Hum Mohabbat Kareinge

by CoolGirl on December 11, 2006, 12:19:51 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
ReplyPrint
Author  (Read 7393 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #90 on: January 12, 2007, 08:10:24 AM »
Reply with quote
Majboor ye halat,idhar bhi hai udhar bhi
Tanhayi ki ek raat,idhar bhi hai udhar bhi
kehene ko to bohat kuch hai par kis se kahe hum
dil kehta hai duniya ki har ekrasm utha de,
deewar jo hum dono me hai,aaj gira de
kyoon dil me sulagte rahe, logon ko bata de
haan hum ko mohabbat hai,mohabbat hai, mohabbat.
ab dil me yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mohabbat by mnajmi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
mohabbat by sabreena in Shayri-E-Dard
mohabbat by VIKRANT in Shayri for Dard -e- Judai
mohabbat by nishita in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 13 14 »
Mohabbat Ki Keemat Adaa Hum Kareinge,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
CoolGirl
Guest
«Reply #91 on: January 15, 2007, 08:28:30 AM »
Reply with quote
Kyun pyaar us par hi aata hai, Jo mil kar bhi naa mil pata hai. Kaise yeh usse batayein hum, Tujh bin rah na paayein hum. Kyun baar baar woh satata hai - Kuwaabon main aakar rulata hai? Bhulanaa us ko chahein hum, Par kis tarah bhulaayein hum? Woh mann main har dum rahta hai, Dharkan ki tarah dharkta hai. Hain issi ehsaas se zindaa hum, Hain ek-duje ke dil o jaan hum. Ek duje ke dil main rahte hain - Kya pyaar issi ko kahte hain?
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #92 on: January 16, 2007, 08:36:29 AM »
Reply with quote
Alvida na kehna tum
ab juda na hona tum
yeh hath na chorna tum
mera sath na thorna tum


zindagi aakari thi ajab mod pe
her khushi ja chuki thi daman chor ke
uss gaari aaye tum naye rang leker
fiza mei chagayi bahar jhoomker
ab inn khushiyon ko na cheina tum
alvida na kehna tum



hothon pe muskan phir se aagayi
meri duniya bilkul badal gayi
ab palkon pe aansu nahi baste
sab aansu miti mein milgaye
inn aankhon ko kabhi naam na kerna tum
alvida na kehna tum




tumhi ko dekh ke dil hai dharkta
tumara hi khumar hai mujhpe chaya
tere bin kabhi kal na ho
tere sang hi yeh zindagi beetao
ab kabhi dur na hona tum
alvida na kehna tum
alvida na kehna tum.....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #93 on: January 17, 2007, 12:25:36 PM »
Reply with quote
Nice One Cool Girl
Keep Going
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #94 on: January 18, 2007, 07:00:26 AM »
Reply with quote
kaise bayan karoon mohbbat kya hai,
ye shabdo se bayan nahi hoti!

bina mange milti hai khushi jisme,
mohbbat naam hai us bandagi ka!

khuda bhi milte hai unhe jo karte hai mohbbat,
mohbbat naam hai aise ibadat ka!

achha lagta hai jismain sara jahaan,
mohbbat naam hai us baikasi ka!

rahti nahi chahat usko pane ke baad,
"RANI"mohabbat naam hai us santosh ka!
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #95 on: January 18, 2007, 07:01:08 AM »
Reply with quote
AJAB PAGAL SI LARKI HAI
MUJHAY HER ROZE KEHTI HAI
BATAO KUCH NAYA LIKHA?/
KABBHI IS SAY YEH KEHTA HOON
K MAI NAY NAZAM LIKHI HAI
MAGAR UNWAN DAINA HAI
BOHAT BAYTAB HOTTI HAI
WOH KEHTI HAI
SUNAO
MAI ISSAY ACHA SA IK UNWAN DAITI HOON
WOH MERI NAZAM SUNTI HAI
AUR ISS KI BOALTI ANKHAIN
KISSI MISSRA KISSI TASHBEEH PER UN MUSKURATI HAI
MUJHAY LAFZOON SAY KIRNAIN POOTHTI MEHSOOS HOTTI HAIN
WOH PHIR ISS NAZAM KO ACHA SA IK UNWAN DAITI HAI
AUR IS K AKHRI MISSRA K NEECHAY
IK ADAAY BAYNAYAZI SAY
WOH APPNA NAAM LIKTHI HAI
MAI KEHTA HOON
SUNOO
YEH NAZAM MERI HAI
TO PHIR TUM NAY KION APPNAY NAAM SAY MANSOOB KER LI HAI
MERI YEH BAAT SUN KER USS KI ANKHAIN MUSKURATI HAIN
WOH KEHTI HAI SUNO
SADDA SA RISHTA HAI
K JAISAY TUM MERAY HO ISS TERHAN YEH NAZAM MERI HAI
AJAb PAGAL SI LARKI HAI
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #96 on: January 19, 2007, 07:17:37 AM »
Reply with quote
aap ke khyalon se fursat humein milti nahi
dhoop hi dhoopp hei ab chaon kahin dikhti nahi
tere jane ka gumm itna nahi tha dard hei ke
teri tasveer ab khwabon mein bhi dikhti nahi

tu chahkar bhi kharid na payegi mere pyar ko
ye muhabbat hei mere mehbboob kabhi bikti nahi

kya jarurat thi meri jindagi mein aane ki
aane ke baad kehte ho ki ab ruk sakti nahi

bhula dun tumhe ye koshish hum na kar sake
ki tere khyalon se fursat humein milti nahi
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #97 on: January 19, 2007, 01:38:35 PM »
Reply with quote
Dil hai tu terii yaad bhi tu ho gii
Dil hai tu dil ki dil se baat tu ho gii
Aye meri sanson dharkanon main basne wale
Jis mehfil main hussan ki baat ho gii Terii baat tu ho gii



Merii dharknon se poocho kitni chahat ho gi
Jab her khushi tere saath ho gii
Kasy sambhal paon gi apny app ko Huh???
Uss raat teri dewangi bhi tu mery sath ho gi



Mery khamosh jazbon ko zuban deny waly
Teri inn baton mein koie tu baat ho gi
Mein bin kahy tery wajod mein uter jaon ga
Teri hasti mein chupi meri hi zaat ho gi




Dekh tu sahi iss muhabat ki intiha ko
Teri her baat mein phir meri hi baat ho gi
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #98 on: January 19, 2007, 02:01:34 PM »
Reply with quote
Mein khush naseeb hu mujhe kisi ka pyar mila,
Bara haseen mere dil ka raazdaar mila,
Meri dua ka sila mujh ko shaandaar mila,
Meri sehen ka har ek phool muskuraane laga,
Wo kya mile ke mujhe mosam-e-bahar mila
ab to mujhe jeene ke bahana mila
kabse akele thi iss zindagi ke safar mein
ab hathon mein mujhko bhi kisi ka hath mila
labon pe jo de her waqt muskurahat
aisa mujko mera dost mera yar mila
jisko keh sako main apna naaz se
aisa mujhko guroor mila
jo baana ke rakhe mujhko apni RANI
aisa mujhko sansaar mila
mein khush naseeb hu mujhe kisi ka pyar mila....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #99 on: January 20, 2007, 08:45:28 AM »
Reply with quote
kyun karte hum pyar aapse itna
ye humko bhi nahi maloom
kyun dil mein basaya hai aapko
yeh dil ko bhi nahi maloom
bas itna jante hain ke
ek pal bhi bina aapke nahi guzarta
aankhon mei bas aap hi ka chera hai rehta
aap hi meri tamanna aap hi mera armaan
aap ke bina yeh duniya mujhe lage viraan
aap hi ke aane se aayi hai yeh bahar
meri suni duniya mei chagaya roshni ka khumar
kyun barosa hai aap pe itna
kyun karte hum pyar aapse itna
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #100 on: January 20, 2007, 08:46:23 AM »
Reply with quote
charon taraf chahya hai kaala andehra
meri raaton pe hai tanhaion ka basera

mugy fursat he kahan tere siwa kuch sochon
meray kyhalon pe hai teri yaadon ka dera

jis soo b daikhon nazar aoo tum he tum
meri ankhon mein her pal saja hai chera tera

chah ker b tum hum ko bhool na pao gaye
teray dil pe jo likha hai wo naam hai mera

waqt e judai yeh tu sumgya hota humko
bin teray mera ho gha kaisay guzara
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #101 on: January 21, 2007, 07:32:38 PM »
Reply with quote
Ye jindagi bhi tumahri hei
ye dil bhi tumhra hei
Meri har khushi tumahri hei
tera har gumm humara hei

Tumhe dunia chahti hei
ye khushnasibi tumahri hei
hum teri yaad mein aansu bahate hein
ye badnasibi humari hei

abhi roop ka ek sagar ho tum
us sagar ki siraf ek lehar humari hei

tumhe apna banane ko duniya saari hei
hum ek aankh utha ke dekh bhi na sake
kaisi kismat humari hei
for bhi dil kehta hei
ye jindagi bhi tumahri hei
ye dil bhi tumahra hei ...........
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #102 on: January 21, 2007, 07:33:41 PM »
Reply with quote
Sapne tere naam ker chukha hoon
iss sab kuch k baad tum mujhe bhool too na jaoo gi
gar aisa hua too meri yadoon main mujhe bohat rulaoo gi
khojta phiron ga tum ko ghazlon k alfazon main...
meri ankhon main ansoo ban ker chalak jao gi
dhondon ga tum ko samandar k kinare
shayad kisi kone main chupti nazar aao gi
teri har rah guzar se guzron ga khojon ga
shayad wahan se guzarti nazar aao gi
roo roo ker dekhon ga tanhai main zar-o-qitaar
k shayad tum aa ker mujh ko chup karwao gi
hanson ga paglon ki terhan main
k shayad meri hansi main hansti nazar aao gi
main soo jaon ga bina kisi alarm k
k shayad subha tum mujh ko uthane aao gi
gar ab bhi jo na tum ko paon ga
tu mar kar jannat main chala jaon ga
wahan tanha kisi kone main beeth ker
tere naam ki sadaain lagaon ga
meri jaan tum se itna pyar karta hoon
main tu mar kar bhi tumhain chahon ga
kyun k ye sansain tere naam ker chukka hoon
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #103 on: January 21, 2007, 07:34:08 PM »
Reply with quote
tha ek waqt aisa jab hum pyaar kiya karte the.....
sochkar un lamhon ko muskura padte the
jab ek doosre ke haathon mein haath hua kartien the
dekhte the un gheri aankhon mein aur kho jaya karte the
vo sapne ki duniya hum roz banaya karte the
tha ek waqt aisa jab hum pyar kiya karte the.........
un lambi saanson mein hum pal pal jiya karte the
tumhare sapne meri manzil hua karte the
dekhti jab tum un nigahoon se sara jahan tumhare kadmo mein daal diya karte the
jab ek doosre ki ankahin baatein jaan liya karte the
tha ek waqt aisa jab hum pyaar kiya karte the...............
badla hawaaon ka rukh
juda hua hum aise
palke jhapakti hai jaise
naa jee sakte the naa mar sakte the
aur ek yeh aansun the jo kabhi naa thamte the
in lamhoon mein chaand taaron ke aansoon mein bheega karte the
sochte un lamhon ko jab hum pyaar kiya karte the
chale gaye the door itne ki tumhe apni aankhon mein dekha karte the
par soch kar un lamhon ko jee liya karte the
nahi tha ab saath tumhara
shukriya un lamhon ka jinhe soch kar hum jee liya kare the

tha ek waqt aisa jab hum pyaar kiya karte the.............
tha ek waqt aisa jab hum pyaar kiya karte the...........
Logged
ambar
Guest
«Reply #104 on: January 21, 2007, 09:42:58 PM »
Reply with quote
ishq bana to dilwaale bane
dil bana to dewaane bane
shama bani to parwaane bane
kuch to baat hai aap mein
yunn he to nahi hum aapke diwaane bane  :D

Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:01:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer