humsafar mera kuch aisa ho

by nishita on February 21, 2005, 10:41:54 AM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10]
ReplyPrint
Author  (Read 14899 times)
nishita
Guest
«Reply #135 on: April 29, 2005, 11:07:49 AM »
Reply with quote
Ye ishq bhi hai ajab imtihaan-e-wafa
wo aazmaaye mujhe aur main aazmaoon use

nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERA HUMSAFAR KAHAN HAI by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
Mera Humsafar Raha….. by Pooja in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
# # # kuch aisa bikhar gaya wajood mera...# # # by -Kashish- in Shayri-E-Dard
dard ko mera humsafar by saahill in Shayri-E-Dard
dard se kuch aisa mera by saahill in Ghazals
suave
Guest
«Reply #136 on: April 29, 2005, 11:10:03 AM »
Reply with quote
wo aazmaaye mujhe aur main aazmaoon use
gar kho gaya woh tu mein apna kahunga kisse
Logged
nishita
Guest
«Reply #137 on: April 29, 2005, 11:14:37 AM »
Reply with quote
tere bagair ab ye zindagi kaha guzre
kadam kadam pe tere saath ka gumaan guzre

nm
Logged
suave
Guest
«Reply #138 on: April 29, 2005, 11:17:07 AM »
Reply with quote
kaise kahu tere bagair ye jindagi kaise guzri
kuch rote huye gujri , baki bhi rote huye guzri
Logged
nishita
Guest
«Reply #139 on: April 29, 2005, 11:26:53 AM »
Reply with quote
jaakar kyu mujhe wo satate rahe
kyo sada hi mera dil jalate rahe
pyar ki raah me silsila ye raha
roothe wo rahe , manate hum rahe..!

nm
Logged
bond
Guest
«Reply #140 on: April 29, 2005, 11:30:32 AM »
Reply with quote
ruthna manana na ho to pyaar adhura hota hai
thoda gum bhi na mile to pyaar kahan pura hota hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #141 on: April 29, 2005, 10:12:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "bond"
ruthna manana na ho to pyaar adhura hota hai
thoda gum bhi na mile to pyaar kahan pura hota hai
hmmmm nice bond
Logged
nishita
Guest
«Reply #142 on: May 19, 2005, 10:57:37 AM »
Reply with quote
............................ nice all   Usual Smile gud one bond ..........
Logged
kaish lative
Guest
«Reply #143 on: May 20, 2005, 11:23:55 AM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
Na who farishta ho na farishte jaisa ho
Mujhe talash hai uski jo mere jaisa ho

Jo khwaab dene ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sake woh aisa ho

Meri khatir marne ka hosla bhi rakhta ho
koi bhi ho..kahi bhi ho.. bas aisa ho

Agar kabhi rooth jaoon mein usse to
Muskrake manaye, woh aisa ho

Jo baat kare to woh nibha bhi sake
Iradon mein woh apne, chattanon jaisa ho
 
Dukhon mein hansne ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar ki tarah gehra ho

Us ke pyaar ki thandak ho mere liye aisi
Ke woh to bilkul aasman ke chand jaisa ho

Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chale...!!! bus humsafar mera aisa ho
 :wink:


hello nishita ji
dua mangi hai to kubul zaroor hogi
khuda ki bandgi me kuchh to asar hoga
Logged
bond
Guest
«Reply #144 on: May 20, 2005, 11:49:40 AM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
............................ nice all   Usual Smile gud one bond ..........


thanks hai ji...........

woh tham tham ke yu hi muskuraate rahein
hum tham tham ke yu hi jaan gawaate rahein
kabhi banke tamanna, tabhi khwaab ban ke....
bas yu hi woh meri jindagi mein aate rahein
hai masoom itna woh ke nahi hai usey khabar..
hum unke bin rahe bhi zinda,to aab kaise rahein

BOND
Logged
chiraaaaaaaaag
Guest
«Reply #145 on: May 21, 2005, 02:53:03 PM »
Reply with quote
yaar pahalu me hai tanhai hai keh do nikale
aaj kyon dil me chupi baithi hai hasrat meri

husn aur ishq hamagosh nazar a jate
teri tasvir me khinch jati jo hairat meri

kis dhitai se vo dil chin ke kahte hain 'chirag'
vo mera ghar hai rah jis me muhabbat meri
Logged
tauhid_siddiqui786
Guest
«Reply #146 on: May 24, 2005, 02:54:45 PM »
Reply with quote
Aur kya mangoo khuda se umko mangane ke baad
 Ab to hath uathate hi nahi hain duaa ke liye.
         
      Your friend
                   TAUHID A. SIDDIQUI
                   Mob.no: 09319054831.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #147 on: May 24, 2005, 10:14:29 PM »
Reply with quote
Zmana nirday itna,sachhe ki koi kadar nahi,
Matlabi hain kuchh log yahan, pyarbhari koi nazar nahi.|
Mangata hoon sirf thodi si khushi, yaha sukh ke koi aasar nahi,
Hoti hain agar bhul koi muhjse, milti kyon muafi nahi|
Armaan bahot hain dil ke mgar,manzil tak chalne wala koi ek hamsafar nahi|
Pahonch gaya hoon ek aise mukam pe, jis ki mujeh koi khabar nahi, Badal gaye hain sab ke sab, meri ees zindagi ka ab koi muqddar nahi||
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 02:52:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer