Husn Par Zor Kahan Chalta Hai

by Ghulam Haider on April 22, 2010, 10:44:04 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2005 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #15 on: June 15, 2010, 12:56:03 PM »
Reply with quote
Husn Par Zor Kahan Chalta Hai.
Haaye Afsos Ke Dil Jalta Hai.

Raaz Chhupta To Nahin Hai Lekin,
Saamne Sab Ke Kahan Khulta Hai.

Rang Mein Chehre Ke Aa Jaye Nikhaar,
Par Kahan Dil Ka Kanwal Khilta Hai.

Dil Ki Aaghosh Mein Khushiyan Hi Nahin,
Kuchh Nihan Khanon Mein Gham Palta Hai.

Subh Ek Aas Bandha Jaati Hai,
Or Usi Aas Pe Din Dhalta Hai.

Chahta Hai Jise Haider Koie
Saath Uska Use Kab Milta Hai.

[n]Mashallah BOhat Achche Haider Bhai,.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mai to sahil tha chalta to bhi kaise chalta by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
zindagi ka safar chalta hai chalta jaayega by @kaash in Shairi - E - Zindagi
AKELA CHALTA GAYA by ANKIT RAO in Other Languages
.....Gham Sath Chalta Hai..... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Pata chalta he. by Jyoti in Share Poetry You Like
sbechain
Guest
«Reply #16 on: June 15, 2010, 04:34:47 PM »
Reply with quote
bahut khoob haider sahab Applause Applause Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #17 on: June 16, 2010, 02:34:55 PM »
Reply with quote
Wah wah wah! Kya kahne janaab Ghulam Haider Saheb! Aapki ghazal paRh ke bahut mehzooz hua. Aik me-aari aur baland shaayari se nawaaza hai janaab aapne. Ab to aapke aur bhi kalaam paRhne ki justuju dil meiN paida ho gayee. HazaroN daad qubul kijiye aur isi tarah apne takhleeqaat se nawaazte rahiye:

Khoobsurat si Ghazal paRh ke janaab
Aapke fun ka pata chalta hai

(Waquif Ansari)

Har Shakhs Heere Ko Parakhne Ki Kasauti Nahin Jaanta, Yeh To Jauhari Ka Kamaal Hota Hai.

Hamare Shauq Ki Hoti Nahi Hai Qadr Janaab,
Kahan Zamaane Mein Ab Ahl e Zauq Milte Hain.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #18 on: June 16, 2010, 02:46:30 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah!!!

Bahut Bhaut Khoob Haider bhai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bhai Mere Liye To Khushi Ki Baat Ye Hoti Hai Ke Aap Ko Khush Rakhon.Mera Kalaam Aap Ko Pasand Aaye.
Daad e Tahseen Se Nawaazne Ke Liye Shukriya
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #19 on: June 16, 2010, 02:49:40 PM »
Reply with quote
[n]Mashallah BOhat Achche Haider Bhai,.
Yahan Aakar Khabar Hui Hamko,
Shayerana Mizaaj Hai Apna.
Nawaazish Hai Aap Ki Janaab.
Bohot 2 Shukriya.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #20 on: June 16, 2010, 02:54:22 PM »
Reply with quote
bahut khoob haider sahab Applause Applause Applause
Khoob Mera Kalaam Tha Lekin,
Khoob Ko Khoobtar Samajhta Hai.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:17:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer