~**I Dedicate This Poem To Dearest Rajbir ji .**~

by honeyrose on September 28, 2008, 06:38:31 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2246 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: September 28, 2008, 05:06:48 PM »
Reply with quote
Shukriya baadal ji,,Sanjeev ji,,Sajid ji,,Mahiya,,Celmira sis....
notworthy


Aaye hai dil tham kar kuch toh kahe dete paas aakar
Aaye hun ek umeed aur kuch yaaden lekar
Dono taraf se chal rahe hai jaise zindagi ke rafter banker
Dil kahena chahe phir bhi zuban batati hai chup rahe kar


Wah wah Honey dear lovely...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dedicate to bekhabar by NABROY in Shayeri for Dard -e- Bewafai
dedicate to ek bewafa by NABROY in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~^^*I DedicateThis Poem To Dearest.. .Yo Friends*^^~ by honeyrose in English « 1 2  All »
Roja
Guest
«Reply #16 on: September 28, 2008, 05:10:18 PM »
Reply with quote
Meri sochon ke harpal mein, tum kyo aa jaate ho,
Mere dil ko anjane mein, tum kyon tadpaate ho,

Is Daman mein to bas, kaanto ka gulshan hai,
Phir is banjar duniya mein, kyon phool sajaate ho,

Phir koun nahi chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laate ho,

Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaate ho,

Ye dil to pagal hai, bas jhoomta rehta hai,
” Tum mere HUMSAFAR Banjao ”, jab keh kar jaate ho
(NM)
Logged
Roja
Guest
«Reply #17 on: September 28, 2008, 05:15:03 PM »
Reply with quote
mera aachal tham ke us par
tu kya likhta rahta hai
naam tera is dil pe likha hai
aachal ka kya qissa hai

tujhko isaki mahak pasand
hai par tujhko ye pata nahi
tujhko dekh kar hi to mera
aanchal mahka karta hai

dil ki har ik dhadkan to bas
naam tera hi leti hai
saansen tujhko chhune ko hi
shayed chalti rahti hain

ye jo tujhko chhoo paaen to
main to kaanp si jaati hun
jaane kaisa jaadu hai ye
samajh ise na paati hun

tera jaadu mujh pe chala hai
sanvar gai hun kuchh aise
ghar me sab hi kahte hain
kuchh achchi si main lagati hun…………….

(NM)
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #18 on: September 28, 2008, 05:21:57 PM »
Reply with quote
Very nice sharing Roja.. Thumbs UP

Beege palko mein tumko rakha hai
Pal do pal ki mulaqat to tarsa hai
Tum door ho mujse phir bhi dil kareeb hai
Teri aahat se humne teri khusbu pehechana hai
Majbur na karo humen ke aankhon se aansu nikalte hai
Aaj dil se dil ka faisla kardo dil ye chaha hai
Kahi kho na jaaye hum duniya ke bhir mein dil darta hai

MINE
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #19 on: September 29, 2008, 02:43:47 AM »
Reply with quote
haso mat aur jaldi muje koi poem dedicate karo



Laughing hard Laughing hard
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #20 on: September 29, 2008, 03:38:02 AM »
Reply with quote
haso mat aur jaldi muje koi poem dedicate karo

 Laughing hard Laughing hard tongue3
Logged
k.shael
Guest
«Reply #21 on: September 29, 2008, 05:23:56 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB HONEY DIDI,
KYA POEM DEDICATE KI HAI
AAPNE... Applause  Applause
MAASHAALLAH WO KAHIN DIL
KE DARIYA ME DOOB NA JAYE... Laughing hard
BY. K.SHAEL
Logged
Roja
Guest
«Reply #22 on: October 01, 2008, 02:26:35 PM »
Reply with quote
Very nice sharing Roja.. Thumbs UP

Beege palko mein tumko rakha hai
Pal do pal ki mulaqat to tarsa hai
Tum door ho mujse phir bhi dil kareeb hai
Teri aahat se humne teri khusbu pehechana hai
Majbur na karo humen ke aankhon se aansu nikalte hai
Aaj dil se dil ka faisla kardo dil ye chaha hai
Kahi kho na jaaye hum duniya ke bhir mein dil darta hai

MINE


Nice lines... good dedication... Keep it up Honey dear.. Thumbs UP  Usual Smile
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #23 on: October 01, 2008, 06:26:00 PM »
Reply with quote
Thanks Roja dear ,,Shally,,roxy...


Is kadar hum yaar ko manane nikle,
Uski chahat ke hum deewane nikle,
Jab bhi use dil ka haal batana chaha,
Uske hothon se waqt na hone ke bahane nikle,

NM
 


Mausam badal jaate hai hum wahi rahenge
Aapki chahat mein intzaar karenge
Har roz teri dosti ko yaad karte rahenge
Mausam badal jaaye phir bhi hum wahi rukhenge


MINE
Logged
Roja
Guest
«Reply #24 on: October 02, 2008, 04:29:35 PM »
Reply with quote
Both poems are really very good to read honey dear.. Keep flowing. Thumbs UP
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #25 on: October 02, 2008, 04:38:39 PM »
Reply with quote
ab tu bas kar roja....
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #26 on: October 29, 2008, 08:41:46 AM »
Reply with quote
Yaad karte hai aapko iss dil mein
Dil toh rota hai gham bhare hai iss dil mein
Humen kya dhundoge iss mehfil mein
Hum toh kabse bas gaye hai aapki parchhai mein 

_____honeyrose_____
Logged
syednaami
Guest
«Reply #27 on: October 29, 2008, 09:02:56 AM »
Reply with quote
Raju Chacha is a great man, and he got a perfect dedication. Well done Honeyrose jee.  Applause Laughing hard
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #28 on: October 29, 2008, 09:28:08 AM »
Reply with quote
Yaad karte hai aapko iss dil mein
Dil toh rota hai gham bhare hai iss dil mein
Humen kya dhundoge iss mehfil mein
Hum toh kabse bas gaye hai aapki parchhai mein 

_____honeyrose_____

Bahut achcha likha aap ne Honey Ji
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #29 on: November 06, 2008, 05:56:38 AM »
Reply with quote

dil kehta hai gale lagaun
tujhko main apna banaun
pyaar-pyaar bas karte jaaun
Oooo sanam.
paas khud ko tere laaun
tujhko apni manzil banau
ghadi-ghadi pyaar barsaun
Oooo sanam.
tujhko main nakhre dikhaun
baat-baat par main tarsaun
hansi-mazak bas karte jaaun
Oooo sanam.
sapne ko bhi sach banaun
ek-na-ek din tujhko paaun
zindagi ko khushhaal banaun
Oooo sanam
tere saath hee rehna chahun
ab main kya tujhko bataun
bas main tere paas aa jaun
Oooo sanam

NM




Tujhse milkar bhi dil beqaraar kyu hai
Is dil ko tujhse itna pyar kyu hai

Bahot tadpaaya hai is dil ko tune
Phir bhi ise tujhpe ye etbaar kyu hai

Dil mein ek khuahish hai jo sirf tum sey wabasta hai
aaj us koahish ka izhar kerna chahti hoon

Jahan jahan tum chalo,tu apnay anchal ko
tumharay qadmoon mein phailana chahti hoon

tumharay her ghum ke kantay ko apni,
Palkoon sey uthana chahti hoon

jo kabhi aay tumhari rahoon mein andheera tu,
khud dia ban ker jalna chahti hoon

Jo lay tumharay hontoon per khushi,
woh muskurahat ban na chahti hoon

Dil mein ek koahish hai jo sirf tum se wabasta hai,
aaj us koahish ka izhar kerna chahti hoon

jo saansain tum laitay ho ,un saanson mein bass ker
tumhari mehak banana chahti hoon

jo khowab tum dekho, tu uss khowab ki haqeeqat ban ker
tumhari her koahish pori kerna chahti hoon

jo aay tumhari rah mein kabhi dhoop tu,
uss dhoop mein tumhari chaon ban ker bikharna chahti hoon

jo rahay hamesha tumharay saath ,
woh saaya ban ker chalna chahti hoon

khuch tu kaho mujh sey bas ek bar,
sirf or sirf tumhari ban ker zinda rehna chahti ho

NM
 


X?X?X?
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:55:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer