Humein Aa-Hii Gaya Hunar Aahista Aahista!

by nirbhay on August 03, 2006, 12:57:07 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4295 times)
nirbhay
Guest
Reply with quote
Huzur teri yaad kaa dil main guzar aahista aahista
kare ye chaand sehra main safar aahista aahista


Bohat taizi say duniya cheen legi jab tujhey mujh say
to phir is dil main aise mat utar aahista aahista


k hum dhokey main rakhain dostoun ko khush kalaami se
humein aa hee gayaa yeh bhi hunar aahista aahista


kahin say aik weeraani ka saaya phailta aaya
hue berang sab deewaar-o-dar aahista aahista


naa tootey or kuch din tujh se rishta is tarah mera
mujhe barbaad kardey tu, magar aahista aahista


yeh khaamoshi yahan ka husn hay rakhna khayaal is ka
kamaal is dasht-e-weeraan say guzar aahista aahista!! NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aahista aahista,....... by tushar_4u_im in Shairi - E - Zindagi
aahista aahista.... by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Milegi Nazar Se Nazar Aahista-Aahista..!!...Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
"Aahista aahista" by jyuthika in Share:Love Poetry
Aahista aahista.. by nashwani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: August 03, 2006, 01:11:50 PM »
Reply with quote
Very Good poem Neer !!! Really nice one !
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: August 03, 2006, 01:12:18 PM »
Reply with quote
Nice sharing Neer !
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #3 on: August 03, 2006, 04:57:30 PM »
Reply with quote
Thanks So Very Much Talt nd Balli Bhai!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: August 03, 2006, 05:04:32 PM »
Reply with quote
Wah...Jisne bhi likhi hai bahut acchi likhi hai.....Thnx for Sharing Neer  :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: August 04, 2006, 02:50:08 AM »
Reply with quote
nice sahring neer ...... :D


ek peghaam aa ke ruka hai meri nazaro tak
utar raha hai meri rooh mein koi aahista aahista

badne lagi hain ab toh betabiyaan dil ki
ab toh dil ko qarar aayega magar aahista aahista

kis ko pata thaa ki yun hum chalenge ek saath
ab yeh safar ishq ka teye hoga kuch aahista aahista

dil main machal rahe hain kai armaan mere
todenge hum apni khamoshi kuch aahista aahista

yun na bhari mehfil mein sunaao apne ishq ki dastaan
pehle dil se dil ko karne do baat aahista aahista
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #6 on: August 04, 2006, 04:06:05 AM »
Reply with quote
Wuaaaaaaaah! =D> Hats Off Maa!

Bohat Bohat Bohat Hi aachi Ghazal Likhi hai aapne..
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #7 on: August 04, 2006, 04:15:16 AM »
Reply with quote
Hou Hunooj Tere Khumar ka darj Aahista aahista
Mere Surr pe lagne lage hai tarz tere Aahista aahista


Hans Hans ke karz adaa karenge abb khamoshi ka
Kha kar thok.Rein sambhal jayenge hum aahista aahista


Teri Zul.Fon se dasht mera rah ruzar aahista aahista
Wo Ehsas makhmal.ii gaya dil mein utar Aahista Aahista


Shuru Hone ko hai Safar Dewan.Gi ka aahista aahista
Bahon mein Bhar le mujhe aye Humsafar aahista aahista!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: August 04, 2006, 04:34:49 AM »
Reply with quote
wah kya baat hai ..bahut khoob neer ..... Usual Smile too good...

aa rahe hain woh mere dil ke kareeb kuch aise
ki badal raha hai ek katra ishq ka samnader mein aahista aahista

liye bethe hain hum unki tasveer apni aankho mein
aqs bas unka dil mein utar raha hai aahista aahista

hain wo hamaari nazaro se bahut dur per dil ke kareeb hai
faaslo ka yah silsila pighal raha hai aahista aahista

haatho ki lakeero mein na jaane kya likhi hai kismat hamaari
kuch simat simat kar bikharta ja raha hai aahista aahista

uljhi si hui hain sab baate ishq ki dono ke darmiyaan
koi toh aa ke inko suljhaaye ab  aahista aahista

agar yeh rishta judna hai toh kisi tarah bhi judega
rooh bechein hai unko paane ke liye aur dil tadap raha hai aahista aahista
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #9 on: August 04, 2006, 04:53:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"
Huzur teri yaad kaa dil main guzar aahista aahista
kare ye chaand sehra main safar aahista aahista


Bohat taizi say duniya cheen legi jab tujhey mujh say
to phir is dil main aise mat utar aahista aahista


k hum dhokey main rakhain dostoun ko khush kalaami se
humein aa hee gayaa yeh bhi hunar aahista aahista


kahin say aik weeraani ka saaya phailta aaya
hue berang sab deewaar-o-dar aahista aahista


naa tootey or kuch din tujh se rishta is tarah mera
mujhe barbaad kardey tu, magar aahista aahista


yeh khaamoshi yahan ka husn hay rakhna khayaal is ka
kamaal is dasht-e-weeraan say guzar aahista aahista!! NM


wow its wonderful .............
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #10 on: August 04, 2006, 04:54:16 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
nice sahring neer ...... :D


ek peghaam aa ke ruka hai meri nazaro tak
utar raha hai meri rooh mein koi aahista aahista

badne lagi hain ab toh betabiyaan dil ki
ab toh dil ko qarar aayega magar aahista aahista

kis ko pata thaa ki yun hum chalenge ek saath
ab yeh safar ishq ka teye hoga kuch aahista aahista

dil main machal rahe hain kai armaan mere
todenge hum apni khamoshi kuch aahista aahista

yun na bhari mehfil mein sunaao apne ishq ki dastaan
pehle dil se dil ko karne do baat aahista aahista


wah ranju ji aapka ek ek lavz dil chhoo jaata hai ...excellent stuff...
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #11 on: August 04, 2006, 04:56:34 AM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"
Hou Hunooj Tere Khumar ka darj Aahista aahista
Mere Surr pe lagne lage hai tarz tere Aahista aahista


Hans Hans ke karz adaa karenge abb khamoshi ka
Kha kar thok.Rein sambhal jayenge hum aahista aahista


Teri Zul.Fon se dasht mera rah ruzar aahista aahista
Wo Ehsas makhmal.ii gaya dil mein utar Aahista Aahista


Shuru Hone ko hai Safar Dewan.Gi ka aahista aahista
Bahon mein Bhar le mujhe aye Humsafar aahista aahista!


wah doston yahaan to yoindia pe chhaa gaya hai khumar-e-ishq aahista aahista!!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #12 on: August 04, 2006, 05:00:37 AM »
Reply with quote
Mera dil aaj dhadak raha hai aahista aahista,
Jism mein rooh banke utarr raha hai koi aahista aahista,
Chupke se woh aakar sunn raha hai dhadkano ko aahista aahista,
Angdaayiaan le rahe hain armaan kayin aahista aahista,
Lamhe yeh judai ke guzarr rahein hai aahista aahista,
Dar-e-mehboob mein rakhenge kadam hum bhi magar aahista aahista....

gesu's koshish!!!!!!!!!!!

Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: August 04, 2006, 05:56:15 AM »
Reply with quote
shukriya Gesu ....aapne bhi bahut achacha likha ... Usual Smile

dhalne ka naam leti nahi hai yeh tanha raat
bikhar rahe hain sab khawab aahista aahista

mile they jab unse toh kiye they kai vaade
ab woh sab hame yaad aa rahe hain aahista aahista

hain hum bahut pass unke dil ke
magar dubenge unki nazaro mein jara aahista aahista

likhana toh bahut kuch hai hamko unki har baat ko apni ghazal mein
magar aapko hum sunaayenge kisaa jara aahista aahista .. :D
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #14 on: August 04, 2006, 06:09:18 AM »
Reply with quote
woo kaya baat hai Bahut hi khuoob Neer ranju and gesu ji.

bahut acha likha ha aap sabne......

zindgi guzar hoti hai ahista ahista
teri yaar mujhe din raat jalati hai
ahista ahista....
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:33:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer