Husn Par Zor Kahan Chalta Hai

by Ghulam Haider on April 22, 2010, 10:44:04 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2018 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Husn Par Zor Kahan Chalta Hai.
Haaye Afsos Ke Dil Jalta Hai.

Raaz Chhupta To Nahin Hai Lekin,
Saamne Sab Ke Kahan Khulta Hai.

Rang Mein Chehre Ke Aa Jaye Nikhaar,
Par Kahan Dil Ka Kanwal Khilta Hai.

Dil Ki Aaghosh Mein Khushiyan Hi Nahin,
Kuchh Nihan Khanon Mein Gham Palta Hai.

Subh Ek Aas Bandha Jaati Hai,
Or Usi Aas Pe Din Dhalta Hai.

Chahta Hai Jise Haider Koie
Saath Uska Use Kab Milta Hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mai to sahil tha chalta to bhi kaise chalta by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
zindagi ka safar chalta hai chalta jaayega by @kaash in Shairi - E - Zindagi
AKELA CHALTA GAYA by ANKIT RAO in Other Languages
.....Gham Sath Chalta Hai..... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Pata chalta he. by Jyoti in Share Poetry You Like
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: April 22, 2010, 11:00:40 AM »
Reply with quote
Husn Par Zor Kahan Chalta Hai.
Haaye Afsos Ke Dil Jalta Hai.

Raaz Chhupta To Nahin Hai Lekin,
Saamne Sab Ke Kahan Khulta Hai.

Rang Mein Chehre Ke Aa Jaye Nikhaar,
Par Kahan Dil Ka Kanwal Khilta Hai.

Dil Ki Aaghosh Mein Khushiyan Hi Nahin,
Kuchh Nihan Khanon Mein Gham Palta Hai.

Subh Ek Aas Bandha Jaati Hai,
Or Usi Aas Pe Din Dhalta Hai.

Chahta Hai Jise Haider Koie
Saath Uska Use Kab Milta Hai.

Waah Waah..

Bahut Bahut Khoob Haider Saheb!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: April 22, 2010, 11:27:31 AM »
Reply with quote
Bahot khoob Haider Sahab. Badi murassa aur purkashish ghazal kahi hai aapne. Marhaba. Ek sher aapki nazr:

Ishq mein theek nahi ye ujlat
Khulte khulte hi koi khulta hai
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #3 on: April 22, 2010, 12:05:48 PM »
Reply with quote
Wah Haider Ji Kya Kehne
Bahut Hi Khoobsurat Peshkash Hai
Hume Bahut Pasand Aaya Aapka Andaaz e Bayaan

Bahut Umda Janab Applause Applause Applause


Yun Hi Mehfil Ko Roshna Karte Rahiye...

Khush Rahiye...


~Shihab~




Raushni Ki Khaatir Ham Khoon e Dil Jalaayenge
Tab Kahin Diye Haider Jaa Ke Jagmagayenge
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: April 22, 2010, 12:28:50 PM »
Reply with quote
Waah Waah..

Bahut Bahut Khoob Haider Saheb!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Himmat Afzayi Ke Liye Bohot Bohot shukr Guzaar Hon.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: April 22, 2010, 12:37:03 PM »
Reply with quote
Bahot khoob Haider Sahab. Badi murassa aur purkashish ghazal kahi hai aapne. Marhaba. Ek sher aapki nazr:

Ishq mein theek nahi ye ujlat
Khulte khulte hi koi khulta hai
Aapne Theek hi Farmaya Janaab
Chalte Chalte Hi Pata chalta Hai.

Dheere Dheere Se Hi HaTti Hai Naqaab,
Khulte Khulte Hai Koi Khulta Hai.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: April 23, 2010, 04:00:03 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat peshkash hai Haider Ji
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: April 23, 2010, 04:07:44 AM »
Reply with quote
Wah Haider ji ,kamaal ke likhte ho aap.mindblowing creation,bahut pasand aayi aapke poem.keep it up. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #8 on: April 23, 2010, 05:55:56 AM »
Reply with quote
   

    Bahut achha likha hai haider ji. hello2
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #9 on: April 23, 2010, 06:03:24 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Haider Saheb.......yaqeenan ek khoobsurat peshkash se nawaza hai aapne.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #10 on: June 08, 2010, 11:43:28 AM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat peshkash hai Haider Ji
Khoobsoorat Nazar To Aap Ki Hai.
Jisne Meri Ghazal Ko Husn Diya.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #11 on: June 08, 2010, 11:51:34 AM »
Reply with quote
Wah Haider ji ,kamaal ke likhte ho aap.mindblowing creation,bahut pasand aayi aapke poem.keep it up. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Ham Ahl e Zauq o Shauq Hai Baat Hi Alag.
Kehte HaiN Aisi Baat Jo Dil Par Asar Kare
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: June 08, 2010, 11:59:38 AM »
Reply with quote
   

    Bahut achha likha hai haider ji. hello2
Tamanna Aap Ki Rehti Hai Dil MeiN,
Jiye Jaate Hain Yaadon Ke Sahaare.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: June 08, 2010, 12:30:40 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah!!!

Bahut Bhaut Khoob Haider bhai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #14 on: June 15, 2010, 10:39:38 AM »
Reply with quote
Wah wah wah! Kya kahne janaab Ghulam Haider Saheb! Aapki ghazal paRh ke bahut mehzooz hua. Aik me-aari aur baland shaayari se nawaaza hai janaab aapne. Ab to aapke aur bhi kalaam paRhne ki justuju dil meiN paida ho gayee. HazaroN daad qubul kijiye aur isi tarah apne takhleeqaat se nawaazte rahiye:

Khoobsurat si Ghazal paRh ke janaab
Aapke fun ka pata chalta hai

(Waquif Ansari)

Husn Par Zor Kahan Chalta Hai.
Haaye Afsos Ke Dil Jalta Hai.

Raaz Chhupta To Nahin Hai Lekin,
Saamne Sab Ke Kahan Khulta Hai.

Rang Mein Chehre Ke Aa Jaye Nikhaar,
Par Kahan Dil Ka Kanwal Khilta Hai.

Dil Ki Aaghosh Mein Khushiyan Hi Nahin,
Kuchh Nihan Khanon Mein Gham Palta Hai.

Subh Ek Aas Bandha Jaati Hai,
Or Usi Aas Pe Din Dhalta Hai.

Chahta Hai Jise Haider Koie
Saath Uska Use Kab Milta Hai.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:30:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.186 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer