Hum Mohabbat Kareinge

by CoolGirl on December 11, 2006, 12:19:51 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
ReplyPrint
Author  (Read 7316 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #75 on: January 04, 2007, 05:30:59 AM »
Reply with quote
Kabhi nazar se giraa diyaa,
Kabhi dil mein basaa liyaa,
Mohabbat mein tumne, humein,
Kabhi hasaa to kabhi rulaa diyaa…


Kabhie pyaar be_shumaar kiya
Kabhi dard be_intehaa diya
Apni dewaangee mein tumne, humein,
Kis mukaam par puhancha diya……


Kabhi mausam_e_bahaar se mila diya,
Kabhi sehra mein tanha kar diya
Dil ko khilona samajh kar tumne,
Humein Har khel mein hara diyaa…


Kabhi umeedon ko barhaa diya
Kabhi mayoosiyon ne jeena dushwaar kiya,
Phir bhi humdam humne, tumhein
Pyaar ki had se... hai ziyada pyaar kiyaa
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mohabbat by mnajmi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
mohabbat by sabreena in Shayri-E-Dard
mohabbat by VIKRANT in Shayri for Dard -e- Judai
mohabbat by nishita in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 13 14 »
Mohabbat Ki Keemat Adaa Hum Kareinge,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
CoolGirl
Guest
«Reply #76 on: January 04, 2007, 05:31:39 AM »
Reply with quote
shaam ho jaam ho subuu bhii ho
tujh ko paane kii justajuu bhii ho

dil se dil kii kahaaniyaa.N bhii sune
aa.Nkho.n aa.Nkho.n me.n guftaguu bhii ho

jhiil sii gaharii sabz aa.Nkho.n me.n
Duub jaane kii aarazuu bhii ho

sirf tere badan kii shamaa jale
aur a.Ndheraa-saa chaar_suu bhii ho
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #77 on: January 04, 2007, 12:12:16 PM »
Reply with quote
Phir aaj koi Ghazal Tere Naam na ho jaye
Aaj kahin likhte likhte Shaam na ho jaye
 
Kar raha hon Intizar Tere Izhar-e-Mohabbat ka
Isi Intizar Zindagi Tamam na ho jaye
 
Ab to nahi leta Tera Naam Sar-e-Aam is Darr se
Kahin Naam Tera Badnaam na ho jaye
 
Mangta hoon Duaa jab Tuu Yaad aata hai
K Judai Mere Pyaar ka anjaam na ho jaye
 
Sochta hoon, Darta hoon Aksar Tanhai mai
k mere RANI ke Dil mai kisi aur ka Maqam na ho jaye
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #78 on: January 08, 2007, 10:39:43 AM »
Reply with quote
Mohabbat Maqsad Hai Zindagi Ka
Mohabbat Muqaddar Hai Her Kisi Ka
Mohabbat Pakeezai Ka Naam Hai
Mohabbat Her Khushi Ka Pegaam Hai
Mohabbat Hai To Rehmat Hai
Mohabbat Hai To Chahat Hai
Mohabbat Pyar Ish-o-Lagan Hai
Mohabbat Main Her Shakhs Magin Hai
Mohabbat Main Zindagi Kho Jati Hai
Mohabbat Haar Hai Mohabbat Jeet Hai
Mohabbat Hi Dil Ka Sacha Meet Hai
Mohabbat Phoolo Ko Hui Kantoo Se
Mohabbat Palkoo Ko Hui Aankhoo Se
Mohabbat Chand Ko Hui Chandni Se
Mohabbat Rooh Ko Hui Ragni Se
Mohabbat Subha Ki Pehli Kiran Hai
Mohabbat Do Diloo Ka Millan Hai
Mohabbat Hi Meri Manzil Hai
Mohabbat Hi Mera Dil Hai...!!!
Mohabbat Hi Majbori Hai..
Mohabbat Hi Kamzori Hai...!!!
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #79 on: January 08, 2007, 10:52:35 AM »
Reply with quote
KAASH WOH AISA KARE
Woh mujhe chahe aur mujh se pyaar kare
Main kahin bhi rahoon woh mujhe yaad kare
Mere liye hi kare woh ghar main chiraagha
Aur mere liye hi apne dil ko beqaraar kare
Apne Jazbon ko mujh tak pounchane ke liye
Zabaan se na sahi Dil se izhaar kare
Kuch bhi  kare main to bas itna chahoon
Woh kahin bhi rahe bas mujhse pyaar kare. !!
Logged
FAREE
Guest
«Reply #80 on: January 08, 2007, 06:27:40 PM »
Reply with quote







Nice CoolGirl


aaj woh tanha hai to mujhe yaad karta hai
beeti baton ko soch kar dum bharta hai






Logged
Roja
Guest
«Reply #81 on: January 09, 2007, 02:01:38 AM »
Reply with quote
Mai logo ke pyar ke kisse sunkar hassa karthi thi

Aap Ke milne ke baad, maine jaan liya ki pyaar kya hai..
[/color]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #82 on: January 09, 2007, 02:19:48 PM »
Reply with quote
bahoot khoob cool gal,..
kamaal ka likha hai aapna,..
keep writing
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #83 on: January 11, 2007, 07:08:39 AM »
Reply with quote
tumhare pyar ki khushboo
tumhare sath ki khushboo,
abhi tak dil mein basi hai
tumhari yad ki khushboo,
mein kitni door hon phir bhi mjhe sone nahy deti
tere pyare se sheher ke dar-o-deewar ki khushboo,
jaisey isey talash kisi razdan ki hai
sanson mein bhatakti hai bekarar si khushbo,
tere nishan dhoondti hein sardion ki shaamein
charon peher jawan hai intezar ki khushboo,
kaho tu tum ko sab ki nigahon se chupa loon
rehney do mere saath apni zaat ki khushboo..
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #84 on: January 11, 2007, 07:09:26 AM »
Reply with quote
tasawor me teri tasvir ko le chalta hoon
har gadi bas tuj ko yaad kartaa hoo,

ishq se bara hai dil mera
cheer ke seenna dil apna tuj ko dikhana chaahata hoon

jeene ki khwahish hum main na thi pehle
par lagta hai ab ki main jeena chaahta hoon,

mushkil na aaye raaste main koi
ausi ley main kadam badate ja raha hoon,

parwa na kar aae khaak, be phikar ho ja
keh raha hai khuda hum se shaayad, kadam main he tere badaate ja raha hoon
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #85 on: January 11, 2007, 07:10:13 AM »
Reply with quote
tujhko chaha hai aur chahongi
tere bin toh mei maar jaongi...

Tu mujhe apna bana ya naa bana,
ye pyar yesehi barkarar rahegi...
Tu mujhe apni khusi me samil mat kar,
lekin tere gum ko chura neki kosis humari rahegi..
tujhko chaha hai aur chahongi
tere bin toh mei maar jaongi...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #86 on: January 12, 2007, 06:08:49 AM »
Reply with quote
Sochta hoo main ki, ye pyaar jisne tha banaya,
Usne bhi is tapan me, kya tha khudko jalaya ?

Humne to pyar ki khatir, sabkuchh hai lutaya,
Uusne bhi is pyar ke liye, kya tha kuchh gawaya ?

Har kadam pe imtihan leke, pyaar ne hume sataya,
Usne bhi aisi uljano me, kya tha khudko fasaya ?

Deke thodi si khusia pyaar ne, fir hashna chhudaya,
Usne bhi pyaar me gum ke liye, kya tha hashna bhulaya ?

Tanha karke pyaar ne, na jane kitno ka dil dukhaya,
Usne bhi kabhi tanhai me, kya tha khudko rulaya ?

Fanna ki aashiqo ne jaan par pyaar ki bulandi ko niche na giraya,
Kya di thi usne aisi koi kurbani ? kya tha khudko mitaya Huh?Huh??
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #87 on: January 12, 2007, 06:10:53 AM »
Reply with quote
main mahboob ki mohabbat se raha hoon mahroom,
main mohabbat ke baarein main kya jaano
meine toh ki hai bas ek terfa muhabbat
mein unki aankhon ke ishare kya jaano
na woh samaj payege aur na hum keh payege
mein unke haal-e-dil ke baarein main kya jaano
woh toh humse rehte hai khafa khafa
mei apni khata ki waja kya jaano
humse na poocho muhabbat ke baarein mei yaraon
tum mere dil ka dard kya jaano....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #88 on: January 12, 2007, 08:09:01 AM »
Reply with quote
tere ishq mei deewani hon
tere ishq mei...
ab na mujhe meri kabar
jahaon main jidar
aaye bas tu hi nazar
iss duniya se anjani hon
tere ishq mei...



meine dil ko sambhale rakha tha
tune isse churaya
meri rooh ki gerayi tak
bas tu hai samaya
ab to aaina mei tu hi nazar aaye
din raat mere khayalon mein tu hi hai chaya
tu hi meri socho main
tu hi mere sapno main
tu hi hai aapno main
tu hi mere geeton main
tere hi nagme gungunati hon
tere ishq mei.....




jabse tu meri zindagi mei aaya
inn fizaon main ek naya rang hai chaya
mere din mehake,meri raat chandni hai
tere sang zindagani pyari lage hai
ab to tere bin jeena daswar hai
tere ishq ka khumar mujh pe sawar hai
tu hi mere dil ki dharkan
tu hi mere saanson ki sargam
tu hi meri aakhari tamanna
tere bin ab mera kya jeena
her dard-o-gham se begani hon
tere ishq mei deewani hon
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #89 on: January 12, 2007, 08:09:44 AM »
Reply with quote
MERAY JANEY PE AEY JANA..!!
PAREYSHAN TUM NAHI HONA
KABHI CHUP KER NAHI ROONA
JUDAI ZEHAR HOTI HAI
MUJHAY MAALOOM HAI LEKIN
FARAAK WO HIJAR KA MOOSAM
YAKEENAN BEET JAAI GA
YAKEENAN WASAL KEY LAMHEY
DOBARA LOOT AAIEN GEY
WOHI SHAMEIN,WOHI RAATIEN
WOHI KISSEY,WOHI BATAIEN
WOHI PHER DASTAAAN HOGI
MOOHABAT MEHARBAAN HOGI..!!!
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:55:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer