Hum Mohabbat Kareinge

by CoolGirl on December 11, 2006, 12:19:51 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 10
ReplyPrint
Author  (Read 7390 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #45 on: December 24, 2006, 06:51:09 AM »
Reply with quote
Kion teray bin mein aik pal ab reh nehi pati
Teri ssoch, tera khial hay mere dil ko tarpata

Teri pyaari batoon say milay meri dil ko sakoon
Mujhe ishq hay teri zaat say ya koi or janoon

Ho jati he tere anay say meri dunya jag-mag
Tere jatay hee har tarf andhera chata Hai

Dil to rehta din bher teri yaddon mein maghen
aab na ho gi shaied issay kisi aur say lagan.

Yeh fasle yeh doorian yeh nit-naee majborian
Teray bin, tuj say juda, ab aik pal bhee jeeya nahee Jata
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mohabbat by mnajmi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
mohabbat by sabreena in Shayri-E-Dard
mohabbat by VIKRANT in Shayri for Dard -e- Judai
mohabbat by nishita in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 13 14 »
Mohabbat Ki Keemat Adaa Hum Kareinge,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
CoolGirl
Guest
«Reply #46 on: December 24, 2006, 07:50:30 AM »
Reply with quote
mere dil ko tera intezaar hai...
teri awaaz sunne ko mann bekaraar hai...
mat le mere pyaar ka imtihaan .....
bin tere yeh zindagi bekaar hai....
kyun humein tadpa rahe ho....
kyun jeete je humein maar rahe ho...
tumhe maloom hai,,, tum humare liye kya ho...
phir kyun humpe itna zulm dhaa rahe ho...
tere siwa na kisi ko chaha hai...
aur naa kisi ko chahenge....
agar tere nahi huey toh kisi aur ke nahi ho payenge...
aur agar tu humein nahi mila toh hum maut ka raasta apnayenge...
abb tu isey mohabbat kahe ya paagalpan...
hum toh umar bhar tujhe aise hi chaahenge...
teri yaad mein hum aankhein bichhadenge...
tujhe paane ke liye saare rishton ko bhula denge....
abb bus tere lautne ki aasha mein,dil mein tere naam ke diye jal rahe hain...
tu naa aaya toh maut ki kashti par sawaar hone ki humne toh thaan rakhi hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #47 on: December 24, 2006, 07:13:19 PM »
Reply with quote
Wo aayegi haan, wo aayegi...
bin mere wo kaise rah payegi...

meri yaad use bhi tadpayegi,
bin mere wo kaise rah payegi
wo aayegi haan wo aayegi!

mujhse milke wo thoda sharmayegi,
kuchh ruk kar gale lag jayegi,
honge aankhon mein aansooN par muskurayegi,
wo aayegi haan wo aayegi

aankhon aankhon mein kuchh kahna chahegi,
kahte kahte phir chup ho jayegi,
honge lakhon sapne par chhupayegi,
wo aayegi haan wo aayegi!

meri yaad use bhi tadpayegi,
bin mere wo kaise rah payegi,
wo aayegi haan wo aayegi!!!
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #48 on: December 24, 2006, 07:13:43 PM »
Reply with quote
khoya rahta hooN jahAN wo tum ho shAyad,
tamanna hai meri jahAN wo tum ho shAyad,

anjaan hoon ab khud se hi maiN,
pahchan hai meri jahaN wo tum ho shAyad,

raahon mein ab tak bhatakta hi raha maiN,
manzil hai meri jahaN wo tum ho shAyad,

hogi mulaqAt unse naa jaane kis tarah kahAN,
jazbaat hai meri jahAN wo tum ho shAyad,

andheroN mein ab tak guzarti rahi zindagi apni,
raushni hai meri jahAN wo tum ho shAyad,

khwaboN meiN ek chehrA aata tha bar bar,
aaj aisa kyoN laga wo tum hi thi shAyad!!!
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #49 on: December 24, 2006, 07:14:19 PM »
Reply with quote
Dupatta laal chunari kaa,

Lipat kar tujh se rehataa hai,

Meri pyaasi nigaaho.n par,

hameshaa hansataa rehataa hai.

Kabhi udataa hawaao.n mai.n,

Simatataa teri baaho.n mai.n

Kabhi kaandhe pe bekaaboo,

Sirakataa firataa rehataa hai.

Tere kaano.n mai.n kehataa kuchh,

Ya seene se lagaa rehataa,

Teri dhakan ko gin gin kar,

Yeh uthataa girataa rehataa hai.

 Kabhi teri kamar isski,

Girafto.n mai.n bandhi rehati,

Kabhi yeh peeth par kaafir,

Khisakataa khinchataa rehataa hai.

Kabhi paunchhe paseene ko,

Kabhi dhakataa hai soorat ko,

Kabhi gaalo.n ko choota hai,

Kabhi munh lag ke rehataa hai

Kabhi kaaleen ban jaataa,

Kabhi godi mai.n sota hai,

Tere haatho.n ko sehlaataa,

Satataa mujhko rehataa hai

Isse sar na chadhao tum,

Dupatta hai meraa dushman,

Hamaare darmiyaan har dam,

Kyon yeh besharm rehataa hai.
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #50 on: December 25, 2006, 04:35:52 PM »
Reply with quote
Thnx for Sharing such Beautifull Poems......Nice Job
Logged
Roja
Guest
«Reply #51 on: December 26, 2006, 01:28:55 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Pesh Ki Hai Aapne CoolGirl.. Ek se badkar ek kalam pesh
ki hai aapne... Keep Up...!!



Sukoon Nahi Zindagi Main Abhi
Na Jaane Kitne Zakham Jhelna Hai Zindagi Main Abhi
Haya Se Maut Ke Kareeb Nahi Mai Abhi
Phir Bhi Dard Na Jaane Kitne Sehne Hai Zindagi Main Abhi
Tere Mohabbat ke Sahare Kabhi Jee Lethe Hai
Zindagi Ke Har Zakham Ko Hass Hass Ke Pee Lethe Hai
Waise Toh Zindagi Bhi Hass Hass Ke Gazar Jayegi
Na Jaane Maut Ke Kareeb Kitni Zindagi Hai Abhi..
[/color]
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #52 on: December 27, 2006, 06:12:34 AM »
Reply with quote
Aake baitho mere sirhaane tum

Aur socho na kuchh bahaane tum.

 

Chhu ke dekhoon to maanun main,

Sach ho ya khwaab ho na jaane tum.

 

Aaj bhi main to hoon fida tum par,

Ho mere ab bhi kya diwaane tum.

 

Meri nazaron main daal kar nazaren,

Khud hi padhalo na sab fasaane tum.

 

Koi taqaraar ab nai socho,

Phir na shikave karo puraane tum.

 

Jee main aataa hai rooth jaaun main,

Hans ke mujhako lago manaane tum.

 

Mere seene pe sar rakho apanaa,

Yun raho naa bane begaane tum.
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #53 on: December 27, 2006, 06:13:17 AM »
Reply with quote
kisi ki mohabbat ne sajaye hain,
meri palko per kuch sunahre khwaab
kuch apne se kuch paraye se,
haste muskurate gungunate se khwaab

uski ankhoin main hai khushiyain,
usne diye mujhe apni aankhoin ke khwaab
kuch kwaab jo the mere kwaabo main,
bahut purane magar apne se khwaab,

uski chuan jaise makhmal se kwaab,
uske labo jaise gulabi khwaab,
uski hasii jaise bhole se kwaab,
uski muskaan jaise meethe khwaab,

meri palke na band hongi kabhi ab,
kahin ud na jaye ye parindo se khwaab
meri jaagti aankhooin ke kuch,
unghte karvat badalte soye se khwaab,

uske khwaab ki duiya hum bana sake
bas baki yahi hai ab hamara khwaab,
kisi ki mohhabat ne sajaye hain,
meri palko per kuch sunahare khwaab.
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #54 on: December 28, 2006, 07:23:12 AM »
Reply with quote
uin he baithe baithe kuch yaad aata hai...
pata nahi kaise, lakin dil main koi aata jaata hai,
yaad aata hai vo pal...
jab tere intezar ko anjaam mila tha
jab meri tanhai ko mukaam mila tha
jab tune apne narm haatho se mere haatho ko chuaa tha
aur hamne hamari unchui manjeelo ko pahle-pahle baar chua tha

uin he baithe baithe kuch yaad aata hai...
pata nahi kaise,lakin dil main koi aata jaata hai,
vo tere hoto ka hilne jaise
ek arse baad kisi kali ka khilna
vo tere ghani zulfo ki chaav jaise
tapti reet per ghanghor ghatao ka barasna
vo tere ankhoin ki jhilmilahat jaise
laakho taro ka ek ashiyane main simatna

uin he baithe baithe kuch yaad aata hai...
pata nahi kaise lakin dil main koi aata jaata hai,
tere saath door tak chalna
tere khusbo ka meri saasoin main basna
tere ankhoin ki madhosi main jhumna
teri payal ki aahat se zindagi ko tolna,

ye sab kuch yaad aata hai...
kaash kabhi aisa ho ki in yaadoin ke saath tu bhi aye
aisa hua to ...
phir se zindagi, gungunane lagegi
dil ki aavaz ek nayi dhun gane lagegi
in vadiuoin ki kaliyain bin kahe khilne lagegi
ek maina tote se aur chakori chand se milne lagegi

lakin aisa ho na sakega,
ye hum hain jaante lakin phir bhi na jane kyoin
uin he baithe baithe kuch yaad aata hai...
pata nahi kaise lakin dil main koi aata jaata hai,
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #55 on: December 28, 2006, 07:11:25 PM »
Reply with quote
tere sabhi ghamon ko samait loon tujhe itna pyar doon
teri udasiyon ko mitaa ker teri her shaam nikhaar doon
teri ankhon main chupii khizaan mere dil main utar jaye
tere wajood ko jo mehkaa de tujhe woh bahar doon
teri ik muskurahat k badle kuch ho nahi sakta magar
jo mile tujhe khushi tau main apni jaan bhi waar doon
aa gaya hai jo hijar ka daur tere aur mere dermyan
jo milen ager beete pal tau saray fasley main mitaa doon
tanhayon k toofaano se jo bikhar gaye hain sabhi
laga ker apne seene se tera her armaan sanwaar doon
na dhan se naa daulat se na duniya se koi waasta mera
mile jo buss tu ager tau tere sang yeh zindagi guzaar doon
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #56 on: December 28, 2006, 07:34:53 PM »
Reply with quote
Chehre se parda hataalo zara,
jhukti nigaahein uthalo zara.

dhoop lag rahi hai, main jal rahaa hoon,
apni reshmi julfein bikhraalo zara.

teri aankhon ke mai se behek gaya hoon,
main gir raha hoon sambhaalo zara.

zamaane ke kaante chubhte hai mujhko,
mujhe apni baahon mein chhupaalo zara.

mere taraane adhure lag rahe hai,
apne hothon se chhu ke, inhe gaalo zara.

main akela hoon tanha hoon sadiyon se,
mujhe pyaar se apna banaalo zaraa...

chehre se parda hataalo zara,
jhukti nigaahein uthalo zara
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #57 on: December 28, 2006, 07:35:43 PM »
Reply with quote
main jo aankhon me teri khwab hun bankar rahti
aaj tu jaan le maine bhi tujhe chaha hai
meri aakhon ki kisi kajal ki zarurat kab hai
ye teri yaad se sharma ke jo jhuk jaati hain
mere haathon me jaane kyun na rachati hai hina
ke tere haathon ki garmi se ye hain surkh bahut
maine aanchal bhi to chere pe bar bar dala
par tujhe dekh ke ud jata hai baadal ki tarah
mere hamdam ye bata konsa singar karun
mujhko milne ki hai jaldi kya intezaar karun
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #58 on: December 29, 2006, 08:30:12 AM »
Reply with quote
Kaisay kahoon k apna bana lo mujhey
bahoun mein apni sama lo mujhey

Bin tumharey ek pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa kar mujhi say chura lo mujhey

Zindagi to woh hai sang tumharey jo guzrey
Duniya kay gamoun say ab chura lo mujhey
 
Meri sab say gehri khuwahish ho puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #59 on: December 29, 2006, 08:38:35 AM »
Reply with quote
Tiri chah main hadd say guzar jayoon gi ikk din....
 
pyar hota hay kya yai dikhlayon gi ikk din......... ..
 
tairi sangg-dili ko sahtay sahtay main,,,,
 
apni jaan say guzer jayoon gi ik din.....
 
apni chahtain sari tujh pay waar k ,,,,
 
pyar karna tujhay b sikhayoon gi ikk din.....
 
g na pay ga tu b  ho k juda mujh say  ,,,,,
 
aisa pyar tujh say kar jayoon gi ikk din....
 
andhairon main dhondta rah jay ga mujh ko ,,,
 
aisi  BAY-RUKHI dikhlaon gi ikk din......... ...
 
kho k mujh ko bohat pashtay ga sanam tu ,,,,
 
wafa aisa tujh say kar jayoon gi ikk din.........
 
aisi deewangi say chahoon gi tujh ko  ,,, ,,,,
 
bhool jayo gay  tum b sara jahan ikk din......
 
 JAAN TAIRI B  LABOON PAI AA JAY GI ,,  ,,
 
BANN K KHAK JAB MATTI MAIN MILL JAYOON GI IKK DIN.. .. ..!!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:48:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer