gehray thay, kal chand pe lakhon pehray thay,
Kuch tukray aap ki yaadon ke, barhi dair tak dil main thehray thay,
Kal yaadain uljhi uljhi theen, aur kal tak yeah na suljhi theen,
Kal yaad bohat tum aay thay KAL YAAD BOHAT TUM AAY THAY
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:00:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer