Hum unse hai....

by chitra on March 07, 2006, 04:20:06 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 6120 times)
chitra
Guest
«Reply #15 on: March 10, 2006, 08:46:32 AM »
Reply with quote
Pooja ji....

Har raaj khol diye apne......,unkaa andaaj ,wafadaari aur khumari.....


Last wali line bahoot achchhi  lagee..........

"aayi hai chal kar khud, isaq ki chah mein panah dijiye"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jab Unse Milo to Tum... by a_simple_boy_4u in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~~...Unse baat ho jaye...~~~ by vitasta in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Mautt...aurr unse khaliff by rajj_dev in Shayri-E-Dard
unse milne ki shaam aa gayi by sweet suh in Shayri for Khumar -e- Ishq
Dil ki baat unse hum kaise kahein by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
HumTum is back
Guest
«Reply #16 on: March 10, 2006, 10:02:41 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
wah HumTum@lajawaab ji, maan gaye apko...bahoot hi acha reply Chira ji ko Pooja ki shayari ko diya hai.... bahoot khoob!!!

yah shayad last hoga..iske baad kuch office ka kaam bhi kar lu.. Usual Smile

Apka yahi andaaz to, dil husan ka le gaya
her husan ka nakhara, Ishaq hans kar sah gaya

Husan ki bekraari, Ishaq ki wafadaari
husan per chane lagi hai...ishaq ki khumari

salam nahi, ab to husan ko tham lijiye
ayya hai chal kar khud, Ishaq ki chah mai panah dijiye!!!!



Shukriya Pooja ji Usual Smile  and nice one !!


haye !! ke aaj husn ne dil ka raaz khola hai
hai naaz husn ko iss ishq ki waffaddari pe

khudh chal ke husn ishq ke paas aaya hai
sadke jai ishq bhi husn ki beqraari pe

E Husn aa ke tujh ko apne agosh mein le lu
kudh ko waar du teri iss khumari pe !!
Logged
chitra
Guest
«Reply #17 on: March 14, 2006, 02:28:25 PM »
Reply with quote
"Hum Tum" ji

Khud ko waar doge to hum kanhaa jayenge
na honge aap to hum aaine se bikhar jayenge

Ishq jab jalayega mere husn ko
tere agosh ki thandak kanhaa se layenge
Logged
chitra
Guest
«Reply #18 on: March 15, 2006, 12:46:42 PM »
Reply with quote
koi hai ..........................................!!!!!!!!!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #19 on: March 15, 2006, 12:52:29 PM »
Reply with quote
Quote from: "chitra"
"Hum Tum" ji

Khud ko waar doge to hum kanhaa jayenge
na honge aap to hum aaine se bikhar jayenge

Ishq jab jalayega mere husn ko
tere agosh ki thandak kanhaa se layenge


Chitra ji !!

Yun na khud ko aap beqraar kijiye
Ruswa apne aap ko na sar e bazaar kijiye
Le le tumko apne agosh mein sanam
Bas sanam aap thoda intzaar kijiye !!
Logged
chitra
Guest
«Reply #20 on: March 15, 2006, 01:50:05 PM »
Reply with quote
Hum Tum Jeeee.....

ye intzaar hi to nahi hota
achchha tha ke hume pyar hi nahi hota

na dekhu pal bhar bhi apko to
dilo mera chain se bhi nahi sota
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #21 on: March 15, 2006, 02:07:50 PM »
Reply with quote
waah sanam aaj keh diya ke achca tha gar pyaar na hota
gar na hota, to aaj mein bhi tum na yun dewanawaar hota
Ab kar hi liya hai jab ishq to beqrrariya bhi sehni hongi
Agar mil jata asaani se to  woh pyaar pyaar na hota !!
Logged
chitra
Guest
«Reply #22 on: March 15, 2006, 02:26:47 PM »
Reply with quote
haa ji...Hum Tum ji

beqaraariya hi to sahan kar rahe hai
kya ye kabhi khatm hogi

lamba intzaar kar rahe hai
kabhi to teri sham meri bahoon mein hogi
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #23 on: March 15, 2006, 02:37:35 PM »
Reply with quote
Chitra ji !!!


Luft yun beqraariyoon ka uthya kijiye
Dil ko hamari yaad mein jalaya kijiye
Agar tum se na ho bardash to phir
Chod ke duniya bahooon mein ayakijiye !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: March 15, 2006, 02:49:12 PM »
Reply with quote
app bhi ishare ko samjh jaya kijiye
jab jhukaye nigah, bahon mai laya kijye
bardashat hota nahi ab aor judai ka alam
janab chai pikar, kam se kam payala to loutaya kijiye!!!
Logged
chitra
Guest
«Reply #25 on: March 15, 2006, 02:51:54 PM »
Reply with quote
HUM TUM JI....

aye the ek baar bahoon mein apki
seene mein tapish apki abhi bhi hai

achchha hai bardast kar le ye beqaraari
teri khumari ka nasha saanso mein abhi bhi hai

abki baar jo aa gaye kareeb to
jaan ja sakti humaari kabhi bhi hai
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #26 on: March 15, 2006, 02:52:48 PM »
Reply with quote
Aap nazar ko yun jukha ke jab sharmate ho
kasam khuda ki ik qahar sa dil pe dhate ho
yun aapne ashiq pe ilzaam lagana achca nhi
cup sath mein mang lete hi jab chai pilate ho !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #27 on: March 15, 2006, 02:54:45 PM »
Reply with quote
kaya kare ab is tarah hi apko samjhana hai
chahiye jo cup, to barat laker anna hai
chai to mera payaar hai, jo roj apko pilaaty hai
khali cup ki tarah ho jaaty hai, jab bin apke ghar jaaty hai!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #28 on: March 15, 2006, 02:57:33 PM »
Reply with quote
Kahlli cup mein hum rang se bahr jayegey
Aap chai to banao hum abhi aa jayegey
Bahoon ke ghere mein bsa lenege aap ko
wadda karo ke aap mujhye cokies khilayege !!
Logged
chitra
Guest
«Reply #29 on: March 15, 2006, 03:01:06 PM »
Reply with quote
bahoot khoob pooja ji.....

HUM TUM Ji Cup lauta dijiye.....poooja ji takkar na le paooge.....
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:17:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer